DAY 5

DAY 5

TOPICS :

. “Khashou O Khazoo paida karne ki tadbeer”
8. “Khashou kia hai”
9.”Khashu k Batini osaaf
¹….Hazoor e Qalb
²….Tafheem


 

*~Khashou Kia Hy~*

Khashou dil mein khouf or aajizi ki kafiyat ka naam hy jo aankh sy daikhny ki cheeze nai.
khashou ke 2 iqsaam hein…
1. Dil ka khashou
2. Jisam ka khashou
1. Dil ka khashou
dil ka khashou ye hy k bandy k dil mein Rab’by Zuljalal ke Azmat o Kibriyai ka ihsas mojoud ho or wo Oss ke haibat o Jalal ke waja sy dar raha ho or apni aajizi o inksari or bechargi ka aitraaf kr raha ho lakin is k sath he sath Allah ta’ala ke Rehmaton or is k be payan Ihsanaat o Inamaat sy bhe waqif ho or dil ihsas e mamnoniat k sath Oss ki shukr guzari mein masroof ho.
2. Jisam ka khashou.
Jisam ka khashou ho ga to is ka asar is k jisam pr ho ga or is ke muqadas Bargaah mein khary hoty heu sar jhuk jaey, nigaah neechii ho jaey ge, awaaz past or jisam or kapkapi o larza taari ho jaey ga

Ihsas Atta Ho.

*~Khashou k Baatnii Ousaaf~*

Hazrat Imaam Gazali r.a ny Haya ul aloum mein
khashou k 6 baatni ousaaf or in k hasoul k asbaab biyaan farmaye hein.
1… Hazoor Qalb
2… Tafheem
3… Tazeemm
4… Haybat
5… Rijaaa
6… Hayaaa

*Hazoor e Qalb*

pehla wasf Hazoor e Qalb hy. yani jis kaam mein Aadmi mashgoul ho or jo baat kr raha ho is k ilawa koe baat is k dil mein na ho. yani dil ko fael or qoul dono ka ilm ho or in dono k ilawa kisi bhe cheez mein ghoir o fikar na krta ho.. chahy is ke quwat fikriya is kaam sy hatany mein masrouf he kion na ho..
Hazoor e dil ka sabab….
Hazoor e dil ka sabab is ki himat ( fikr ) hy.
insan ka dil hamesha is ke fikr k taaby rehta hy.
jo baat aadmi ko fikr mein dalti hy wohi dil mein hazir rehti hy, ye fitri baat hy k fikr waly kaam mein dil khud bakhud hazir rehta hy.. insaan ka dil agr namaz mein hazir na ho ga to bekaar nahi rahy ga bal k jis kisi or cheez mein is ki fikr masroof ho gi, is ka dil bhe idhar he Hazir ho ga..
Namaz mein Hazoor e dil paida krny ka is k ilawa koe tareeka nai k aadmi fikar ko namaz ke taraf phair dy.. or yeh bhe ho sakta hy jb dil mein is baat ka yakeen betha diya jaey k aaakhrat ke zindagi he behtar or paaidaar zindagi hy… or is k hasool ka zareya namaz hy phir is mein dunia ke na paaidaari ka tasawar bhe shamil kr liya jaey to Hazoor e Qalb ke sift paida ho jaey…
kitni ajeeb baat hy k jb ham log dunia k baadshahon k pas jaty hein jo na hamen faida pohancha sakty hein or na hamein nuqsaan pohancha sakty hein..
tou hamara dil hazir hota hy or ham wohi baat sochty hein jo is mouqy k leay munasib ho or jb ham badshahon k shah sy manajaat krty hein..
jis k Qabza Qudrat mein malik or Malkout hein or jis k akhtiyaar mein nafa nuqsaan hy to hamara dil hazir nahi hota is ka sabab sirf Imaan ke kamzori hy is k ilawa kuch nahi hy
lehaza imaan ko mazboot or pukhta krny ke koshish krni chahiye..

2. *Tafheem*

Dousra wasf Tafheem hy.
yani kalam ka mani samajhna..
ye Hazoor e qalb sy mukhtalif aik cheeze hy..
kbhe kbhe aisa hota hy k dil lafz k sath hazir hota hy lakin mani k sath hazir nahi hota,
Feham sy muraad ye hy k dil mein in alfaz k mani ka bhe ilm ho.
yeh aisa wasf hy jis mein logon k darjaat mukhtalif hein kion k Qurani Aayaat or Tasbehaat k mani samajhny mein tamaam logon ka fehm yaksaan nahi hota. boht sy lateef mani aisy hoty hein jinhen namazi namaz k doran samajh laita hy. halan k kharij namaz mein kbhe is k dil mein in mani ka guzar bhe na hoa hota tha..
isi waja sy namaz buraai or fahashi sy rukny ka sabab banti hy k namaz aisi batein samjha daiti hy k aadmi burai sy bach jata hy..

“TAFHEEM K ASBAB”

zehan ko mani k idraak ke taraf morny ke tadbeer wohi hy jo Hazoor e qalb ke hy lakin is k sath he aadmi ko ye chaheay k wo apni fikr pr mutawajha rahy or in k waswaso k door krny ke koshish kry jo is k fikr ko mashgol krty hen. in waswaso k azaaly ke tadbeer yeh hy k jo kuch mawad in waswaso sy mutalik pass ho isy apny sy door kr dy. yani jin cheezon sy waswasy paida hoty hein in mein sy koe cheeze apny pass na rakhein jb tk yeh mawad door na ho ga waswasy khtm na hon gy kion k insan jis cheeze ko ziada chahta hy is ka zikr bakasrat krta hy or wo cheeze is k dil pr hajoum krti hy.
is leay ap dekhty hein k jo shakhs ghair Allah sy muhabat rakhta hy is ke koe namaz waswason sy khali nai hoti….


EXERCISE

short Questions :

Q.1
Khushuu ki tareef karain ???
Q.2
Khashu ki kitnii iqsam hain aur aun k kiya nam hain ?

Q.3
dil aur jisam k khashuu ka fark biyan karain.??

Q.4
Hazrat immam Gazali r.a ny haya ul alom main khashu k kitny batni ousaaf biyan kiye?

Q.5
Hazrat imam Gazali ky mutabik khushou ka dosra wasf kya hy haya Nam or tareef batayen? (Shortly)


 

Answer sheet

Ans 1

Khashuu dil main khaof aur ajazii ki kafiat ka nam hai jo ankh sy dakhny ki cheez nahiii…….

Ans .2

Khashuu ki 2 iqsaam hain
1. Dill ka khashuu
2. jisam ka khashu

Ans .3

1. Dil ka khashu k bandy k dil ALLAH rabul izaat ke azmat aur kebriyai ka ehsas mujood hu
2. jisam ka khashu k sir juk jaye ankh juki hu awaz pasat aur jisam par kapkpi tarii hu

Ans .4

6 batnii osaaf biyan kiye gy hn
1. Hazoor qalab
2. Tafheem
3. Tazeem
4. Haybat
5. Rijaa
6.Hiyaaa

Ans.5
ye sb apna kren gy.

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *