Hath Kaar Walll, Tay Dil Yaar Wall

“Hath Kaar Wall, Tay Dil Yaar Wall” 

Aaj apnay rozana k routine k mamoolat or moamlat nibhatay hoay ye koshish karni hy k…
Kaam koe bhe karein magar dill apnay Malik k sath jurra ho.
Yani…
Hath Kaar Wall, Tay Dil Yaar Wall…rahay.
Is koshish mein kitna kamyab hoay…Kahan kahan dill ka jurra rehna miss hoa…
Is hawalay sy apnay points share karnay hein.

Example :

Aaj classroom ka board bana rahi thee.
Jab kaam start keya tou os waqt hath tou kaam kar rahay thay magar…dill ka taanka apnay Malik k sath itna mazbooti sy nahi jurra tha. Saray ka sara dehan kaam ke he tarf tha. Phir ihsas hoa k yahan dill ka tanka kamzor hy tou forun dill ko mazbooti sy Malik k sath jorra. Phir tou kaam bhe taizi sy or boht acha honay laga or dill bhe apnay Malik K sath jurra rehnay ke waja sy khush or pursakon raha. Yani phir ” Hath Kaar Walll, Tay Dil Yaar Wall Tha”.

Kam az kam 2 sharing points ya zaida sy zaida jitnay chahein share kr saktay hein.
Or agar pehlay aisa nai kartay tou ab try karein or sath he is par agar koe discuss karna chahay k aisa karnay sy kia effect hoa tou bhe bohat acha hy.

Jazba Salamat.

About Topic 

*Hath kaar wall, Dill Yaaar Wall*

Isko aisay len k…
Hamara koe bhe moamla ho jo ham routine life mein kar rahay hon…maslan…
ana jaana..
ountha bethna…
Khana peena…
Millna milaana…
Kaam kaaj…
Job work…office….
school…college…parhai
Hansna rona…
Sona jagna…
Khushi ghami…
etc etc…
Gharz k routine ke zindgi ka koe bhe kam ho…
Wo “Kaar” hy yani kaam ya moamla…

Oss mein zaroori nai k ham hath sy kaam he kar rahay hon balkay jo bhe setup ho ossi k hawalay sy hamari jo zimedari banti hy …wo zimedaari nibhana hoa…”Hath kaaar wall”
Or osi moamlay ko nibhatay hoay hamaray Dill ka tanka apnay Allah sy musalsal lagaey rakhna hy…*Dill Yaar Wall*…

Is mein aisay zaroori nai k ham koe makhsoos sift ka ihsas he rakhein …jaisay k Baseer ka ihsas ya kisi bhe doosri sifft ka ihsas…
Or na he yahan is tara kisi sift ka ihsas rakh kar kuch acha step lenay ya boura chonray ka batana hy.

Yahan sirf dill k tankay ko har kaam kartay hoay lamha lamha is apnay Allah sy jorray rakhnay ke koshish krni hy.

Phirr andar k wo lateef or piaray ihsas share krnay hein jo os moamlay mein Allah sy dil ka tanka jurra honay ke wajah sy baidar hoay.

Or os moamlay k hawalay sy ye bhe batayen tou acha hy k pehlay osi kaam ko jab Allah k sath k ihsas or dill ka tanka jorray bina kartay thay tou kaisay ihsas hotay thay or
abb
kis tara sy Allah sy dill ka tanka jurra honay ke wajah sy oss kam mein behtari ya tabdeeli aye or dill k ihsas kis tara badlay.

Jazba Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *