“Haq ki Baat” Jab ham apne andar yaani dil mein Haq ya Haq walo ko pakar lete hain tou aasani se bahir ki pakar se aazad hojatay hain. Ab jo jitna andar ki pakar ko mazboot karta jaye ga utna he bahir ki pakar se aasani se aazad hota jaye ga. Chahay wo pakrain dunia, nafs aur shaitan jis soorat mein bhi hoti ho. Aur chahay chahay ham ne unhain oakar rakha ho ya unhu ne hamain qaidi banaa rakha ho. شاه جى❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسلہ)Read More →

“Haq ki baat” Khami choti ho ya bari…khami hoti hai… Hum aksar apni khamiyan chupane ki bharpor koshish karte hain or ager koi hmari khami ki nishan dehi kare to use qabool karne ke bajai isko darust sabit karne ki koshish main lag jate hain.Or is shaks ke shukar guzar hone ke bajai us se chirh mehsoos karte hain jisne khami bata kar hamare liye islah ki raah khouli hoti hai.. Or youn is khami ko dour karne ke bajai is main mazeed phans jate hain… شاه جى❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسلہ)Read More →

“Haq ki Baat” Yaqeen Allah par hona chahiye. US Par Yaqeen aapko apne andar khud aitamadi deta hai. Sirf khud pe yaqeen anna ki soorat nikal aata hai. Agar ham Allah k yaqeen se apne andar yaqeen aur andar khud aitamadi paida karain gay tou us se hamare andar aajzi aaye gi. Mehez apni khud aitamadi se ham Allah par yaqeen nai kar saktay. Hamare andar khud aitamadi ho tou ye zaroori nai k uski waja se Allah par yaqeen barh jaye ga. Isliye Allah par yaqeen ki manzil se apne par yaqeen ki manzil ki taraf safar karain. ? شاه جی ? حق باتRead More →

“Haq ki Baat” Almiya ye hai kay hamara Allah par yaqeen sirf socho’n ki hadd tak hai. Allah tou jahan hai waheen hai… Allah ne qareeb ya door nahin hona hota hai.. Ham Allah se Qareeb ya Dooor hotay hain. ?شاه جى ? حق بات (محمدی حسینی سلسلہ)Read More →

” HAQ ki baat ” Jesy har mulk kay shehri kii shnakht us kay shanakhti card sy hoti hai. Esyy hi akk Musalman kay tor prr hmari shnakht ye honi chaie kay hm Allah kay har hukam pr tasleem o razaa ka paikar nazar aien. شاه جى❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسلہ)Read More →

HAQ ki Baat Jub b hum kisi moamly mein Allah ka yaqeen aur umeed rakhny kii koshish krty hain to dunia apnii jlwa samanion kay sath sathai saa sahara ya umeed hmary samny la khara karti haii taky hm Allah sy nazar hata kr iis sathai sahary syy umeed lga lein. Ub agar hm is samnay ki umeed sy nazar hata krr iss peechy ki haqeeqat ko nae dhound paty to ye dunia aain waqt pr hmein dhoka dy deti hai.. شاه جى❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسلہ)Read More →

“HAQ KI BAAT” Mayusi mein jitni dafa bhi giro wo koi burri ya barri baat nai. Magar girnay k baad phir se uth k kharay ho jana zaroori hota hai. Girnay aur uthnay k darmyab ka period golden period hota hai. Is doran Allah intazar mein hota hai k mera banda kese meraa hath pakarta hai. شاه جى❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسلہ)Read More →

HAQ KI BAAT Ham log Input kay bagair he Output hasil karne ki koshish karty hain. Jab tak Output apne oopar taari karty rahain gy tou kuch hasil nai hoga kyu k ye aik fitri amal hai. Input khud he andar se paida hoti hai. Insan apne andar he jitnaa Input ko parwaan charhata jaye, utni he uski Output achi hoti jaati hai. شاه جى❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسلہ)Read More →

Haq ki baat Baron ko dil main basane ki bari khuwa’hishain rakhte ho.. To in baron ke liye dil bhi bare karne parte hain …. شاه جى? ?حق بات (محمدی حسینی سلسلہ)Read More →