DAY 6

DAY 6

TOPICS :

“Khashu k Batini osaaf
3…Tazeem
4…Haibat
5…Rijaa
6…Hayya


3 *TAZEEM*

Teesra wasf Tazeem hy yani insan jis Aaqa k samny khara hy is ke azmat ka ihsas dil mein ho..
ye Hazoor qalb or tafheem sy mukhtalif aik sift hy…
ham yeh daikhty hein k yeh shakhs apny ghulam sy guftagou krta hy wo hazoor e qalb k sath guftagoo kr raha hy or wo apny kalam k maani bhe samajh raha hy lakin is k dil mein ghulam ke tazeem nahi hoti, is sy maloom hoa k tazeem Hazoor e dil or fehm sy alag koe cheeze hy….

“TAZEEM K ASBAAB”
tazeem in 2 haqeeqaton ko jan’ny sy paida hoti hy:
AWAL…
Allah Sohny ke azmat or jalalat ke ma’arfat,
yahi ma’arfat imaan ke asal hy kion k…
jo shakhs is ke azmat ka mutakid nai ho ga.. is ka nafs Khuda k samny jhukny sy guraiz kry ga….
DOUM…
nafs ke haqarat or zillat ke ma’arfat, or is ke haqeeqat ke ma’arfat k bandy ka nafs mamlook hy ajiz o maskhar hy…
in dono haqeeqaton ke ma’arfat sy nafs mein tawazo, inksaari, or khashou paida hoti hy, is ko taazeem bhe kehty hein..
jb tk nafs ke haqarat or zillat ki ma’arfat ka takabik khuda ta’ala ki azmat or jalalat ke ma’arfat sy na ho ga…
Tazeem or khashou paida nahi ho ga….

4. *HAIBAT*

choutha wasf haibat hy…
ye tazeem sy bhe Aala aik wasf hy kiin k haibat is khof ko kehty hein jis mein tazeem bhe ho…
jo shakhs khof zada na ho isy haybat zada nahi kehty..
isi tarha bichou or ghulam ke badmizaji sy khof khany ko haibat nai kehty… bal’k badshah sy khof khany ko haibat kehty hein…
iska matlab yeh hy k haibat is khof ka naam hy jis mein tazeem ho..

“HAIBAT OR KHOUF KA SABAB”
Haibat or khouf nafs ke halat ka naam hy ye halat is haqeeqat k jan’ny sy paida hoti hy k khuda ta’ala Qadir Mutlik hy…
is ke har khawish or is ka har irada nafiz hota hy..
Allah ta’ala ke be niazi ko socha jaye….
yeh k agar Allah ta’ala aglon pichlon sb ko halaak kr dy tou is ke saltanat mein sy aik zara bhe kam na ho ga phir is baat ko sochein k Malik ul Mulk ke ajeeb hikmatein hein k baaz ouqaat anmbiyaa a.s or ouliyaa karam pr to tarha tarha k masaaib nazil hoty hein jab k Wo Allah k muqarib bandy hoty hein is k bar’aks dunia parast badshah tarha tarha ke rahatein paaty hein, algharz in amoor ka ilm aadmi ko jitna ziada ho ga….
Allah ta’ala ke haibat or khouf mein is qadar izafa ho ga..

5. *RIJAA*

Panchwan wasf Rijaa hy….
Rijaa mazkora bala charon sy osaaf sy alag aik wasf hy…
Bohat sy log aisy hein jo kisi badshah ke tazeem krty hein or is sy darty bhe hein lakin is sy kisi qisam ki koe tawaqoo nai rakhty…
Bandy ko chahiye k wo apni namaz sy Allah sy ta’ala ajar o sawab ki tawaqoo rakhy, gunah or is pr muratib hony waly azab sy khouf zada rahy…

“RIJAA K SABAB”
Rija ka sabab yeh hy k aadmi Allah ta’ala k Altaaf o Karam sy waqif ho or yeh jany k bandon par is k be payaan inamaat hein….
is ka bhe yakeen rakhy k namaz parhny pr is ny jannat ka wada kia hy… is mein wo sacha hy ..chunachy jb wada pr yakeen ho ga….
or is ke inayaat sy waqfiyat hasil ho jaey gi to Rijaa paida ho ge….

6. *HAYA*

chhata wasf hayaa hy.yeh sift mazkora bala osaaf sy alag hy…
hayaa ka maqsad ye hy k banda apni galti sy waqif ho or apny qasoor pr mutnaby ho….
tazeem , khouf, rijaa wagera mein ye imkaan hy k hayaa na ho yani aadmi ko apni taqseeron or kotahion ka khiyal or gunah k irtkaab ka ihsas na ho ga to zahir hy k haya na ho gi….

“HAYA K SABAB”
Haya ka sabab yeh hy k aadmi yeh samjhy k main ibadat mein kotahii krta hon, Allah ka jo Haq mujh pr hy is ki baja aawri sy ajiz hon or isy apny nafs k ayoub, nafs ke afaat or ikhlas ke kami, batin ke khabasaat or nafs k is rujhaan k tasawar sy taqweet dy k wo jald hasil ho jany waly aarzi faaidy ke taraf maail hy..
is k sath he ye bhe jany k Allah ta’ala ke azmat or jalalat e shaan ka taqaza kia hy?
is ka bhe aitkaad rakhy k Allah ta’la hamary dil k khiyalaat sy khaw wo kitny he makhfee kion na hon….aagaah hy.
jb yeh sb marfatein hasil hon gi to yaqeenan aik halat paida ho gi jisy hayaa kehty hein.

Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1
Khushu kay batni oosaaf may sy 3sra wasf konsa hy…?

Q.2
Tazeem kay asbab may kin do haqeeqaton ka jan’na zaroori hy…
Dono mukhtasiran biyan karen…?

Q.3
Tazeem sy bhe aala aik wasf konsa hy…
Nam or tareef batayen…? (Shortly)

Q.4
Choutha Wasf haibat hy…
Is say kaya murad hy apny ilfaz may beyan karen..?

Q.5
Haya kaya hy or is wasf ka sabab mukhtasiran beyan karen…?


 

ANSWER SHEET

Q.1
Ans…
3sra wasf Tazeem hy…

Q.2
Ans…
awal ye kay ALLAH SOHNAY ki azmat or jalalat ki ma’arfat ho..
Doam ye kay nafs ki haq arat or zillat ki ma’arfat ho…

Q.3
Ans…
Tazeen sy bhe aala aik wasf hy ‘Haibat’
Ye uss khof ko kehty hen jis may Tazeem bhe ho….

Q.4
Ans…
Haibat uss khof ka naam hy jis may Tazeem bhe ho…

Q.5
Ans…
chatta wasf haya hy or ye wasf tamam osaf sy mukhtalif hy..
Haya say muraad ye hy kay banda apni galti sy waqif ho or apny qasoor ko bhe jan ta ho….

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *