9. Roza or Taqwa ka Hasool

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Roza or Taqwa ka Hasool”
Rozay ka Asal maqsad faqat bhoka piyasa rehna nahi hota hy… bal’k is ka maqsad tou gunahon sy bachnay or naiki k ouper jam janay ki mashq krwana hy.
Ye Ramzan aik Mashq hy Emaan Walon k leay… Ham ny daikha ye foj walay, saal mein kuch aisa waqt aata hy jab ye mashqain krwatay hein. Mashqain kion krwatay hein…
Lahu garam rakhnay ka hy aik bahana…
Ye mashqain krwatay hein… k mushaqat krnay ki aadat bani rahay.
Isi trah Allah Ta’ala bhi banday ko Mashq krwatay hein, rehersal krwatay hein. Rozay sy faqat kisi ko bhouka or piyasa rakhna maqsud nahi asal tou wo jazba paida krna hy… k Jis sy Allah Ta’ala k Hukam per har cheez ko chor daina aasan ho jaey.
In ko ye kaha gaya k agar tum aik maheena hamarey hukam ki khatir Haram tou kia Halal cheezon ko bhi chor saktay ho tou Baqi sara saal Haram ko kion nahi chor saktay…
Tou Rozay ka maqsad in kamon ko chornay ki mashq krna hy jin ko chornay ka Allah ny Hukam deya hy. Is leay Hadees Pak mein aaya hy,
“agar koi Rozadaar ho or dosra banda koi is sy jhagra krna chahay…
Is ko keh daina chahiye k…
Bhai main Rozadaar hon. Main na tere sath jhagar sakta hon na koi ounchi baat kr sakta hon”
Tou maloom hoa k Rozay ka asal maqsad kia?
Apnay jism ko gunahon sy Bachana.
Baaz mufasireen ny likha hy k k aadmi k har juzv par roza farz hy pas zaban ka jhoot sy bachna , kaan ka roza na jaaiz cheezon k soun,ny sy ehtraaz krna, aankh ka roza la’oo o la’ab ki cheezon sy bachna…. aisy he baqi aza ka roza hat’ta k nafs ka roza hirs or shehwaton sy bachna, dil ka roza ousy duniya ki mohabat sy khali rakhna hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *