1. Ramzan ul Mubarik k Leay Planning

“~*Shaoor E Ramzan*~”

“Ramzan ul Mubarik k leay Planing ki Zarorat”
Ab Ramzan ul Mubarik ka Maheena Aanay Wala hy. Ye Hamarey leay Rohani or Jismani Faidon k Darwazay khol dy ga.
Lehaza hamein is k leay abhi sy Tayar ho jana chahiye. Acha banda Har cheez ko pehlay Plan krta hy. Isi leay kehtay hein k Well plan, Half done.
Yani jis kaam ko tum acha Plan kr lo gy Samajh lo k wo aadha kaam ho gaya. Aaj tou Shadi ki planing bhi aik saal pehlay sy krni shuru kr daitay hein.
Business ki planing bhi pehlay sy krtay hein. Isi trah Hamain Ramzan ul Mubark ki planing bhi pehlay sy kr laini chahiye k ham ny isay kaisay guzarna hy. Is ki planing k leay koi warzish tou nahi krni hoti k bhai dand baithkain roz nikalni shuru kr do…is ki planing ye hy k Aap apni masrofiyat ko abhi sy aisa bana dain k Ramzan ul Mubarik mein Apnay Aap ko halka phulka rakhnay ki koshish krain.
Ghar mein shadi ho tou banda…
…Pora maheena apnay Aap ko halka phulka rakhta hy K, jee mere ghar mein shadi hy, main ny apnay Aap ko light rakha hoa hy ta’k main Shadi bhugta lon. Jaisay Shadi guzarnay k leay aik Maheena apna schedule tight kr daitay hein isi trah Hamain bhi chahiye k ham bhi….
Allah Ta’ala ki Maghfirat sy Wafar sy Hissa panay k leay….
Apnay Gunahon ko bakhshwanay k leay Or…
Apnay Rab ko mananay k leay…
Ramzan ul Mubarik k Maheenay k Leay…
(Light Planning) abhe sy kr lain.
Or ham ye kaam kr saktay hein.
Kitnay kaam hotay hein jo banda khud kr laita hy…
Lehaza hamain chahiye k ham Ramzan ul Mubarik mein apnay Safron ko, apnay kaamon ko or Apne job or studiea ko is trah plan kr lain…
k ham Kuch Light weight rehnay ki koshish krain. Jab ham mentaly kuch farigh hon gy…
tou yaksoi sy Namaz bhi perh sakain gy. Or Taraweeh bhi parh sakain gy or phir pressure bhi nai ho ga k hamara falan kaam reh geya hy.
Aik tou ye tayari hy k Ham k ham Apnay Aap ko Zara Light loaded krain or Dousra yeh k… Ham apnay aap ko Ramzan ul Mubarik k Schedule k sath adjust krnay k leay mentally tayar hon or apnay zehan ko tayar kr lain k ham ny agar Aik Maheena tak kuch kam bhi khaya tou hamain koi farq nahi parey ga. Hamarey jism ki Zarorat tou bohat thori hoti hy. Lakin Hamari Eating Habit bohat ziada hoti hy.

doctors ny kaha hy ko jo insan 3 khajorain kha ly Us ko itni calories mil jati hein k Us ko 3 din tak bhook ki wajha sy mout nahi aa sakti.
3 khajoron mein itni neutritons hoti hy…!!!
Ham jitna khanay k aadi hein. Ramzan ul Mubarik mein us sy kam khanay ki koshish krain. Ye na ho k Fajar ki Namaz sy khattay dakar aany shuru ho jaein.
Or aisa bhi na ho k bilkul bhi na khaaen…
Kuch log aisa krtay hein k wo Isha k waqt itna kha laitay hein k in k leay Sehri k waqt uthna mushkil ho jata hy. Wo kehtay hein chalo raat hi mein jo khaa leya so khaa leya. Bs isi per Rozay ki niyat kr k so jatay hein.
Ye tareeqa ghalat hy. Ramzan ul Mubarik ko apni tabiyat mein na dhaliye bal’k Aap apnay Aap ko Ramzan ul Mubarik ki Tarteeb per chalanay ki koshish kijeay. Kion Sehri khana bhi mustakil aik Ibadat hy. Or Tahajud mein Nawafil perhna bhi mustakil aik Ibadat hy. Tou Sehri main uthain or dono qisam ki Ibadaat…

… Ka maza or Sawab paaen.
Allah Rab ul Izat hamain Ramzan ul Mubarik mein Ziada sy ziada Ibadat krnay ki toufeeq atta Farmaey.
Or Is Maheenay ko hamary leay Rehmat bana kr hamari Pareshaniyon ko Dour Farma Dy.
Ameen.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *