4. Saath(60) Hijri k Ehtatam sy Panah ka Hukam

*~*60 Hijri k Ekhtataam sy Panah Manganay Ka Hukam*~*

Hazrat Imam Hussain r.a ki Shahadat E Uzma ki ye aik munfarid khobi hy k…
Hazoor Nabi Akram S.A.WW ny ous ki tafseelaat bohat pehlay bata di theen jis ki juziyaat sy Ehl e bait waqif ho chukay thay.
Or ounhein ba-khobi pata chal chuka tha k mustaqbil mein kia honay wala hy…
In hairat angaiz or qabl az’waqt tafseelat ko mojzana paisheen goee k siwa koi naam nai deya jaa sakta…
Yehi wajha hy k maidan e saffain ki taraf jatay hoay rastay mein Hazrat Ali Sher E Khuda r.a ny Karbala k oun maqamat ki nishaan dahi kr di thee jahan oun Hazraat ko Shaheed hona tha…
In Waqiyaat ka ba’nazar e ghaor jaiza lainay sy pata chalta hy k,
Hazoor Nabi Akram S.A.WW ny deegar tafseelat k sath baaz khaas logon k maah o saal sy bhi aagah kr deya tha…
Or Wo hat’me taor par jantay thay k ye afsoos naak saaniha kab waqoo pazeer honay wala hy.
Msg 2
Hazrat Abu Huraira r.a bhe in khaas logon or mehram raaz doston mein sy thay…
jinhein achi tara ilm tha k 60 hijri k ikhtataam tak siyaasi or mulki halaat mus’ta’hikam nahi rahein gy…
Bal’k in mein numayaan tabdeliyaan aa jaein ge.
Hakumat ki baag daorr aisay ghair saaleh, oobash or nao’umar logon k hath mein aa jaey ge jin k paish e nazar amanat e Elahi nahi bal’k ta’aiyoush e zindagi ho ge…
Or wo iqtadaar ko aish o ishrat, sharab o kabab, bad mo’aashi, aawargi, badkari or awaam par zulm o sitam dhanay k leay be’daraigh istamal krain gy.
Hazrat Abu Huraira r.a aksar yeh dua keya krtay thay k…
“Main 60 hijri k ekhtataam or nao’umar logon ki amaarat sy Allah k panah mangta hon”
oun ka matlab yeh tha k aik khofnaak daor shuru honay wala hy.
Jis mein oobash larkay saltanat o hakumat par qabiz hon gy.
Jis sy ummat e muslima ko naqabil e talafi nuqsan ho ga…
Msg 3
….aisy oobash larkon k baray mein Aap S.A.WW ny pehlay sy khabardaar farma deya tha…
“Is Ummat ki halaakat Quraish k oobash nao’jawanon k hathon ho ge”

“Be’shak Mere ummat mein jhagra o fasad bewqoof oobash nao’jawanon k hathon barpaa ho ga”

Hazrat Abu Huraira r.a sy aik or riwayat mein hy k Rasool Allah S.A.WW ny farmaya k,
“Ehl e Arab k leay is sharr ki wajha sy tabaahi o barbaadi hy jo 60 hijri k ikhtataam par qareeb aa chuki hy, amaanat ko maal e ghaneemat or sadqa
(o zakaat) ko ta’waan khiyal keya jaey ga.
Or gawahi (shakhsi) jaan pehchan ki bina par ho ge…Or faisla (zaati) khuwahish ki bina par ho g”

Hazrat Ummay Salma r.a Riwayat karti hein k Rasool S.A.WW ny farmaya…
“(Mere jigar goshaa) Hussain bin Ali ko 60 hijri k ikhtatam par shaheed kr deya jaey ga k jab aik (oobash) nao’jawan oun par charhaai kray ga”

Hazoor Nabi Akram S.A.WW K paisheen goee k mutabik 60 Hijri mein…
Msg 4
… Qabila quraish ki shaakh Banu Oumaiya ka oobash nao’jawan yazeed bin moaviya takhat nasheen hoa…
or 61 hijri k ibtadaai 10 dinno mein saaneha e Karbala paish aaya…
Jis ka wazeh matlab yeh hoa k Hazoor S.A.WW ny yazeed ki hakumat sy panah mangnay ka hukam farmaya tha.
Or bata deya tha k…
Yehi wo shakhs ho ga jo Ehlay Bait k Khoon sy hath rangay ga.
Is leay he Hazoor S.A.WW K hukam ki pairvi mein Hazrat Abu Huraira r.a yazeed ki nao’khaiz or laa’oubali hakumat or ous k zulm o sitam sy bharpoor daor sy panah manga krtay thay.
Aap r.a ki dua qabool hoe or Aap r.a aik saal pehlay he foat ho gaey.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *