Chahat Ke Ghulaami

“Chahat Ke Ghulaami”

Zarorat or Chahat mein farq hota hy…
Ham agar nafs ke ghulami kartay hein tou hamaray andar bohat se chahatein paida hoti rehti hein or ham oun chahton k hasool k leay faoran muta’harik ho jatay hein….

Ham faori taor par osay pora kar k nafs ke behtreen ghulaami karnay ka sabot daitay hein…

Or is tara wo chahatein hamein apne ounglion par nachaye rakhti hein…
Or in chahton ke ghulami k hathon majboor ho k naachtay nachtay ham her qadam apni Manzil say dour ho rahay hotay hein….

Aaj k din….
Aisi outhnay wali chahaton ko pakarrna hay….
Or share karna hy k

Os par paoun rakh k khud ko kaisay ghulami ke aik zanjeer torr k aazaad karaya…

Ya phir nafs ke ghulaami karnay ke porani aadat k hathon majbur ho k chahat pori ke or baad mein kgiyal aaya.

Example :

Mujay Orange flavour Tangg pasand hy.
Aaj jab school sy wapas aei tou bohat garmi or piyass lagi hoe the.

Or mera Tang peenay ko boht dill kar raha tha…

Jab kitchen mein banany gae tou tang khatam hoa parra tha or khali bottle daikh k mujhy bohat boura laga..

Osi waqt paisay nikalay or maid sy kaha k jaldi sy shop sy tangg la do…

Wo bichari dhoop mein gae or tangg ly aei… tangg daikh k mere aankhein aisay chamak gaein..
Faoran bana k peya.

Or jab pee rahe the tou khiyal aya k ye tou main my apne chahat ke ghulami ke…

Garmi ke waja sy piyass tou pani sy bhe bujh sakti the… tang zarori tou nai tha…
Tab bohat afsoos hoa k aik itni se chahat ny mujhy nacha k rakh deya…

Or apne is chahat ko pakrrna aaj k is zaat par kaam k topic ke waja sy mumkin hoa.

*Aap aisay point bhe share kar saktay hein jahan aap ny apne chahat ka ihsas hotay he osay waheen pakarr leya or khud ko chahat ke ghulaami ke zanjeer sy aazad karaya or is mein kaisay kaisay apnay andar larrna parra…

Kam az Kam 2 points share karnay hein.

Or is topic par apna point of view bhe daina hy…

Sanwartay Raho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *