5. Roza or Iske Niyat

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Roza”
Jab subah sadiq yani fajar ki namaz ka waqt shuru hota hy os waqt sy ly kr souraj gharob hony tak rozy ki niyyat sy na kuch khaye na piye or na he jamaa kry tou shariyat ki rooh sy ousy roza kehty hein.
*ROZY KI NIYYAT*
Rozy ka aagaz chounk fajar sy hota hy is leay Aap S.A.WW ny frmaya k, “Fajar k waqt sy pehly yeh azm kr lo k tum Allah k leay roza rakh rahy ho or agar aisa nai kro gy tou is ka matlab yeh ho ga k tum ny rozy or faaqy mein koe imtiaz qaaim nai kiya”
Rozy ki niyat krna zarori hy. Agar kisi ny subah sy ly kr sham tak na kuch khaya na piya or bhouka piyasa raha lakin ous k dil mein rozy ka irada na tha tou roza nai hua. Niyyat ka zaban sy krna zaroori nai jab dil mein khiyal rakha k aaj mera roza hy or sara din na khaya na piya na jamaa kiya tou roza ho gya.
shariyat mein choun k asal ehmiyat niyat ko hasil hy or amaal ki qadr o qeemat bhe niyyat he ki bina par mutaiyan ki jati hy is leay shariyat ki nazar mein aik fael ko dousry fael sy mumtaz krny wali cheeze niyyat hy isi wajah sy rozy k leay fajar sy pehly rozy ki niyyat ka irshad frmaya gya.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *