2. Khilafat e Rashda Ke Muddat

*~*Khilafat E Rashda ki Mudat*~*

Hazoor Nabi Akram S.A.WW ny apnay baad qaaim honay walay door e hakomat ki pehlay hi nishan dahi farma di the.
Hazrat Safina r.a riwayat krtay hein k,
Hazoor S.A.WW Ny Farmaya,
“Mere ummat mein khilafat 30 baras tak rahay ge, phir ous k baad malokiyat ho ge.
Hazoor Nabi Akram S.A.WW k farman k mutabiq khilafat e rashda Aap S.A.WW k baad 30 saal tak ho ge, is k baad daor e malokiyat ka aaghaz ho ga.
Khair o falah par mabni tarz e hakomat badal deya jaey ga. Or ummat e muslima mein siyasi iqtadar ki jo shakal riwaj paaye ge wo malokiyat ki surat mein ho ge. Hazoor Akram S.A.WW ki pai’sheen goee k mutabik
Hazrat Abu Baqar Sadique r.a 2 baras 3 maah 10 din tak takht e khilafat par mutmakin rahay…
phir Khalifa e sani Hazrat Umar Farooq r.a ny 10 baras 6 maah 4 din tak is mansab ko Zeenat bakhshi.
Msg 2
…phir khalifa e salas yani tesray Khalefa
Zun’norain Hazrat Usman Ghani r.a ka daor aaya or
Aap r.a
11 baras 11maah 28 din tak Khalifa rahay.
Aap k baad Khalifa e chaharam Hazrat Ali a.s 4 baras, 9maah tak ous aalla masnad par faiz rahay or tableeg e deen k leay jo kuch kr saktay thay bari Jaan fishaani, jurat o himat or nehayat josh o jazbay k sath wo sab kuch keya.
Aap r.a ki Shahadat k baad Aap r.a k sahabzaday
Hazrat Imam Hassan a.s ny yeh ouhda sambhala or taqreeban 6 maah is mansab per faaiz rahay…
Syedena Imam Hassan a.s k door e khilafat k 6 maah shumar kr k 30 baras tak mush’tamil ye zamana *Ehad E Khilafat E Rashda* kehlata hy.
Msg 3
Hazrat Ali a.s Sher E Khuda k Ailanay Khilafat k sath he mulk Shaam mein Hazrat Ameer Muawiya r.a ny Apni aazad hakumat ka ailaan kr deya.
Or Hazrat Ali r.a ko Khalifa tasleem na keya.
Is par Ummat E Muslima mutafiq rahi hy k Khilafat bahar tor Syedna Ali r.a ka Haq tha.
Aap r.a he Khalifa e bar haq or khalifa e rashid thay.
Hazrat Ameer Moawiya r.a ka yeh faisla or qadam aaimah ehlay sunnat k haan ijtehaadi khata k taor par leya jata hy.
Alama Taftaa zani likhtay hein…
*Ehlay haq ka aik baat par itafaaq hy k is poray moamlaa mein Hazrat Ali r.a darust thy*
Hazrat Ameer Moawiya r.a k judagana Ailaan e hakumat k baad Hazrat Ali r.a k sath in ki kashmakash ka aaghaz ho gaya jo k Hazrat Ali r.a ke zindagi mein jari rahe…
Jis k nateejay mein jang e jamal or jang e saffain jaisay chotay barray ma’arkay hoay.
Or phir Hazrat Ali r.a ke shahadat k baad Hazrat Imaam Hassan r.a jab masnad e khilafat par beithay tou Ameer Moawiya r.a ny Oun ke khilafat ko bhe tasleem na keya…
Is tara musalmano k do garohon k darmiyaan ikhtalaaf qaaim raha…
Is ikhtalaaf ko khatam karnay k leay Hazrat Imaam Hassan r.a ny 6 maah mein he chand sharaait par masnad e khilafat chorr kar Ameer Moawiya r.a ko musalmano ka Ameer tasleem kar leya.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *