Azaan  *~Azaan ka Biyan~* Quran e pak mein Allah ta’ala frmata hy… Al-Quran.. para 6 Rakoou 13 “Or jab tum azaan dy kr (logon) ko namaz ki taraf bulaty ho touvyeh kuffar or yahood o nasara ous k sath hansi or khail krty hein or yeh harkat is leay krty hein k aqal o samjh sy kaam nai laity” is aayt e kareema mein azaan ka biyan hy. Azaan k maani eilaan krny k hein. lakin shariyat e islaam mein panjgaana or juma ki namaz k leay khas ilfaz sy namaz kivitlaah dainy ko azaan kehty hein. Azaan sy islaam ki aik khass shan zahirRead More →

*~Azaan~* *~Azaan k Kalmaat~* Azaan ka sunnat tareeqa yeh hy k moaz’zan paak saaf ho… qibla rukh khara ho phir shahadat ki oungliii dono kanoo k sourakhon par rakh kr azaan k kalmaat pukary. Tarjama…. Allah sub sy bara hy. Allah sub sy bara hy. Allah sub sy bara hy. Allah sub sy bara hy. Main gwahi daita hon k Allah k siwa koe maboud nai. Main gwahi daita hon k Allah k siwa koe maboud nai. Main gwahi daita hon k Muhammad SAWW Allah k Rasool hein. Main gwahi daita hon k Muhammad SAWW Allah k Rasool hein. Aao namaz k leay. Aao namazRead More →

*~Azaan~* *~Azaan Ka Jwab Kaisy Diya Jaye~* Aik sahabi biyan frmaty hein k k Hazrat Moavia k pass tha k oun k moaz’zan ny azaan di tou Hazrat Moavia ny azaan k kalmaat moaz’zan ki tarah dohraaye. Yahan tak k jab moaz’zan ny HAIYA ALA SALAT kaha tou Hazrat Moavia r.a ny LA HOLAA WA LA QUWATA ILA BILA kaha, phir ous k baad wohi kaha jo moaz’zan ny kaha… phir Ameer Moavia ny kaha k main ny Rasool Allah S.A.WW sy azaan ka jwab aisy he souna. Hazrat Abdullah Bin Umroo Bin Al Aas r.a sy riwayat hy k Rasool Allah S.A.WW ny frmaya,Read More →

*~Azaan~* *~Azaan K Baad Ki Dua~* Azaan k baad darood sharif parh kr yeh dua parhaein…. AL’LA HUMA RABA HAZAYHI DAWA TIT TAMAA, WASALATIL QAAIMA AATI MUHAMADA NIL WASEELATA WAL FAZEELATA WAB AS’HOO MAQAMAN MEHMOODA NIL LAZI WA AT’TA HOO INA KA LA TUKHLIFUL MIYAAD. Tarjama…. Ay Allah..!! Ay kamil pukar k Rab…!! or is qaaim hony wali namaz k rab Muhammad S.A.WW ko waseela or fazeelat ata frma or Aap S.A.WW ko Maqam e Mehmood ata frma jis ka Aap ny Oun sy wada frmaya hy… beshak k Aap apny wady ko poura frmaty hein. Ihsas Atta Ho.   *~Azaan~* *~Azaan K Baad DuaRead More →

*~Azaan~* *~Azaan k Zaroori masaail~* 1. Hadees e mubarika mein hy k “Bina wazoo azaan na di jaye” Albata majbouri ki halat mein bila karahat jaaiz hy jaisy namaz kawaqt tang hota ja raha ho ya kisi bimari ki wajah sy wazoo na kr sakein. 2. Jo shakhs azaan dy wohi takbeer parhy… albata moaz’zan azaan dy kar kaheein chala jaye ya dousry shakhs ko takbeer ki ijazat dy dy tou wo takbeer parh sakta hy. 3. Takbeer sirf farz namazon k leay masnoon hy. Taraweeh, eidain, namaz e janaza k leat azaan nai. 4. Aourton ko azaan ya takbeer kehna makrooh hy khaw namazRead More →

*~Azaan~* *~Jin Sorton Mein Azaan ka Jawab Na Dainy Ki Ijazat Hy~* 1. Namaz parhny ki halat mein. 2. Khutba sounty waqt. (Khutba juma ka ho eidain ka ya nikkah ka) 3. Haiz ki halat mein. 4. Nafaas ki halat mein. 5. Ilm e deen parhty ya parhaty waqt. 6. Jamaa ki halat mein. 7. Qaza e hajat k waqt. 8. Khana khaty waqt. 9. Namaz e janaza parhty waqt. Ihsas Atta Ho.Read More →

*~WAZOO~* *~Fazaail e Wazoo~* Hadees e mubarika mein wazoo k bary fzaail biyan kiye gy hein. Hazrat Usman r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya, “jis ny achi tarah wazoo kiya ous k tamam gunah ous k badan sy nika jaty hein yahan tak k nakhoono k neechy sy bhe nika jaty hein” 2. Is ahadees e mubarika mein is sy bhe ziada wazeh hy frmaya, “Jab momin wazoo k irady sy kuli krta hy tou ous k munh k gunah harij ho jaty hein or jab naak saaf krta hy tou naak k gunnah harij ho jaty hein jab munh dhota hyRead More →

*~WAZOO~* *~Wazoo ka Tareeqa~* wazoo ka tareeqa yeh hy k wazoo krty waqt agar mouqa ho tou qibla rukh kisi ounchiii jagah par baith jaein ta’ k kapron or badan par cheintain na parain. wazoo shuru krny sy pehly Busmillah parahein, phir teen martaba dono hath giton tak dhoein is k baad teen martaba kuli krain or ho saky tou miswk krain. agar roza na ho tou gargarah kr k achi tarah sary mynh mein pani pohancha dy. or agar roza ho tou gargarah na kry aisa na ho k halaq sy pani andr chala jaye. phir teen martaba naak mein paani dalain or baeinRead More →

*~WAZOO~* *~Wazoo k Zaroori Masaail~* Wazoo mein baaz batein aisi hoti hein k agar oun mein sy aik bhe chout jaye ya ous mein kami reh jaye tou wazoo nai hota… aisi baat ko FARZ kehty hein. WAZOO MEIN 4 FARZ HEIN… 1. Aik martaba munh dhona. (paishani k balon sy thori k neechy tak… aik kaan ki loo sy dousry kaan kaa ki loo tak) 2. Aik martaba dono hath kohniyon smait dhona. 3. Aik martaba chothai sar ka masah krna. 4. Dono paoun takhno smait dhona. *Wazoo mein baaz batein aisi hein k jin k chout jany sy wazoo tou ho jata hyRead More →

*~WAZOO~* *~Wazoo K Chand Eham masaail~* 1. Angouthi, chaly, chouri, kangan waghira agar itny dheely ho k bina hilaye oun tak pani pihanch jaye tou bhe oun ko hila laina mustahib hy or agar tang hein tou in ko hila kr pani neechy tak pohanchana wajib hy. 2.Agar kisi k nakhun mei aata lag kar soukh gya ho or ous k neechy paani na pohancha tou wazoo nai ho ga… jab yaad aaye tou aata chura kr pani bahaye or agar paani daalny sy pehly koe namaz parh li hy tou ous ko dobada parhy. 3. Kisi k maathy par afshaan chuni hue ho orRead More →