*Ihsas ke kiran* Asalam 0 alikoum “Muhasba E Nafs” Nafs…. bohat ziada nuqsan pahonchanay wala dushman hy. Ye is leay bhe nuqsandeh hy k ye hamaray andar rehnay wala dushman hy… Jaisay koe ghar mein chupa ho…. Shaitaan k baray mein Piaray Aaqa S.A.WW ka farman hy k… “Shaitaan Ibne Aadam mein khoon ke tara chalta hy” Allah hamein har sharr sy apne panaah mein rakhay.ameen Dil sy dua 1 *Ihsas ke kiran* Asalam 0 alikoum “Muhasba E Nafs” Nafs…. nafs or shaitaan hamaray khoulay doushman hein laikin in ke saazishon ko samajhna bohat mushkil hota hy. Ye hamein aisi cheezon ke taraf maail kartaRead More →

“Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum *Khud Pasandi* Apnay he zaahir ke muhabat mein mubtila ho kar sirf apni he zaat ko har zavia e nazar sy behtareen dikhana, samjhna or is par yakeen rakhna khud pasandi hy. Jab ham khud ko khud he judge kartay hoay har moamlay mein khud ko acha samjhtay hein tou khud pasandi ke daldal mein phanstay jatay hein. Allah hamein khud pasandi sy bachaye.ameen Dil sy Dua 1 “Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum *Khud Pasandi* Khud pasand shakhs apni khoobion, salahiaton, qabliaton ko apna kamal samjhta or in k bal par hasil honay wali kisi bhe kamyabi koRead More →

*Ihsas ke kiran* Asalam 0 alikoum “Muhabat-E-Quran” Allah sy Muhabat ke alaamat Quran sy muhabat hy, Aaj thori dair Quran pak ko samnay rakh kar piar sy daikhein aisa lagay ga. Jaisay Quran Pak Keh raha hy k main Allah Zuljallal ka kalam hon. Main jis k dil ke zeenat ban jata hon wo Noor sy Munawar ho jata hy, main dil ka Saroor or ankhon ke thandak hon. Main Roz-E-Qiamat Allah ke Bargah main Shafa’at karaon ga, Main Rushd-o-Hidayat ka Menaar hon, main sab sy Afzal-o-Aazeem kitab hon, Mere andar Israar-o-Ramoz or Hikmaton k By Kinaar Samandar hain. Mujhy Zindagi k har Maslay mainRead More →

“Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum *Ihsas e Kamtari* Kisi aik ya aik sy ziada pehlooun sy apny aap k dosron sy kam tarr honay ka ihsas ko ihsas e kamtari kehtay hein… Jab ham andar he andar apni zaat k mukhtalif pehlooun sy mouwazna, doosron k sath kartay hein tou hamein apni kisi kami beshi ya khaami k ihsas hota. Ham os khaas pehloo k hawalay sy doosron ko standard ya ideal bana kar khud ko judge karna shuru kar daitay hein or youn hamaray andar ihsas e kamtari paida ho jata hy. Think about it…!! Dil sy Dua 1 “Ihsas ke Kiran” AsalamRead More →

“Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum *Ihsas e Bartari* Khud ko doosron sy behtar o bartar samajhnay k bejaa ihsas ko ihsas e bartari kehtay hein… Or chahey ham zaban sy kahein ya na kahein hamaray andaz, tarz e zindgi khud ba khud hamaray andar majood ihsas e bartari k ainda daar hotay hein. Ihsas e bartari hamein doosron ko khud sy kamtarr dikhata hy or khud ko aala o afzal samajhnay par majboor karta hy. Allah hemein ihsas e bartari sy bachaye.ameen Dil sy Dua 1 “Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum *Ihsas e Bartari* Hamaray andar maojood ihsas e bartari ke wajah syRead More →

“Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum * Bad Dianti * Allah ke har naimat chahey wo maal o doalat ho ya ehal o ayyal, zindgi ho ya sehat o tandrusti, ilm ho ya koe mansab… ye sabb hamaray pass Allah ke amanat hein… Or inko Allah k ihkaam k tabay rehtay hoay Allah ke pasand or raza k moutabiq he istamal karna hota hy or in sy mustafeed hona hota hy. Agar ham aisa nahi kartay yani in sabb ko apni mann marzi k moutabiq istamal kartay tou ye bad dianti kehlaye ge. Allah hamein bad dianyi sy bachaye.ameen. Dil sy Dua 1 “Ihsas keRead More →

“Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum *Qana’at* Hazrat Ibn e Masood r.a sy riwayat hy k… “Jo Khuda ke tarf sy nawaza geya hy os par qana’at karnay wala jannat mein jaey ga.” (Kanzul Amal) Allah hamein bhe apnay millay hoay par qaina’at ikhtiar karnay ke taofeeq dy.ameen Dil sy Dua 1 “Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum *Qana’at* Allah ny hamein jo rizq ata keya hy… Hamein osi par qana’at ikhtiar karni chahiye or Allah ka shukar karna chahiye. Ham amooman rizq ke tangi k hawlay sy Allah sy gillay shikway kartay rehtay hein… Or bawajood is k hamare achay tareeqay sy zindgi keRead More →

“Ihsas ke Kiran” Asalam o alikoum *Raza* Allah ke raza mein razi rehna tab he mumkin hota hy… jab hamaray andar Allah ka ihsas or Allah ka yaqeeen pukhta ho… Is ihsas or yaqeen k honay par he ham kisi bhe maomlay mein Allah ke raza mein razi hotay hein… chahay bazahir os mein behtari ya bhalai ham deikh saken ya nahi… magar is k bawajood dil ka emaan ho k Allah hamaray leay kabhe bhe behtareen k siwa nahi karta or oska koe kaam hikmat sy khali nahi hota. Ye tou ho sakta hy k ham os hikmat ko samjhnay ke taqat ya deikhRead More →

*Ihsaas ke kiran* Asalam-o-Alaikoum “Ramzan” Ramzan k Mahenay main hum buhat kuch sy parhez kartay hain… Takay rozay ka haq ada kar sakein. Rozay k doran sab sy mushkil or zarori kam jis sy hum rozay ko Allah ke raza k mutabiq guzar kar apnay amal ko zaya hönay sy bacha saktay hain… Wo zuban par cantrol hy… Aaj sy hum khanay penay k har parhez k sath zuban par he cantrol karein gy… InshAllah. Dil sy dua 1 *Ihsaas ke kiran* Asalam-o-Alaikoum “Ramzan” Hazrat Abu Saeed khizar r.a sy rawayat hy k… Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k, “jab subha hoti hy tou jisamRead More →

“Ihsas ki kiran” Asalam o alikoum *Aayat-E-Qurani * “Allah se Darna” Al’Quran sorat Al-e-Imran Ayat 198… “lakin jo log apne Rab se dartay rahay,in k leay bahishtain hein,jink nechay nehren behti hein,wo in meim hamysha rehne walay hein, Allah k haan se inki mehmani hy,or jo kuch bhe Allah k pas hy wo naik logon k leay bohat he acha hy” Darne wala he khud ko bachaey ga buraion se or jis ne khud ko buraion se bacha lia wohe kamiyab hy. Dil se dua 1 “Ihsas ki kiran” Asalam o alikoum *Aayat-E-Qurani * “Aazmaish” Sorat Ankabot ayat, 2,3. “kia ye log khiyal krtay heinRead More →