*~*Koufa mein Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ka Walehana istakbaal*~* Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a apnay kuch sathioo or 2 baiton ko jo k Aap ko bohat piyaray thay… in ko sath ly kar koufa rawana huay. Aap ny koufa pohanch kar Mukhtaar Bin Ubaid Saqfi r.a k makaan par qayaam farmaya. Koufa k sheeyaan e Ali ny Aap r.a ka shaan daar istaqbaal keya or Hazrat Imam Hussain r.a k numainda k toar par jouq dar jouq Aap r.a k hath par bait karny lagay. Yahan tak k pehlay he din 12000 afraad ny Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a k hath par Hazrat ImamRead More →

*~*Yazeed ko It’talaa*~* Is waqt koufa k Governer Noumaan Bin Basheer r.a thy… Aap r.a Sahabi e Rasool S.A.WW hony k sath sath muhib e ehlay bait bhe thy is leay Aap r.a ny Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ke raah mein koe rukawat kharri na ke or khamoshi sy sab kuch gawara Kea… jab yazeedi hakumat k haamiyon ny daikha k halaat palat janay ka imkaan hai to wo Noumaan Bin Basheer k pas aaey or kaha k koufa shehar yazeed ke hakumat sy nikla ja raha hai or too khamoshi sy tamasha daikhay ja raha hai. Muslim Bin Aqeel r.a ko giraftaar karRead More →

*~*Noumaan Bin Basheer ke Maazuli or Ibn e Ziyaad ka taqar’ur*~* Koufa ke surat e haal k baray mein it’talaa k hawaly sy yazeed ny apny aik khandani ghulaam sarjoon ko bulaya. Sarjoon Ameer Moawiya ka khass aitamaad wala ghulaam or khandaan ka raaz daan tha. Yazeed ny is ki goud mein parwarish pai thee. yazeed ny is ko tamaam halaat bataey or poucha k ab mujhy kia karna chaheye…? Sarjoon ny kaha Ameer Moawia zinda hotay tou kia aap in ka mashwara qabool ker laitay ? Yazeed ny kaha ” haan ” sirjon ny kaha to mera ye mashwara bhe qabool kar lain kRead More →

*~*Ibne Ziyaad ka Koufa Mein Dakhla*~* Obaid ullah Bin Ziyaad Basra sy apnay ehalay khana or 500 sawaro k hamrah koufa ke taraf rawana hoa. In mein sy kuch rastay mein he thahar gaey magar is ny kuch parwa na ke or barabar chalta raha. Kaadsiya k maqaam par pohanch kar is ny 17 afraad ko apnay sath liya or baqi ko waheen chourra or dhoka dainay k leay Hijazi libbaas pehan kar ount par sawar hoa or chand aadmio ko apnay hamrah lay kar hijazi rastay sy maghrib or isha k darmiyan koufa mein dakhil hoa. Raat k andhairy mein makr o faraib kRead More →

*~*Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ke talaash*~* Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a… Hani bin Urwah k ghar mein thehry huay thay. Kafi log khufiya tour par aatay jatay thay or bait ka silsila bhe jari tha idhar ibn e ziyaad musalsal is talash mein tha k kisi tara pata chalay k Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ko kis shakhs ny panah dy de hai. Aakhir ous ny apny aik ghulaam ko bulaya or usay 3000 darham daitay hoay kaha k Muslim Bin Aqeel r.a or in k sathiyon ko talash kar k in sy mulaqaat karna or ounhain yeh maal dy kar batana k tumRead More →

*~*Umm E Hani ki Giraftari*~* Hani bin Urwah r.a koufa mein aik muqtadir shakhsiyat thay. Ibn e ziyaad k sath in k pehlay sy ta’aluqaat thay. Hazrat Muslim bin Aqeel r.a k aanay sy pehlay in ka Ibn e ziyaad k pass aana jana rehta tha. Hazrat Muslim bin Aqeel r.a k apnay ghar aanay k baad… Inhon ny beemari ka bahana kr k… Ibn e ziyaad sy mail milaap tarak kr deya. Ibn e ziyaad chun’k tamam halaat sy baa khabar ho chuka tha. So aik din ous ny Hani r.a ka zikar krtay hoay pocha k dosray uma’ra k hamrah Hani hamain milnayRead More →

*~*Hazrat Muslim Bin Akeel ke Shahadat*~* Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a or Ibn e ziad k darmiyan taweel guftagoo hoe… jis mein Ibn e Ziad mukhtalif ilzamaat lagata raha or Aap r.a in ilzamaat k jawab daity rahay or aakhir kaar Aap r.a ny jaan leya k is ny Aap r.a ko qatal karny ka hatmi faisla kar leya hy tou Aap r.a ny isay kaha k mujy wasiyat karny ke mohlat do. Ibn e ziad ny kaha k Aap r.a wasiyat kar saktay hain Aap r.a ny hazreen par nazar daali tou oun mein umer bin abi waqaas b mojood tha. Aap r.a nyRead More →

*~*Shahadat E Farzandaan E Hazrat Muslim Bin r.a Aqeel*~* Hazrat Muslim bin Aqeel r.a koufay k bigrray hoay halaat ko daikh kr apnay bachon… Hazrat Muhammad r.a or Hazrat Ibrahim r.a ko Qazi shareeh k haan hifazat ki gharaz sy bheij chukay thay. Tareekh ki kutab mein yeh bhi aata hy k Muhammad o Ibrahim dono masoom thay… oun ko bhi Muslim bin Aqeel r.a ki shahadat k baad shaheed kr deya gaya. “Rozah ush Shuhadaa” mein Mula Hussain kashfi ny is waqiya ki tafseel youn biyan ki hy k Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ny oun dono Shehzadon ko yeh keh kr Qazi ShareehRead More →

*~*Qatil ka Anjaam*~* Haris badbakht ny bachon ko shaheed krnay k baad oun ki laashon ko darya E Farat mein phaink deya or saron ko thailay mein rakh k ibn e ziyaad k samnay paish keya… Ous ny poucha k is mein kia hy?? Haris ny kaha k inaam o ikram k leay dushmano k sar kaat kr laya hon… Ibn e ziyaad ny kaha k yeh sar kin dushman kon hein? Haris ny kaha Muslim bin Aqeel k farzand… Ibn e ziyaad yeh soun kr ghazab naak ho gaya or kaha k tujhy qatal krnay ka hukam kis ny deya tha. Kambakht main nyRead More →

*~*Hazrat Imam Hussain a.s ka Kufa Janay ka Paka Azm*~* Ehl E Koufa k khatoot or wafoud k baad Imam E Aali Maqam r.a ny Muslim bin Aqeel r.a ko halaat sy aagahi k leay Koufa bheja tha. Aap r.a ny ehl E koufa ki be’panah aqeedat o mohabat ko daikhtay hoay Imam E Aali Maqam r.a ko likh bheija tha k Aap r.a tashreef ly Aaein. Yahan hazaron afraad Aap r.a ki traf sy mery hath par bait kr chukay hein. Chunachay Hazrat Imam Hussain r.a ny Koufa janay ka pakka azm kr leya. Idhar Koufa mein jo inqalaab barpa ho chuka tha… OusRead More →