Day 4

?DAY 4…..

?ALLAH ka ehsas e aashnayi?

?ALLAH❤ ki qurbat k ehsas mein rehne k liye sabse pehle aapkay andar ehsas ko mehsoos karnay ki hiss ,, yaani ehsasat kay jaagnay ki jo hiss hay uss ehliyat ka honaa zaroori hay…..
……
ALLAH❤ ne har bashar kay andar rooh phoonki hay… isliye apne ehsas se aari wo kisi rooh ko nai paida karta…..

? ye ehsas waqt guzarnay k sath kamm hoskta hay… aur usmein halaat, mahol, rawayaat, khaandani rujhanaat, walidain ki tarbiyat jese bht se awamil kaar farma hotay hain….
Msg 2….
?Agar hamare apne andar mehsoos karnay ki ehliyat na ho tou ham ye ehsas na apny andar aur na hee kisi doosre k andr baidar kar skty hain….

Iskiye ehsas ka honaa laazmi hay… aur us ehsas k sath ALLAH❤ ki qurbat mein janay ki chahat ka hona bhi ussi qadar zaroori hay…

شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)
?Day 4

?Today’s Task✏

⭐ Kyaa Humaray “Ehsas” ko mehsoos krnay ki hiss mojood hay …
Agar hay….

?To kitnii hay.. ?
Kyaa hum ne is hiss ko eham manaa huaa thaa yaa barhanay ki chahat rakhi ab tkk jo humein Allah kay qareb lay jaye… ??

? Aj aisy he iss “hiss” ko jaganay aur barhanay ki koshish krty apnay dil ka koi bhi ehsas share krein…. jo dil mein Utraa ho kisi mamlay kay doran .. ?


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *