Shining Star – Introduction

Piaray HKR
Asalam o alikoum..

Allah ke ashnai or qurbat k safar mein aagay barhnay k leay pehla bhe or aakhri qadam bhe zaat par kaam hy… Jo koe apni zaat ko mita k jitna khud ko andar sy khalis krta jatay hy… osi qadar wo qurbat ke manazil tay karta hy or khalis pann ka ye safar zindgi k akhri lamhay tak chalta rehta hy.
Ham sab Allah ke qurbat or aashnaai panay ke raah k musafir hein or is raah par aagay barhtay hoay zaat k mukhtalif pehlooun par kaam kar rahay hein.
Is kaam mein mazeed taizi or behtari laanay k leay aj sy naye andaz mein
*Group Work* ka aghaaz keya ja raha hy jis mein zaat par kaam ka shoq or aagay barhnay ka jazba rakhnay walahay HKRz Ko shamil keya geya hy.

Is group mein zaat par kaam k mukhtalif topics deay jaein gay or sab members oun topics par apna zavia e nazar sy roshni dalein gy. Or apnay practical points share keya karen gay.

Is tara andar k darr khulen gay or zaat k chuppay hoay pehloo samnay ayen gay jin ko pakar kar un par kaam karna asaan hota jaye ga or youn zaat sy azadi manzil ke tarf hamaray qadam aagay barahaye ge.

Umeed hy is mein sab bharpoor tareeqa sy hissa lain gay or or youn aik waqt mein boht sy log aik doosray k zavia e nazar sy mustafeed ho saken gay.

Special Note…

Jin HKRz ko yahan add keya geya hy agar wo active reh kar is group work mein hissa ly kar sath shaamil rehein tou bohat khushi ho ge….

Laikin agar kisi bhe waja sy wo shaamil nai ho saken gay tou 2 din absent honay par unhein group sy remove kr deya jaye ga….Koe zabardasti nai hy aap k shaamil honay k leay…

Agar kisi khass majboori ke wajah sy koe sharing na kar paye tou wo inform kar k 2 days Leave avail kar sakta hy.

Group mein sharing ko grade keya jaye ga or Sharing Report bhe de jaye ge.

Group Work sabb k leay aik sunheri maoqa hy. Har aik k leay maidan khula hy or har aik ke apni dorr…Koshish karni hy k is group work sy faida outhayen or manzil ke tarf qadam mazbooti sy aagay barhatay chalay jayen.

Jin hkrs ny shoq sy hissa na leya or sust rahay ya Grade bhe roz ka low raha tou ounhein groups sy remove kar k sirf ustad k sath zaat par kaam k leay bheija jaey ga.

Jazba Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *