Step 1 – Day 1

  • Mazhab E Islam

Duniya mein jitny mazaahib hein in mein sy hr aik ka naam kisi shakhs ya qaom k naam par hy jis mein wo mazhab paida hoa…
maslan Esaaiyat or Budh-mat aik shakhs k naam or Yahoodi mazhab aik khaas qabeela k hawaly sy hy…etc
Magar Islam ke ye khasoosiyat ye hy k ye kisi shakhs ya qaom qabeela ke taraf mansoob nahi bulky is ka naam aik khaas sift ko zaahir karta hy jo lafz Islam k matlab hy.
Islaam k maani…
Islam k maani arbi zaban mein atta’at or farmabardari k hein.
Mazhab e Islam ka naam Islaam is leay rakha geya k ye Allah ke atta’at or farmabardari hy or aisa karnay walay ko Musalman kehtay hein.
Or isi leay mazhab e Islam ko Deen e Islaam kaha jata hy.
Ab agar is hawalay sy daikha jaey tou poori kaainaat ka mazhab Islaam hy kion k kaainaat or is ke har cheez… haiyanaat, nabataat, jamadaat ye nazaam eshamsi… ye sab aik bohat barray Haakim k banaey hoay qanoon ke atta’at or farmanbardari kar rahay hein.


  • Aqaaed E Islam

Islaam ke buniyad 5 asolon par hy… jinhein aqaaed kaha jata hy.
Aqaaed jama hy aqeeda ke or ye lafz ouqad sy nikla hy jis k mani hein “Mazbot Girah Lagana, Mazbot Or Pukhta Karna”
Aqeeda sy muraad aisa nazriya ya khiyal hy jo dil mein mazboti sy jam jaey or jis ke sadaqat par admi ko pukhta yaqeen ho.
Ye 5 aqaaid hein.
1. Allah par emaan
2. Allah k farishton par emaan
3. Allah ke kitaabon par emaan
4. Allah k rasolon par emaan
5. Roz e aakhrat par emaan
Musalman hony k leay in 5 aqaaed par emaan lana zarori hy.
Al Quran, Al Baqara,
Ayat 177
“Naiki tou is shakhs ke hy jo Allah par, Roz e aakhrat par, Farishton par, Kitabon par or Nabion par emaan rakhy”
Islami zindagi mein in aqaaid ke haisiyat jarr ke se hy, is leay k tamaam naik amaal isi jarr sy phoot’tay hein ye har naiki or bhalaai ka sar’chashma hein or yehi insan ko pukhta seerat o kirdaar or yaqeen o aitamaad ke daolt atta karty hein.


  • 6 Kalmay

Har musalman bacha jab hosh sambhalata hy tou osay bachpan sy he Emaan Mufasil , Emaan Mujamil or 6 kalmay yaad karaey jatay hein…
Afsoos k ham mein say bohat sy aisya hotay jo duniya ka bohat kuch or yaad kartay kartay in ko kuch kuch bholtay ja rahay hotay hein or kuch kuch yaad rehta hy…
Agar hamare nadani sy aisa hoa hy tou ab phir ham Emaan Mujamail Mufasil or 6 kalmay bama tarjuma do teen mein yaad kar k apna eemaan taza karein gy inshaAllah


?Todays Memorization?

?Emaan Mufasil or Emaam mujamil…
?Pehlay 2 Kalmay
Bama tarjuma yaad karnay hein… or acha hy k kisi ko souna k tashee bhe karani hy.

?1. Imaan Mufasil Ka tarjuma ?

Mae emaan laya Allah par aur Us ky farishton par aur Us ky kitabon par aur kiyamat ky din par aur Us ky Rasoolon par aur kiyamat ky din par aur ache bure taqdeer par keh woh Allah ke taraf sy hy aur marnae ky baad jee uthnae par.

?2. Imaan Mujamil Ka Tarjuma ?

Mae eman laaya Allah par jaisa keh Woh Apnae namon aur Apne sifton ky saath hy aur maine qabool kiya Us ky sarae hukmon ko zubaan sy iqraar hy aur dil sy yaqeen hy.

?3.Pehla Kalma-Taiyyab Ka Tarjuma ?

Allah ky siwa koi mabood nhe aur Muhammad (S.A.WW) Allah ky Rasool hain.

?3.Dosra Kalma-Shahadat Ka Tarjuma ?

Mae gawahe deta hoon keh Allah ky siwa koi mabood nhe, Woh akaila hy Us ka koi shareek nhe aur mae gawahe deta hoon keh Muhammad (S.A.WW) Allah ky bandae aur Rasool hain.



Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Islam k maani arbi zaban mein atta’at aur ____ k hain.
a. nafarmani
b. silah rehmi
c. farmanbardari

2. _____ ki buniyaad 5 asolon par hy.
a. Eman
b. Namaz
c. Islam

3. Islami zindagi mein in 5 aqaaed ki hesiyat _____ ki si hai.
a. jarh
b. darakht
c. tannay

4. Har musalman bacha jab hosh smbhalta hai to usay bachpan sy hi Emaan e Mufasil,______ aur 6 kalmay yaad kraye jatay hain.
a. Ayat ul Kursi
b. Emaan e Mujamil
c. Surah Yaseen

5. Allah ki kitabon aur farishton par emaan ka zikar kis mein aya hy.
a. pehlay kalmay mein
b. Emaan e Mujamil mein.
c. Emaan e Mufasil mein.

Fill in the blanks /5

1. Islam kay maani arbi zaban mein ____ aur _____ kay hein.
2. Islam ka naam aik khaas ____ ko zahir karta hy.
3. Islam ki buniyaad ___ asolon per hy jinhain ____ kaha jata hy.
4. Islam ki buniyaad ____ asolon per hy jinhain ____ kaha jata hy.
5. Aqaaed jama hy aqeeda ke aur ye kafz ouqad sy nikla hy jiskay maani ______ kay hein.

True / False /5

1. Esaaiyat aur Budh-mat ek qabeelay k naam per hain.
2. Poori kainaat ka mazhab Islam hy.
3. Islam ka pehla aqeeda Allah per Emaan lana hy.
4. Islami zindagi mein 5 aqaaed ki ehmiyat mamooli si hy.
5. Dusra kalma tamjeed hy.

Short Question / Answers /15

1. Musalman kisay kehtay hain?
2. Aqaaed e Islam kitnay aur kon kon sy hain?
3. 6 kalmon kay naam bataen.
4. Emaan e Mufasil ka tarjuma likhain.
5. Aaj ki maloomaat k baray mein kis aur ko kia targheeb di?

End


 Answer Sheet

MCQ’s

1. c
2. c
3. a
4. b
5. c

Fill in the Blanks

1. Atta’at aur farmanbardari.
2. sift
3. Musalman
4. 5, aqaaed
5. Mazbot Girah Lagana/ mazbut aur pukhta krna.

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✖

Short Answer Questions

1. Allah ke ata’at o farmanbardari karnae walae ko musalman kehtae hain.

2. Aqeeda e Islam 5 hain:
i) Allah par eman
ii) Allah ky farishton par eman
iii) Allah ke kitabon par eman
iv) Allah ky Rasoolon par eman
v) Roz e aakhrat par eman

3. Pehla kalma Taiyyab
Dosra kalma Shahadat
Teesra kalma Tamjeed
Choutha Kalma Tauheed
Panchwaan kalma Astaghfar
Panchwan Kalma Rad e Kufr

4. Tarjuma upar msg mae dae diya gaya hy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *