DAY 2

DAY 2 

TOPICS :

3. “Namaz Ki Farziyat”
4. “Namaz K Mani”


 

*~Namaz Ke Farziyat~*

Dur e mansoor mein Imaam Sayouti r.a ny naqal keya k..
Jab Mairaaj ke shab Bait ul muqadas mein Masjid e Aqsa k darwazay par pahonchay tou wahan aik jaga Hooraan e jannat ko beithy daikha..
Hooron ny Aap S.A.WW ko salam kiya tou Aap S.A.WW ny pocha k..
tum kon ho?
Tou Hooran e jannat ny arz keya k…
ham naik logon ke bibiyan hooran e jannat hein…
aaj Aap k peechay namaz parrhnay aaei hein.
Aap S.A.WW wahan sy aagay chalay…
Jab masjid e Aqsa k andar pahonchay tou sari masjid ko namazion sy bhara hua paya…
Aik daraaz qamat khubsurat buzurg ko namaz mein maahghool daikh k pocha k Jibraeel ye kon hy?
arz keya yey Aap S.A.WW k jadd e amjad Hazrat Adam a.a hein.
Aik or norani shakal o surat walay buzurg ko namaz parhty daikha jin k sar or daarrhi k baal sufaid thy…
pocha yeh kon hein? Jibraeel a.s ny arz ki yeh Hazrat Ibraheem Khaleel Ullah hein…
Aik or buzurg ko daikha jin ke rangat sanwli saloni barri manmohni the or chehray par jalaal k aasaar numayaan thay…
pocha k Jibraeel a.a yeh kon hein…
arz ke yeh Allah k aashiq saadiq laadlay paighambar Hazrat Mossa a.a hein.
Algharz… Nabi Akram S.A.WW k wahan pahonchty he Jibraeel a.a ny aazaan kahi… aasmaan k darwaazy khulay or farishty qataar andar qataar nazil hoay…. jab sari masjid andar bahir sy bhar gae tou Malaaika hawa mein saf basta hoay… hata k zameen o aasmaan ka khala pur ho geya…
Itnay mein Jibraeel a.a ny aqaamat kahi tou saf bandi ho gae…
Imaam ka musal’la khaali tha…
Hazrat Jibraeel a.a ny Imaam Ul Awaleen Wal Aakhreen Saiyaad Ul Ins O Wal Malaaika ka hath pakarr kar arz keya…
Allah ke qasam…!
Makhlooq e Khuda mein Aap sy afzal O Aallaa koe nahi…
Aap imaamat farmaiye…
Aap S.A.WW ny 2 rakaat namaz parrhaai…
Salaam phairnay k baad Jibraeel a.a ny arz keya…
Aey Mehboob e Kul Jahaan…!!
Aap k peechay aik laakh 24 hazaar Anmbiyaa Mursaleen or saaton aadmaano k khaas khaas farishton ny namaz adda ke…
Namaz sy faraghat par Aap S.A.WW ko Raf Raf ke sawari paish ke gi …
Aap aasmaano par tashreef ly gay…
Malaaika k qibla Bait ul Mamoor k pass pohanch kar Aap S.A.WW ny namaz parrhi…
farishton ny iqtada ke… Namaz k baad Aap S.A.WW ny 2 tara k log daikhay…
aik giroh sufaid rang k jin k kaprray bhe sufaid thay or dosray kalay jin k kaprray bhe mailay thay.
Aap S.A.WW ny poucha Jibraeel a.a ye kon hein..??
Arz ke roshan chehron walay Aap S.A.WW ke ummat k naikokaar hein or siyaah chehron walay Aap S.A.WW ke ummat k gunaahgar hein.
Aap S.A.WW ny waheen gunahgaron k leay shafa’at ke dua farmaai jo qabool ho gae.
Yahan sy chal kar Aap S.A.WW sidra tul muntaha pahonchay….
Sidratul Muntaha pohanch kar Jibraeel a.a ny arz ke Aap S.A.WW aagay tashreef ly jaein…
Aap S.A.WW ny farmaya
(Baqol Shaikh Sadi r.a)
Agar tum mujh sy sachi muhabat rakhty ho tou sath kion chorrtay ho??
Hazrat Jibraeel a.a ny arz ke k aik baal baraabar bhe is sy oupar chaloun tou Tajali e Elaahi sy mere par jal kar raakh ho jaaein.
Aaap S.A.WW ko yahan sy oupar ke taraf arooj naseeb hoa…
Hat’ta k Aap S.A.WW saaf seeedhay maidaan yani Khateer Ul Qudas pahonchay…
Yahan Aap S.A.WW par Tajali e Khaasa ka warood hoa…
Aaap S.AWW ny foran farmaya…
Atahiyaat tu lillah he wasalawato wa taiyebaat…
Tarjuma…
“Tamaam qouli ibadatein or faili ibadatein or maali ibaadatein Allah he k leay hein.”
Allah Rab Ul Izat ke taraf sy irshaad hoa…
Asalam o alika Aiyou han’nabiyo warahmatul e wabarakatuhu…
Tarjuma
“Aey Nabi Aap S.A.WW par salaamti ho or rehmatein or barkatein hon”
Aaap S.A.WW ny Allah ke meherbani or inayat ko daikha tou gunaahgar ummat yaad aei…
or farmaya…
Asalaam o alina waala ibaadiallah his’saaleheen..
Tarjuma
“Salaamti ho ham par or Allah k naik bandon par”
Allah ko ye hamkalaami itni pasand aei k isay yaad gaar bana deya
Irshaad hoa…
“Aey Mehboob…!!
ham ny Aap ke ummat par 50 namazein farz farmaiyein.
Aap S.A.WW is waqt mehv e tajaliyaat e ellaahi thay…
Aap S.A.WW par is waqt 5oo namazein bhe farz kar de jatein tou Aap S.A.WW qabool farma laitay kion k deedar e mehboob k waqt mushkil tareen bojh ka bhe sar par outha laina asan hota hy.
Jab Aap S.A.WW deedar e Ellahi mein magan thay tou 50 namazein parrhna bohat aasan tha… Aaap S.A.WW khushi khushi wapas tashreef laey…
tou raastay mein Hazrat Mosa a.s ny tawajoo dilaai k
Aey Mehboob e Kul Jahaan…
Aap S.A.WW mehv e tajali thy… Aap S.A.WW ke kul ummat tou mehv e tajali nai ho ge na… mere ummat k leay 2 namazein parrhni mushkil theen…
Aap S.A.WW baargaah e elaahi mein dobara haazri dijiye or aasani ke farmaaish kejiye…
Is tara chand bar oupar nechay aanay jaanay ka moaamla paish aya or sirf 5 namazrin farz reh gaein…
Laikin Parwadigaar e Aalam ny farmaya k…
Surat Qaaf…
“Mery haan faislay tabdeel nai keay jatay or main bandon par zulam karnay wala nahi hon”

Aap S.A.WW ke ummat 5 namazein parrhay ge magar in ko 50 namazon ka sawab mily ga.
Or asool samnay aa gaya k…
Surat Al Inaam
“Jis ny aik naiki ke tou os k leay ajar 10 guna hy”
Or is tara 5 namazon ka hukam qaaim or muhkam ho geya.

Ihsas Atta Ho.

*~Namaz k Maani~*

Namaz urdu zaban ka lafz hy…
Shariyat e islami mein is ka matlb hy k aik khaas tarteeb sy Allah ke ibadat karna.
Namaz ko arbi mein Salaat kehty hein.
Arbi lughat k aitabar sy namaz k maani hein…
Dua karna…
tazeem karna…
aag jalaana…
aag mein jana…
aag par garam kar k tairhi lakrri ko seedha karna…etc
Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1…Hooran e jannat kon han?
……….

Q.2…Mairaaj ke shab jab Ap SAWW. Masjid e Aqsa main pohnchay tou kya dakha?ar jibreel say kya pocha.
………..

Q.3…Hazrat Ibraheem ka laqab kya tha….ar ap ki shaksiyat kaisi the?
……

Q.4..Ap Saww. ki Mairaj ke shab kis kis say mulaqat hwee??
……

Q.5…Ap SAWW. nay
jab Masjid e Aqsa main imamat farmae tu kis nay AP SAWW. k pichay namaz parhee?
……….

Q.6…Namaz ki faraghat pay Ap Saww ko kis ki sawari paish ki gae..?
……..

Q.7..Namaz k bad AP SAWW. nay kitni tarha k log dakhay..?
………

Q.8…Sidra tul Mutaha pohnch kr jibreel a.a nay agay janay say q inkar kr diya?
…….

Q.9..Surah e Qaaf main ALLAH PAK nay Namaz k baray main kya irshad farmay….ar kya asani farmaee?.
……
Q.10..Namaz kis zuban ka lafaz ha…ar Namaz k kya mani han?…
………


 

Answer sheet

Ans.1: Naik logon ke bibiyan hooran e jannat hein…
………….

Ans.2:Aap S.A.WW
Jab masjid e Aqsa k andar pahonchay tou sari masjid ko namazion sy bhara hua paya…
Aik daraaz qamat khubsurat buzurg ko namaz mein maahghool paya tu jibreel say pocha ya kon han?
…………

Ans.3:Hazrat Ibraheem a.s norani shakal o surat walay buzurg , jin k sar or daarrhi k baal sufaid thy… Hazrat Ibraheem ka laqab Khaleel Ullah ha..
………

Ans 4: Jab Ap SAWW.Mairaaj ke shab Bait ul muqadas mein Masjid e Aqsa k darwazay par pahonchay tou wahan naik logon ke bibiyan hooran e jannat say, masjid e Aqsa k andar namazion say, Aap S.A.WW k jadd e amjad Hazrat Adam a.a ,Hazrat Ibraheem Khaleel Ullah say mulakat hwee…
Ans.5:Ap SAWW. k peechay aik laakh 24 hazaar Anmbiyaa Mursaleen or saaton aadmaano k khaas khaas farishton ny namaz adda ke…

……….

Ans.6: Namaz sy faraghat par Aap S.A.WW ko Raf Raf ke sawari paish ke gi
……….

Ans.7: Namaz k baad Aap S.A.WW ny 2 tara k log daikhay…
aik giroh sufaid rang k jin k kaprray bhe sufaid thay or dosray kalay jin k kaprray b kalay thay
………….

Ans.8: Sidratul Muntaha pohanch kar
Hazrat Jibraeel a.a ny arz ke k aik baal baraabar bhe is sy oupar chaloun tou Tajali e Elaahi sy mere par jal kar raakh ho jain gay…
……..

Ans.9: Surat Qaaf…
“Mery haan faislay tabdeel nai keay jatay or main bandon par zulam karnay wala nahi hon”
Aap S.A.WW ke ummat ko 5 namazein parrhnay ka hukam diya gaya…ya tohfa tha……
……..

Ans.10: Namaz urdu zaban ka lafz hy…
Shariyat e islami mein is ka matlb hy k aik khaas tarteeb sy Allah ke ibadat karna.

………..


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *