“~*Shaaor E Ramzan*~” “Jannat ki Aaraish” Ramzan ul Mubarik ka Maheena Ajeeb barkaat k Nazol ka Maheena hy. Yun lagta hy k Barkaat k Darwazey khol deay jatay hein. Hadees Pak mein hy k Ramzan ul Mubarik k aanay sy pehlay Jannat ko khushbo’on ki dhoni di jati hy. Jaisay Ham log kisi khaas mehman ny aana ho tou us k aanay sy Pehlay Ghar ko sajatay hein or Kamrey mein room freshner chiraktay hein ta’k Mahol khushgawar ho jaey. Aisay lagta hy k Jannat mein bhi aisy hi Janatiyon k ikram mein khushbo’on ki dhoni di jaey ge. Janat ko Emaan Walon k leayRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Puray Saal ka Qalb” Hadees Pak mein hy k Ramzan puray Saal ka Qalb hy. Agar Ye Darust raha tou pura Saal darust raha. Imaam Rabani Majdud Alf Sani (r.a) ny Ajeeb baat likhi hy … Wo farmatay hein k “ye Maheena, aanay walay puray saal ka mukadma hy. Misal k tor per ye aik Banda Takbeer e Olaa ki pabandi chahta hy magar hasil nai hoti tou agar wo Ramzan ul Mubarik mein Takbeer e Olaa ki pabandi kray ga..Tou wo apni aankhon sy mushahida kray ga k aanay Walay Saal mein Allah Ta’ala is k leay Takbeer e Olaa kiRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “ROZA JISM KI ZAKAT HY” Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k, “Har cheeze ki zakat hy or aadmi k jism ki zakat roza hy” Haqeeqat mein tou tamam ibadatein aik lehaz sy zakat he ki tareef mein aati hein lakin bator e istalah sirf maal ki zakat ko zakat sy tabeer kiya gya hy. zakat asal mein yeh hy k Allah ka diya hua jo kuch aap k pass hy ous par Allah ka haq tasleem krain or pus mein sy OS ki rah mein kharch krain. chunachy roza aadmi k jism ki zakat hyRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Roza Dhaal hy” Aik Hadees pak mein aata hy k, “Roza Dhaal hy, pas tum mein sy jab koe rozy sy ho tou ousy chahiye k wo ous mein bad kalami kry na danga fasad” Rozy k dhaal hony ka matlab yeh hy k roza kar zaar e hayat mein insan ko buraiyon sy bachany wali dhaal hy. jis tarah dushman ka waar dhaal sy roka jata hy isi tarah buraai ka koe mouqa paida hony par agar aik shakhs yeh khiyal kr ly k wo rozy sy hy tou ous ka roza ous k leay buraai k muqably mein dhaal kRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Barkaton wala Maheena” Ramzan ul Mubarik mein Allah ki taraf sy be’inteha barkaton ka nazol hota hy. Aik martaba Nabi Akram S.A.WW ny Irshaad Farmaya… “Tumharay ouper Ramzan aa gaya hy jo Barkat Wala Maheena hy, Is mein Allah Rab ul Izat tumhari taraf mutawajah hotay Hein or Tum per Rehmatain nazil farmatay Hein,Tumhari khataaon ko maaf krtay Hein, Duaaon ko Qabool farmatay Hein or Is mein tumharay tanafas ko daikhtay hein” (Tanafas ka matlab hy muqabla pr aik dousry sy bhar kr kaam krna. yahan tanafas sy murad ramzan k maheeny mein barrh charr kr achy kaam krna hy) (Rawah uRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Rozadaron ka Ikram” Qayamat k din Rozadaron k Ikram k leay aik khaas gate ho ga… jisy Baabu r Reyaan kehtay hein jis sy Wo guzrain gy. Imam Bukhari (r.a) ny Aik Hadees bayan ki hy… Wo farmatay Hein… “Jannat ka aik Darwaza hy jis ka naam reyaan hy. Qayamat k din is mein sy Rozadaar Log guzarain gy. Is k siwa koi banda is Darwazay mein sy nahi guzar sakta… Aawaz di jaey ge k Roza rakhnay Walay kahan hein? Rozadaar kharay ho jaen gy, in k siwa koi is mein dakhil nahi ho sakay ga or jab wo dakhil hoRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Rozadaar k Munh ki Khushboo” Hadees pak mein aata hy k, “Rozadaar k munh ki badboo Allah Ta’ala ko Mushk or Anmbar sy bhi ziada pasandeeda hy” Is sy Allah Ta’ala ki Rozadaar sy muhabat ka Izhaar hota hy. maidy k khali hony ki wajah sy roza daar k munh sy jo boo nikalti hy wo Allah jala shan o hoo ko bohat pasand hy. Allah ta’ala is par jo kuch ata frmaein gy ous k mutaliq hadees ki tashreeh krny walon ny likha hy… 1. jab wo qiyamat k din qabron sy outhein gy tou oun ki yeh ilamat ho giRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Ibadat ka Maheena” Ramzan ul Mubarik mein Rozadaar ki Ibadat k ajar ko berha deya jata hy. Agar nafal kaam kray ga tou farz k barabar ajar deya jaey ga or agar aik Farz pura kray ga tou 70 farzon k barabar Is ko ajar atta Farmaya jaey ga. Lehaza is Maheenay mein Ibadaat ka ziada ziada ahtamam hona chahiye… Tahajud ka perhna is maheenay mein aasan ho jata hy kion k Sehri khanay k leay tou uthna hi hota hy. Banda thori dair pehlay Uth jaey or kuch Nawafil hasb e toufeeq adaa kr ly tou Tahajud ki fazeelat naseeb hoRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Be’Misaal or Be’Raya Ibadat” Hadees Pak mein aaya hy, “Tumharay ouper roza lazim hy kion k is ki koi misal nahi” rozy k bary mein 2 batain zehan nasheen kr laini chahiein k aik tou yeh k yeh aik be misaal Ibadat hy or dosri baat yeh hy k yeh aik be raya Ibadat hy. Roza mein raya kaari hoti hi nai. Aap pochain gy wo kaisy? Wo is trah k roza daar admi jab wuzu krta hy tou us waqt kuli krnay k leay munh mein pani dalta hy, ab agar wo aadha pani andar ly jaey or aadha bahir nikaalRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Bhok ki Fazeelat” Ba Yazeed Bastami r.a Aik martaba bhok k fazail bayan kr Rahay thay… Tou kisi ny kaha k Hazrat Bhok k bhi koi fazail hein… Farmaya Haan agar Fir’on ko bhok milti tou wo kabhi bhi Khudai ka Dawa na krta… Us ny Khudai ka dawa keya hi isi leay tha k is ka pait bhara hoa tha. Jab pait bhara hoa hota hy tou phir banda apni oqaat bhol jata hy. Allah Ta’ala ny Ham aajiz Maskeeno ko hamari Oqaat yaad dilanay k leay Ramzan k Rozon ko Farz k deya ta’k zara bhok bhi lagay or PiyasRead More →