Alert 7-*Batil Or Active Person*

*Alert 7*
“Baatil or Active Person”
Baatil hamein active nahi rehnay daita…
Zara se bhe jismani takleef ko barrha charrha k dikhaey ga or araam ka mashwara dy ga.
Ab agar yahan ham faori alert na hoay tou moaamla bigarr sakta hy.
Kion k agar ham Haq ke raah k safar mein hein tou yahan batil har tara sy hamara safar ke speed ko slow down karnay ke koshish kray ga…
Jis ka aik pehlu ye hy k hamein achanak thakan, bila waja ke aa’saabi kamzori, koe mamooli takleef, ya ghair zaroori tension paida ho jaey ge…etc

Or ham osi pareshani mein he sara dhiyan laga dain gy or aisay mein ham chahein gy k kuch araam keya jaye.
Ab youn hoga k ham zara relax hoay, tou Batil mazeed sochein baidaar karay ga…
Maslan k ham tou bohat working kar rahay hein is leay ab kuch rest karnay ka bhe haq banta hy…
Ya ham apnay he safar k hawalay sy acha chal rahay hon tou lagay ga ab itna acha safar ho raha hy tou kuch relax ho jaoun thakan ho rahe hy.
Yahan tak baatil hamein bohat piar sy laey ga or hamein sirf thorra relax honay par he razi karay ga…

Kion k haq ke raah ka active raahi baatil k har waar sy alert rehtay hoay na sirf baatil sy larr k osay shikast daita hy bulky taizi sy apna safar be jari rakhta hy.
Is leay ab jaisy he ham baatil ke baat maan kr relax hony lagein gy tou baatil hm pr or gehra waar kr k hamare sochon ka rukh thorra or change kary ga or hamare nazar hamare takleef par chali jaye ge or ho sakta hy ham relax hoty hoty baatil k hathon mazloomiyat mein doubtay jaeein or is tara baatil haq ke raah par hamara safar mutaasir karny ke koshish karay ga.
Kisi bhe aisi situation mein phansnay sy khud ko bachaaein or baatil k is waar sy larrtay hoay apna safar taiz sy taiz kartay hoay baatil ko paspaai par majbur kar dain.
Kion k haq ka raahi jaanta hy k ye duniya amal ke jaga hy,
Or yahan ka pal pal ham ny amal mein guzarna hy or aik baar aankhein band honay par he lammmbaaa araam karna hy:-)
Haq Ka Allam Thaamay Rakhna:-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *