DAY 3…

DAY 3

TOPICS :

3. “Namaz Ki Shaan”
4. “Namaz Ka Ehtimam”


 

*~Namaz Ke Shaan~*

Namaz ko baki tamaam faraaiz ke nisbat ye imtiyaazi shaan haasil hy k…
tamaan faraaiz k ihkaam zameen par farz keay gaey…
jab k namaz Mairaaj shreef ke raat arsh par ja k farz hoe…
Allah ny apnay Mehboob ko apnay pass bula k khaas ul khaass hazoori mein aamnay saamnay farz ke…
Jis qadar ehtamaam is farz ka hoa… baki faraaiz ka is k asar e asheer bhe nai hoa.

Ihsas Atta Ho.

*~Namaz Ka Ehtamaam~*

Quran pak Surat Nisaa mein hy k…
“Beshak namaz emaan walon par apnay waqt mein farz kar di gae hy”
Bandagi ka taqaza tou yehi tha k is aayat k outarnay k baad emaan walay namaz adda karnay mein dil o jaan sy koshish karty…
Lalkin insaani tabiyat duniya ke ranginion mein ghaafil ho jaati hy jab k Allah apnay bandon k leay Meherban Raouf or Raheem hy… Os isi leay Allah ny Quran pak mein ja baja 700 bar sy ziada is ke yaad dehani karaai hy.
Farmaya
“Or namaz qaaim karo”
Namaz ka ehtamaam karna yani…
Ache tara wazu karna… saaf kaprray pahen’na or waqt e mulaqaat ke ehmiyat k hisaab sy dil ke haalat ke taiyari….
Kion k Allah Shahensha e Haqeeqi or insan duniya mein Allah ka khalifa hy.
Namaz dono ke mulaqaat hoti hy is leay moomim is ka khaas ehtamaam karay kion k namaz moomin ke mairaaj hy or isay bojh samajhnay ke bajaey… isay khud par ihsas samajhna chahiye or is ke adaaigi ka khoob ehtamaam karna chahiye.
Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1..Islam ka sb sy azeem farz konsa hy??
…….

Q.2… Namaz kb farz hui??
……
Q.3… Namaz ki adaegi k mutaliq Quraan paak ki ayat likhain..
…..

Q.4…Ek momin ko namaz ka ehtamam kaisy krna chaie??
……

Q.5..Namaz Allah sy mulaqat ka kaisy zariya banti hy??
……

Q.6..Insan namaz ki adaegi mein kis wja sy kotaahi krta hy??
……

Q.7..Allah ny Quraan pak mein kitny maqamat par namaz ki adaegi ka farmaya hy??
…….

Q.8..Dil mein namaz ka ehsas kaisy peda kia ja skta hy??

……..

Q.9..Momin ko Allah ka khalifa kiu kha gya hy??
……..

Q.10..Hm apni zindagi mein namaz ko kitni ehmiat daity hain??apna jaiza ly kr share krain


 

Answer Sheet

Ans1. Islam ka sb sy eham farz namaz hy..
……

Ans2. Mairaj shareef ki rat Allah ny Nabi SAWW ko mulaqat k liye bulaya aur ruh baru namaz ki adaegi ka hukm dia..aur hr musalam par
namaz farz ki..
…….

Ans 3. Allah ny farmaya hy..
“Beshak namaz emaan walo par apny waqt mein farz kar di gai hy”
…….
Ans 4. Momin ka dil amada hona chaie libass ki tiari kry..Allah ki khushnudi k liye namaz k liye khara ho..
…….

Ans 5. Jb ek musalman namaz k liye khara hta hy tou us k aur Allah k darmian koi parda nai rhta..wo barah e rast Allah sy hum kalam hta hy…isliye namaz ko Allah sy mulaqat ka zariya kha gya hy..
……..

Ans 6. Duniawi kamo ko ehmiat daity hoye aur namaz ki ehmiat ko bhool jany sy insan namaz ki adaegi mein kotahi krta hy..
…….

Ans 7. 700 bar
…….

Ans 8. namaz ki shaan aur ehmiat ko agr jaan lia jaye aur iski kotahi ki saza ko zehn nasheen kr lain tou hm kbi namaz na chodain…dil mein ehsas tb e peda ho ga jb ye bat smjh lain gy k Allah k ruh baru hain hm..
……

Ans 9..momin Allah ki ibadat krta hy aur Allah ka paigham dostoro tk pohnchata hy isliye usy khalifa kha gya hy
……..

Ans 10..sb apna apna likhain gy.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *