4 : Hkr or ALLAH ka ehsas

4: Hkr or ALLAH ka ehsas

Sawal :1 

Allah ke aashanaai or qurbat panay ke chahat rakhnay walay hkr k leay sab sy pehla qadam namaz ke baqaaidi zarori hy…
Is hawalay sy aap bataein k…
Aap ke daily namaz or tilawat ke routine kaisi hy…??
Kia Ustad aap ko is hawalay sy guide karta… raghbat dilata or pochta hy ya nai…??


 

Sawal : 2 

Silsilay sy attach honay k baad…
Allah sy piar bharrha hy ya dar or khaoff barrha hy…??


 

Sawal : 3

Pehlay jaisay dua kartay thay…
Or ab jaisay dua karna sikhaya geya hy tou is mein Allah k ihsas k hawalay sy aap ko kia kia farq mehsoos hota hy…??


 

Sawal : 4

Kia aap sirf apne mushkil ya pareshaani k leay he Allah k samnay dua k leay paish hotay hein…?
Ya
Kabhe piar mein ya khushi or shukar k ihsas mein mein bhe Allah k samnay paish hotay hein…???


 

Sawal : 5

Aap k dil mein Allah ka ihsas sirf namaz tilawat ya dua mein baidar rehta hy ya…
Din bhar ke routine mein bhe kabhe kabhe ye ihsas baidar hota rehta hy…??

Agar jawab haan may hain ….. to  koe example dain apne routine sy…???


 

Sawal : 6

Aap apne routine life k moaamlat mein jaldi down or mayous ho jaati hein ya Allah par yaqeen ko k wo behtr k siwa nai karta ko pakrray hoay rakhti hein…???


Sawal : 7

Aaj kal aap apnay kis maslay ke waja sy ziada paryshan ho jaatay hein…?
Or ziada tarrap sy dua kartay hein…??
Note…
Agar masla batana chahein tou ham aap ko os par Allah k ihsas k hawalay sy guide kar dain gy
Or
Agar masla na batana chahejn tou phir aap ko is k leay dua kara dain gy agar aap karna chahrin tou…???

 


 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *