AZAAN – Azaan ka biyaan

Azaan 
*~Azaan ka Biyan~*

Quran e pak mein Allah ta’ala frmata hy…
Al-Quran..
para 6
Rakoou 13
“Or jab tum azaan dy kr (logon) ko namaz ki taraf bulaty ho touvyeh kuffar or yahood o nasara ous k sath hansi or khail krty hein or yeh harkat is leay krty hein k aqal o samjh sy kaam nai laity”
is aayt e kareema mein azaan ka biyan hy.

Azaan k maani eilaan krny k hein. lakin shariyat e islaam mein panjgaana or juma ki namaz k leay khas ilfaz sy namaz kivitlaah dainy ko azaan kehty hein.

Azaan sy islaam ki aik khass shan zahir hoti hy is leay is ki bohat takeed hy.
Azaan mein Allah ki toheed or Piary Aaqa S.A.WW ki risalat ka ba awaaz e buland eilaan kiya jata hy…. isi leay kufar azaan sy jalty hein.

Har farz namaz k leay azaan kahi jaye. Azaan k leay ous namaz ka waqt hona zaroori hy. Agar waqt sy pehly azaan dyvdi jaye tou waqt shuru hony k baad ous azaan ka lotana zaroori hy.

Hadees e mubarika mein hy k azaan ki awaaz sy shaitaan bad hwas ho kr bhagta hy… yahan tak k maqam e Rohaa jo Madeena sy 36 meel dour hy wahan ja kr theharta hy.
(maqam e rohaa ka biyan faasly k ta’aiyan k leay kiya gya hy)

Hazrat Ibn e Abbas r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya jis shakhs ny saat saal tak azaan di tou ous ko dozakh sy aazadi hy.
Hazrat Abdullah Bin Umer r.a sy riwayat hy k aik shakhs ny Aap S.A.WW sy arz kiya k, moaz’zan tou ajar o swab mein hum sy aagy nika gy…
tou Aap S.A.WW ny frmaya k,
jo kuch moaz’zan kehta hy wohi ilfaaz tum bhe kaha kro or jab azaan khatam ho jaye tou Allah sy dua kiya kro azaan k baad jo dua ki jaye qabool hoti hy.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *