2 : Hkr or Ustad

2 : Hkr or Ustad 

Sawal : 1

Daily Ustad Aap sy pehly rabta karta ya Aap…??


Sawal : 2

Aap ka Ustad sy raabta kam hy ya Zayada…?
Or ziada rabta msg par hota hy ya call par…??


Sawal : 3

Apnay Ustad k illawa…
Apnay GC or Murshed je k sath rabta hay ya nahi…or agar hy to kis had tak…???


Sawal : 4

Aap ko Ustad k sath raabtay sy koe faida bhe mehsoos hota hy ya kuch khass farq nai parrta…??


Sawal : 5

Aap k mobil use karnay or ustad say raabtay par ghar walon ko agar issue hota hy tou…
Ghar walon ko kaisay mutmain kertay hein…??


Sawal : 6

Aap Ustad k sath whatsapp ya msg walay group mein add hein…??
Wahan sirf sharing ke had tak shamil hein ya chit chat or kisi point par discussion mein bhe shaamil hotay hein…?


Sawal : 7

Group work aap ko apnay leay mufeed lagta hy ya nai…??
Waja bhe bata dain plz…!


Sawal : 8

Aap ka apnay Ustad sy dosti or qurbat ka ta’alouq hy k aap hansi mazaak or gup shup bhe kartay hein or apne har tara k baat share kar saktay hein ya…?
Ya jhijhak feel hoti hy… or sirf apnay maslay tak he baat kar saktay hein…??


Sawal : 9

Apnay Ustad ke koe…
Aik baat jo aap ko bohat pasand ho…??
Or
Aik baat aisi bataein jo aap ko lagta ho k agar ustad aisay kartay tou aap k leay aagay qadam barrhana or aasan ho jata…??


Sawal : 10

Aap ka ustad aap ke koe bhe ghalti point out karta hy tou aap ko kaisa lagta hy…???


Sawal : 11

Aap apni koe bhe baat, masla ya parayshani… Ustad ka ilawa kisi or sy bhe share kartay hein…
K jahan share kar k lagay
Ap relax ho jatay hon…?
Ya
Ap ko behtreen direction mil jate ho…??


Sawal : 12

Aap ko Ustad jo guideline ya tips daita hy…
Ounhein aap apne routine life mein apply kar k os k achay ya buray asraat bhe ustad sy share kartay hein ya nai…??


Sawal : 13

Silsilay mein agar koe hkr chahay tou Murshed Jee ki ijazaat sy kabhe bhe kisi bhe ustaad k sath attach ho sakty hain… or is hawalay sy kisi qisam ke koe pabandi nai hy…
Kion k sab sy ehim Hkr ka haq ke raah ka safar hy… jo jahan bhe behtreen tara sy chal sakay…
Tou agar yeh option aap ko deya jaey tou aap ka kia jawab ho ga…???


 

 

 

 

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *