8. Hazrat Muhammad bin Hanfia r.a ka Mashwara

*~*Hazrat Muhammad Bin Hanfia r.a ka Mashwara*~*

Hazrat Muhammad Bin Hanifa r.a k siwa tamaam khandaan ny Aap a.s k sath Madina Munawra sy Makkah Mukarma hijrat farmai.
Hazrat Muhammad Bin Hanifa r.a ny Aap r.a sy kaha k Bhai…!!
Aap tamaam Ehalay zameen sy barrh kar mujhy azeez hain
Mera mashwara yeh hy k Aap r.a shehron mein sy kisi aisy shehar mein qayaam na krain… dehaat or ragistaano mein qayam krain… logon k pass apnay qasid bhaij kar inhein apni bait ke dawat dain.
Agar wo Aap r.a ke bait kar lain to Aap r.a Allah ka shukar adda krain or agar wo kisi or shakhs par mutafiq ho jain to is sy Aap r.a k ousaaf o kamalaat or fazeelat mein kuch kami nai aaye ge.
Mujy khouf hy k Aap r.a makhsoos shehar ya makhsoos jammat k pass jaein gay tou in mein ikhtalaaf paida ho jaein gay.
Aik giroh Aap r.a k sath ho ga or dosra mukhalif or in dono mein jang e jadal ke no’eiyat paida ho jaye ge to sab sy pehly Aap r a in k teeron ka nishana banein gy…
Msg 2
….aisi sorat mein aik moaziz or sharif tareen shakhs jo k hasb o nasb k aitabaar sy saari ummat sy behtar hy is ka khoon sab sy arzan ho jaye ga or is k Ehal o ayaal ko zaleel keya jaye ga…
Yeh soun kar Hazrat Imam Hussain r.a ny farmaya k bhai phir main kahan jaon…??
Tou Muhammad Bin Hanfia r.a ny kaha k Aap r.a Makkah chalay jaein agar wahan Aap r.a ko itminaan ho jaye tou theek or agar itminaan na ho tou phir Aap r.a registaano or paharron ke taraf nikal jaein.
Aik maqaam sy dosray maqaam ke taraf muntaqil hoty rahein or logon k badalty hoay haalaat daikhty rahein. Aap kisi na kisi nateejy par pohanch jaein gy… kion k jab waqiyaat samnay aaty hain to raa’ey bhe sahi ho jati hy…
Aap ny farmaya,
“Bhai tum ny khair khawhi or shafqat farmai hy InshaAllah tumhari raa’ey darust or mawafiq sabit ho ge”

Hazrat Imam Hussain r.a jab apnay Ehal o ayaal k hamrah Madina Munawra sy niklay tou Aap r.a yeh aayat parrh rahay thay…
Msg 3
…..Tarjama:
“Or wo is shehar sy nikla dar’ta hua. Is itnazar mein k ab kia hota hy. kaha.. Aey mery Rab..!!
Mujhy zaalim fouj sy nijaat atta farma”

Or jab Aap r.a Makkah Mukarma mein dakhìl hoay tou Aap r.a ny yeh aayat parrhi…
Terjama:
“Or jab Madiyan ke taraf matwaja hhoa kaha,
“Allah hy mera Rab mujhy seedhi raah par chalaye ga”

Jab Aap r.a Makkah Mukarma pohanchay is waqt mein Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a Makkah mein apnay kae haamion ko taiyar kar chukay thay.
yazeed ny ramzan 60 hijri mein Waleed bin Uqba ko maazool kar diya or is ke jagah Umro Bin Saad ko Madina ka Governer muqar’ar kea… Umro Bin Saad ny or aik rawayat k mutabiq khud yazeed ny Makkah Mukarma ka mahasra kar liya…
Hazrat Abdullah bin Zubair r.a ko giraftaar karny k liye 2000 sipahiyon par mushtamil aik lashkar Makkah ko rawana kiya… lashkar ny Makkah Mukarma ka muhasira kar liya.
Hazrat Abdullah bin Zubair r.a ny moasar kae dafa kiya…
Msg 4
….is karwaai k doran yazeed k lashkar ka sippah salaar mara gaya or Hazrat Abdulah Bin Zubair r.a ko fatah hoe. Hazrat Imam Hussain r.a is ma’arkay mein Haram e Ka’aba ke hurmat k paish e nazar shareek na hoay or alag thalag rahay.
Kion k jab Aap r.a Makkah pohanchay or wahan k logon ko Aap r.a ke tashreef aawari ke khabar ke to jouq dar jouq log Aap r.a ke khidmat mein aany lagay or ziyarat ka sharf hasil krny lagay.
Aap r.a Makkah mein aik panah guzeen ke hasiyat sy muqeem rahay… na he is doraan Aap r.a ny yazeed k khilaaf kisi sy bait le or na he Apne mowafkat mein koe lashkari taqat he faraham ke.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *