6. Waleed ka Marwaan sy Mashwara

*~*Waleed Ka Marwaan Sy Mashwara*~*

Yazeed k is hukam naamay k milnay sy Waleed bahut ghabra gaey… kion k wo aik reham dil or Khandaan e Nabuwat ke taazeem o ehtaraam karnay walay Governer thay or is hukam ke taamel in k leay mushkel thee.
Wo janty thy k in Hazraat sy yazeed k leay bait laina aasaan nahi… is leay ous ny mashwaray k leay apnay naaib Marwaan Bin hakam ko bulwa bhaija or saari surat e haal sy aagah kea.
Marwaan kion k sakht mizaaj or sang dil shakhs tha.
Is ny kaha k in teeno ko ousi waqt bulaain or bait k leay kahein…
agar wo bait kar lain tou behtar warna teeno ko qatal kar dain.
Or agar tum ny aisa na keya tou Ameer moawia ke moat ke khabar ho janay par wo teeno alag alag makaam par ja karr mud’dai khalafat ban kharray hon gay or phir oun par qabu pana mushkil ho jaye ga. Albata Ibn e Umar r.a jad’aal o qataal ko pasand nai krtay…
wo khalafat k talab gaar bhe nai hein siway yeh k khalafat khud ba khud in ko de jaey.

Msg 2
*Marwaan*
Marwan bin Hukam wo shakhs hy k jab iski pedaaish hoi or
Hazoor-E-Aqdas S.A.WW ki khidmat mein takhneek
(koi cheez chaba kr naram kr k khilany) k leay laaya gea…
tou Hazoor S.A.WW ne farmaya,
“Huwa’al Waza’gho Ub’Nul Waza’ghe”
“Ye girgit ka baita girgit hy.”

Or bukhari, nisai,or ibn e abi hatim apni Tafseer mein riwayat krtay hein k Hazrat Ayisha sidiqa r.a ne farmaya
“Nabi Kareem S.A.WW ne marwaan k baap hakam par la’anat farmai, jab k marwaan soulab e pidar mein tha… tou wo bhe Allah ki la’anat se hissa panay wala hoa.

Wo marwan k isko or is k baap ko Hazoor-E-Aqdas S.A.WW ny girgit farmaya or jis k baap par Hazoor ne la’anat farmai balkay is k baap ko sheher badar farma kr taaif mein rehnay ka hukam farmaya aisay marwaan se bhala khair ki umeed kia ho sakti hy…

Msg 3
Waleed ny Hazrat Imam Hussain r.a or Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a ko bulanay k leay qaasid bheija… qasid ny in dono Hazraat ko masjid Nabwi mein bheitha paya.
Qaasid aisay waqt mein Aap Hazraat k pass aaya jis waqt Waleed kisi sy na milta tha…
Qaasid ny kaha k Aap dono Hazraat ko Ameer ny bulaya hai…
Ouno ny qasid sy kaha k tum chalo hum abhi aatay hain.
Phir Hazrat Ibn e Zubair r.a ny Hazrat Imam Hussai r.a sy kaha k Aap ka kia khiyal hy k…
Ameer ny hamein aisay waqt mein kion talab kiya hy jis mein wo kisi sy milty bhe nahi…??
Hazrat Imam Hussain r.a ny farmaya k mera khiyal hy k Hazrat Ameer moawia wafat paa gaey hein or hamein isi leay bulaya gaya hy k in ki wafat ke khabar phailnay sy pehly ham sy yazeed k haq mein bait ly le jay.
Is par Hazrat Ibn e Zubair r.a ny kaha k mera bhe yehi gumaan hy phir Ouno ny Hazrat Imam Hussain r.a sy poucha k…

Msg 4
…Aap ka kia irada hy…?
Hazrat Imam Hussain r.a ny farmaya k,
main is waqt Apnay jawano ko ly kar chalta hon kion k inkaar ke surat mein ho sakta hy k moamla nazuk surat ikhtiyar kar jaye…
Hazrat Imam Hussain r.a apni hifazat ka saman ly kar Waleed k pass pohanchay.
Aap ny Apnay sathion sy farmaya k main andar jata hon…
Agar main tumhain bulaoun ya tum samjho k mere awaz buland ho rahi hy tou foran andar aa jana or jab tak main bahir na aa jaoun tum yahan sy mat hatna.
Aap r.a andar gaey or salaam kar k baith gy.
Is waqt Waleed k pass Marwaan bhe mojoud tha.
Waleed ny aap r.a ko Hazrat Ameer moawiya r.a ki wafaat paa janay ke khabar sunaai or yazeed ke bait k leay kaha…
Aap ny ta’zeyat k baad farmaya k Mere jaisa aadmi is tarah chhup kar bait nahi kar sakta or na he mery leay is tarah chhup k bait krna munaasib hy.
Agar Aap bahir nikal kar sab logon sy bait talab karain tou oun k sath mujh sy b bait k leay kahein.

Msg 5
Waleed kion k am’an pasand aadmi tha ous k Imam Hussain r.a ki baat pasand aaei or ous ny kaha k acha Aap r.a tashreef ly jaein.
Is par marwaan ny Waleed sy kaha k agar is waqt tum ny In ko janay diya or bait na li to tum kabhi bhe In par qaboo na pa sako gay…
In ko qaid kar lo agar yeh bait kar lain to theek hy warna In ka sar qalam kar do…
Hazrat Imam Hussain r.a ye soun kar outh kharray hoay or farmaya k “Ibn e zarqa tou mujhy qatal kary ga ya yeh krain gay…??
Khuda ke qasam tou jhoota or kameena hy”
Ye keh kar Aap apnay ghar tashreef lay gaey.
Aap r.a k tashreef ly aany k baad marwaan ny Waleed sy kaha,
“Tum ny mera qatal ka mashwara na mana ab tum kabhi dobara is tarah ka moqa na pa sako gay ”
Waleed ny kaha,
“Tum par afsoos k tum mujhy aisa mashwara day rahay ho jis mein mere deen ke tabahi hai, kia main Nawasa e Rasool ko sirf isi wajah sy qatal kar daita k Ounho ny yazeed ke bait nai ke Khuda e Zuljalal ke qasam….
Msg 6
….Mujhy sari duniya ka maal o mata mil jaye tou bhe main Oun k khoon sy apnay hathon ko aalooda hargiz nahi kar sakta”

Marwaan ny kaha k,
“Tum theek kehtay ho”
Ye baat is ny sirf zahiran kahi the warna dil mein waleed ke baat ko na pasand karta tha.
Hazrat Imam Hussain r.a khoob jantay thay k sab k inkaar sy yazeed bad’bakht jaan ka dushman or khoon ka piyasa ho jaye ga lakin Aap r.a ke ghairat, taqwa o parhaizgari ny ijazat na de k apni jaan bachany ki khatir na’ehal k hath bait kar lain or Nawasa e Rasool S.A.WW honay ya musalmano ke tabahi ke parwa na krain…
Agar Aap r.a yazeed ke bait kar laitay to wo Aap r.a ki barri qadar o manzilat karta or duniya ke beshumaar daolat Aap r.a k qadmon mein dhair ho jati…
lakin yazeed ke badkari k jawaz k leay Aap r.a ke bait karna san’nad ho jaati or Islaam ka nizaam darham barham ho jata or deen mein aisa fassad barpa hota jis ka doir karna sirf mushkil he nahi na mumkin ho jata…

Msg 7
…Bahar haal Aap r.a yazeed ke bait k leay taiyar na hoay…
shaam k waqt Waleed ny phir Imaam Hussain r.a k pass aadmi bhaija…
Aap r.a ny farmaya is waqt to main nahi aa sakta subah honay dijiye phir daikhein gy kia hota hai…
Waleed ny ye baat maan le.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *