DAY 8

DAY 8

TOPICS :

“Khashu O Khazoo paida karne ki tadabeer”
5…Ma’naay khushoo mahol se ijtenab
6…Intezar e Salaat
7…Ghair Allash se Be Altafi
8…Namaz k.ilfaaz ki taraf Tawajah


 

“khushu o khazu paida kerny ki tadabeer”

*~Ma’naay Khushoo Mahol Sy Ijtanab~*

khashou hasil krny ke aik ye bhe tadbeer hy k aisy amoor or aisy mahol ko chor dy jo khashou mein ma’naay hoty hein….
Baaz ouqaat insan apny ap ko khamakhaw aisy amoor mein uljha laita hy k in ka asar in k dil par rehta hy or namaz mein bhe idhar he dhiyaan lags rehta hy insan ko apni zindagi ke tarteeb is tarha ke banani chahiye k dil ko aisi tamam lughwiyat sy bacha kr rakha jaey jo dil k mashgol hony ka sabab ban sakti hein…
is leay Nabi Pak S.A.WW ny farmaya k,
“Apni kamar or pait ko namaz k leay halka rakho”
kia matlab?
pait ko farigh rakhny ka matlab hy k pait ziada na bharo jis ke waja sy ibadat mein girani ho..
or kamar ko halka krny ka matlab hy k isy jhamailon sy bachaya jaey k jis sy namaz mein khashou pr farq par sakta hy.
Hazrat imam gazali r.a farmaty hein k,
maany khashou asbaab ka mahol tum kion ikhtiyaar krty ho jo phir shikayat krty ho k hamein namaz mein aisy khayalaat aaty hein…
Naach rang mein jao gy to wohi khiyalaat aaein gy…
achy logon k pas jao gy to achy khiyalat aaein gy.
Aik martaba Abu Jeham r.a ny Aaqa S.A.WW ke khidmat mein 2 palu wali kali chadar paish ke Aap S.A.WW ny isy ourh kr namaz parhi or namaz k bad isy iutaar diya or farmaya!
isy Abu Jehem r.a k pas ly jao or mujy Abu Jeham r.a sy sada chadar la kr do…

Aik Hadees mein hy k Piary Aaqa S.A.WW ny apny jouty mein naya tasma lagany ka hukam diya jb tasma laga diya gaya or Aap S.A.WW namaz k leay khary hoay to Aap S.A.WW ke nigaah mubarik naya tasma hony ke waja sy is pr pari to isy utarny ka hukam diya or farmaya!
is mein wohi purana tasma laga do..
Aik mouqa par Piary Aaqa S.A.WW ny Hazrat Usman ibn e abi shyba r.a sy mukhatib ho kr farmaya!
“Insan k leay munasib nahi k ghar mein koe aisi cheeze chor kr aaye jo isy namaz k bajaey idhar mashgol kr dy”
is hadees sy pata chalta hy k aisi cheezain jo namaz sy tawajha hatany ka baes banti hon in ko apny sy door kr daina sunnat hy… bhook ke halat mein khana namaz sy pehly khany ka hukam hy ta’ k dil namaz mein hazir ho jaey…
hamary mashaikh namaz k leay dil k farig krny k leay is qadar ehtmam krty thy k tareek kamron mein ibadat krty thy…
k tawajha dousricheezon ke taraf na jaey…
baaz Abid o Zahid Hazraat Apni Ibadat k leay kamry itny choty bsnaty thy k ba mushkil aik musaly ke jaga banti thee
ta’ k nazar apny musaly k ilawa or kahein na jaey.

*~Intazar e Salaat~*

intazaar e salaat k fazail boht c ahadees mein aye hein bal’k farmaya k, “jo shakhs namaz k intazar mein baitha hota hy wo goya namaz mein he hota hy is ka sawab to apni jaga hy….
is mein aik bari hikmat or faida ye hy k is sy namazi ko yaksoee or hazoor e qalb ke naimat muyasir aati hy is leay jb farz namaz ka waqt ho to kuch waqt pehly he msjid mein chaly jana chaheay…
Baaz ny kaha hy k aimaz sy kuch dair pehly muraqiba krna chaheay ta’k dil ka inteshaar door ho kr tawajha namaz ke taraf markoz ho jaey…
Hazrat Molana Alyaas ny farmaya k,
Namaz sy kuch dair muraqiba krna chaheay or jo namaz bila intezaar k ho wo phusphasi hoti hy…

*~Ghair Allah Sy Be Altafi~*

Namaz shuru krny k leay jaisy Allah o Akbar kehny k keay hath uthaen to har ghair sy dil ko phair lain or hama’tan Allah ke taraf mutawajha ho jaen..
Hathon ko takbeer tehreema k leay hath uthana aisa hy jaisy dunia k leay hath jhaar leay ho..
or sirf or sirf Allah ke zaat dil mein reh jaey…
is ki amli surat ye hy k yeh tasawar krein k Allah k samny namaz parh raha hon or Ossy daikh raha hon…
or agar yeh na ho saky to tasawar rakhein k Allah aap ko daikh raha hy.
Aik hadees mein Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Allah ta’ala ke ibadat aisy kro jaisy tum Ossy daikh rahy ho or tum sy yeh na ho saky tou yeh khiyal kro k Wo tumy daikh raha hy”
lehaza namaz ka jo koe rukan bhe ada krein to qiaam krein, rakoo krein, sajda krein, ya tashahad mein bathein to isi tasawar mein bethein k Allah mery har amal ko daikh raha hy or mari tasbeehaat ko soun raha hy …
jb koe badshah k darbar mein koe ho to is waqt wo kisi or ke taraf tawaja ke jurat nahi krta, lehaza is halat mein dil kisi or taraf mutawajy ho ga to bhe mowakhiza ho sakta hy..
Hazrat Ataar sy manqool hy jb insan namaz ke halat mein kaheen or mutawaja hota hy to Allah ta’ala isy mukhatib kr k farmaty hy k,
Ay ibn e adam…!!
Too kis taraf tawaja kr raha hy.. halan k meri zaat tawaja k leay sb sy behtar hy…
jb in tamam baton ka lehaaz dil mein rakhein gy tou dil khud ba khud namaz mein hazir rahy ga…

*~Namaz K Ilfaaz Ki Taraf Twajah~*

Baaz log shikayat krty hein k namaz mein khiyalaat jaan nai chorty or bawjoud koshish k bar bar atey hein..
aisy logon ko khashou ko qaaim rakhny ka sab sy asaan tareeka yeh hy k wo apni twajah ko namaz k alfaaz ke taraf rakhein…
maslan (Allah boht bara hy) keh kr khara ho tou youn sochy k mein ab “Ay Allah Too Pak hy” parh raha hon phir yeh sochein k
” or Teri tareef hy”
keh raha hon..
phir dhiyaan krein k ab “Tera Naam barkaton wala hy”
munh sy nikal raha hy.. isi tarha har lafz pr alag alag dhiyaan or irada kry…
phir Alhamd or surat, rakoo or sajdy or in ke Tasbeeon mein …
gharz yeh k sari namaz mein yahi tareeka hy….


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1
Apni kamar aur pait ko ibadat k liye halka rakho,is sy kiya muraad hai….?

Q.2
Aik moqa per PIYARAY AAQA S A.WW ny Hazrat Usman ibn e abi shyba r.a sy mukhatib ho ker kaya fermaya…?

Q.3
Nimaz k intazar main baithny ki fazelat biyan krain…..?

Q.4
Namaz may dhaiyan lagany kay baray may aik hadees may PIYARAY AAQA S.A.WW ny kaya fermaya…?

Q.5
Esyy log jo shikayat kerty hen kay namaz may khaiyalat jan nahi chorty,unky liye namaz may khashu ko qaim rakhny ka asan tareen tareeka kaya hy…?
Koi c aik misal den…


 


ANSWER SHEET

Q.1
Ans…
iss sy muraad hy kay pait bhtt zayada na bharo jis sy kay ebadat may giraani ho or kamar ko halka rakhny ka matlab hy ky issy jhamailon sy bachaya jaye k jis say namaz main khashu per frq par sakta hy….

Q.2
Ans…
AAP S A.WW ny fermaya kay “insan kay liye munasib nahi kay ghar may koi essi cheez chor aye jo issy namaz ki bajaye udhar mashgool ker dy”…

Q.3
Ans…
Namaz kay intazar may bethny ki fzeelat bhe essy hy jesy namaz may betha hua ho or isski bhe apni fazeelat hy…

Q.4
Ans…
“ALLAH TALA ki ebaadat essy karo jesy kay tm ussy daikh rhy ho or tum sy ye na ho saky to yeh khaiyal kro kay wo tmhay daikh raha hy”

Q.5
Ans..
Essay logon kay liye asaan tareen tareeka ye hy kay wo ani tawajo namaz kay ilfaaz ki taraf karen
Maslan ye kay” ALLAH bht bara hy” ye keh ker khara ho to youn sochay kay mai ab AY ALLAH Too paak hy perh raha hun phir ye sochay kay “or Teri tareef hy” ye keh raha hun…Issi terhan her lafz per alag alag dhaiyan rakhay …


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *