Topic 3 : Bolnay ki quwat

“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum
*Bolnay Ke Quwat*
Bolnay ke quwat… Allah ke anmol naimat hy,
Is k izhaar ka zariya zaban hy… Or is ke qadar wohi jaan saktay hein jo is naimat sy mehroom hoty hein…
Hamein har lamha is naimat ka shukar ada karna chahiye k, Allah ny hamein bolnay ke quwat atta farmaai.
Aaj apna jaaiza laina hy k…
Agar hamein ye quwat na milti tou kahan kahan or kia kia hota…??
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum
*Bolnay Ke Quwat*
Bolnay ke quwat… Allah ka anmol atiya hy.
Is ko naiki or achaai k leay he istamal keya jana chahiye or fazool-goe sy bachnay ke poori koshish karni chahiye.
Allah hamein is quwat ka sahi istamal karnay ke taofeeq atta karay.ameen
Dil sy dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum
*Bolnay Ke Quwat*
Aaj apna jaaiza laitay hein k…
Allah ke atta ke gae is quwat sy ham faaida haasil kar rahay hein ya nuqsan…??
Check your self…!!
Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke subh”
Asalam-o-alikoum:-)
*Bolnay Ke Quwat*
Bolnay ke quwat sy ham 4 qisam ke guftagou kartay hein…
1. Mufeed guftagou
2. Nuqsandeh guftagou
3. Fazool guftagou
4. Aisi guftagou jis mein nafa k sath nuqsan ka khatra bhe rehta hy.
Allah hamein bolnay ke quwat ka pasandeeda andaz sikha dy.ameen
Dil sy dua :)
4


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *