9. Ehlay Koufa ke Mushawrat Or Imam e Aali Maqam r.a ko Dawat

*~*Ehlay Koufa ke Mashawrat or Imam e Aali Maqaam ko Dawat daina*~*

Hazrat Ali r.a k zamana he sy koufa… Aap r.a k Sahabon or mehbobon ka markaz tha.
Wahan k log Hazrat Ameer moawia r.a k
eihad e warasat he mein Hazrat Imam Hussain r.a ke khidmat mein tashreef awari k leay arziyan bhaij chukay thay magar Aap r.a ny saaf inkaar kar diya tha… ab jab ounhain yeh pata chala k Ameer moawia ka inteqaal ho gaya hy or Hazrat Imam Hussain r.a, Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a or Hazrat Abdullah Bin Umer r.a ny yazeed ke bait sy inkaar kar deya hy or yeh bhe ilm hoa k Makkah ka pehla ma’arka Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a ny sar kar leya hy or is mein yazeedi lashkar ko nakaami ka moun daikhna parra hy…
or yeh k Hazrat Imam Hussain r.a bhe Madina Munawra sy Makkah Moazma chalay gaey hain..
Is sy muhib’anay Ali k hoslay buland hoay ounho ny aik shakhs Salman Bin Sard al khazami ko apna leader tasleem kea or ous k ghar aik majlis e mashawrat talab ke…
Msg 2
Tamaam sahaba Salmaan Bin Sard r.a k ghar jama hoay or Ameer moawia k marny ka zikar kar k sab ny Allah ka shukar adda kea, phir Salmaan bin sard r.a ny sab sy kaha k moawia halaak ho gaya hy or Imaam Hussain r.a ny yazeed ke bait sy inkaar kar deya hy or Makkah chalay gaey hain.
Tum log Oun k or Oun k baap k sahabi ho bus tum khoob jaan lo k agar tum in k madad gaar ban saktay ho or dushmano sy jehaad kar saktay ho to Oun ko likho or agar tumhin apni kamzori or buzdili ka andaisha ho to Oun ko dhooka na do.
Sab ny kaha ham Oun ko dhoka nai dain gay bal’k ham Oun k dushmano sy jung karein gay or Oun par apni jaan nisaar krain gay… Sulemaan ny kaha phir tum Ounhain likho, jis par ounho ny Aap r a ke taraf is kasrat sy khatoot likhy k khatoot or baad mein wafood ka taan’ta bandh gaya.
Msg 3
pehla khat Abdullah Bin Sabeeh Hamdaani Or Abdullah Bin Daal k hath rawana keya geya…
jo Imam e Aali Maqaam r.a ke khidmat mein 10 Ramzaan 60 hijri ko Makkah Moazma pohancha…
Is khat ke rawangi k baad 2 he din k arsa mein 53 arzian or taiyar ho gaein jo 1, 2, 3 or 4 aadmion k dast’khat sy thein… ye sary khatoot 3 aadmion k hath arsaal keay gaey.
Is k baad phir kuch makhsoos logon ny arzian bhajein or yeh sab yak e baad deegaray thorry thorry waqfy sy Hazrat Imam Hussain r.a ke khidmat mein pohanchy.
Khatoot ziada tar is mazmoon k hoty thay k Aap jald az jald koufaa tashreef laain.
Masnad e khalafat Aap r.a k leay khali parri hai.
Aap r.a k leay hazir hain sab k sab Aap r.a ke aamad k muntazir or Aap r.a ke deed k mushtaaq hain Aap r.a k siwa koe hamara paishwa or Imam nahi. Aap r.a ke madad k leay lashkar mojoud hy…
koufa ka haakim Numaan Bin Basheer r.a yahan mojoud hain… magar ham is k sath namaz e juma mein shareeq nai hoty….
Msg 4
…Or na he is k sath eid gah jaty hain.
Jab hamein maaloom ho jaye ga k Aap r.a tashreef la rahay hain tou ham is ko yahan sy nikaal kar mulak Shaam jany par majbour kar dain gay.
Akhri khat jo Haani bin Hani Sabee r.a or Saeed Bin Abdullah Hanfi r.a k hath Hazrat Imam Hussain r.a ko pohancha…
Is k baad Aap r.a ny koufaa walon ko likha k tum logon k bohat sy khatoot ham tak pohanchay jin k mazameen sy ham mut’tala hoay.
Tum logon k jazbaat or shidaat e mohabbat ka lehaaz karty hoay is waqt ham apny bhai, chacha k baitay or mu’tamid e khaas Muslim Bin Aqeel r.a ko koufaa bhaij rahay hain. Agar inho ny likha k koufa k halaat saaz gaar hain to Insha Allah ta’ala main bhe tum logon k pass jald aaoun ga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *