1. Tareekh e Islam or Shahdaten

*~*Tareekh E Islaam Or Shahadatein*~*

Tareekh e Islam mein beshumar shahadatain hoein…
Or har Shahadat apni jagha aik numayan ehmiyat, Infaradi qadar o manzilat or maqam ki hamil hy.
Har shahadat mein islam ki baqa, dwaam, Aaqa S.A.WW k deen or Aap S.A.WW ki sunnat e mubarika ki hayat e jawidaan k raaz posheeda hein.
Yehi wajha hy k tareekh e Islam mein har shahadat apni jagah ehem shumar ki jati hy. Lakin Shadat e Imam Hussain r.a ka waqia kae aitbaar sy baki tamam Shahadaton sy mukhtalif or munfarid hy.
Is ki Infaradiat ki aik wajha ye hy k…
Aap r.a Khanwada e Rasool S.A.WW k chashm o Charagh thy or aisay chashm o charagh k jinhon ny bargah e Risalat Hazoor S.A.WW ki goud mein parwarish paai thee.
Aap S.A.WW k mubarik kandhon par Sawari ki the.
Aap S.A.WW k lo’aab e dehan ko apni ghiza banaya tha.
Or Jinhein Nabi Akram S.A.WW ka baita honay ka sharf hasil tha.
Is leay ghurbat, pardais or mazlomiyat ki halat mein yazeedon k hathon shahadat baqi shahadaton par aik numayan faoqiyat or bartari rakhtii hy.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *