Apni Khata

Apni Khata

Ham ziada tarr moamlat mein apni ghalti dhoondhnay or tasleem karnay ke bajaye doosron ko qasoor waar thehraanay mein jaldi kar daitay hein…
Jab k zaat par kaam pr aashnai k is Safar mein nazar khud par rakh kr…
*Har Gall Koun Bass Apnnrri Khata Aakh*
K tor par tasleem krna hota hy. Yani har maomalay mein apni ghalti dhoondhni hoti hy or khud par kaam karna hota hy or jaisay dosray ke khata nazar aey tou faoran apna zaviya set kar k itni gehri nazar khud par karni hoti k andar sharminda ho jaey k nazar oudhar gae he kion the….

Aj is hawalay sy apna jaiza lain gay or share karen gay…
K..
Aaj Kahan kahan…
Kisi moaamlay mein kis qadar kisi or ko qasoor war samjh kar os par nazar gae…
Or phir kaisay faoran nazar ka zaviya badal kar khud ko daikha or apne khata dil sy qabool ke…

Example :

Aj jab mein school sy wais aye tou meri saas ka mood mujay off sa laga. Or mere andar soch aye k ye tou aksar aisya he behave krti hoti hein or kpe baat ho na ho inhon ny mood bana laina hota hy.
Phir ihsas hoa k ye tou mere nazar dosray par ja rahe jab k yahan ab ghalti meri hy k main pehlay sy he saass ka baray bad-gumaani kar k beth gaye hon….
Kia pata k inke tabiyat theek na ho ya phir koe or paryshani ya masla ho…
Jab ye ihsas hoa tou dil bohat sharminda hoa or phir oun sy ja k achay sy baat ke or hal ehwaal poocha tou unka mood bilkul off nai tha bus mere he badgumaan the.

Kam az kam 2 points share karnay hein.
Is ihsas k hawaly sy apna zaviya e nazar batana hy aik discussion msg ke surat.

Jazba Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *