Shukar – DAY 4

DAY 4

Piary Aaqa S.A.WW ka shukr sy mutaliq farman hy,
“Jo shakhs dunyavi moamlaat mein apny sy kamtar logon ke taraf daikhta hy or deen k moamlaat mein apny sy ouper walon ko daikhata hy tou Allah ous ko sabir o shakir likh laita hy or jo duniya k moaamlaat mein apny sy ouper walon ke taraf sy daikhta hy or deeni moamlaat mein apny sy neechy walon ke taraf daikhta hy tou baargaah e khuda wandi mein ousy sabir o shakir nai likha jata”

Lakin aksar logon ka haal yeh hy k dunyavi amour o moaamlaat mein apny sy ouper walon ke taraf daikhty hein is sy insan k andr hasad, bughaz, lalach, tamaa, lout khasout, bad diyanti or na jaaiz tareeqon sy hasool e doulat k jazbaat o siffat janam lainy lagti hein or agar apny sy neechy walon ke taraf daikhty hein tou is sy insan k andr ghana, esaar, shukar, sadqaat, khairaat, or sabar k jazbaat o siffat jalwa gari karny lagti hein.

Hazrat Umer r.a sy riwayat hy k,
“Naimat par Allah ke tareef ous k zwal sy amaan hy”
k agar koe naimat hasil ho tou ousy apna kamal na samjhy, apni taraf sy nisbat na kry k main ny isy is tarah hasil keya hy balky Allah ke janib or ous k fazal sy samjhy ousi ke taraf nisbat kry k Allah k fazal sy yeh hoa, shukar hy Allah ka k ous ny nwaza, ous ny karam keya, ousi k fazal o karam o reham sy mila warna main is laaiq kahan.

Adaa e shukar ka tareeqa yeh hy k banda is naimat ko isi masraf mein laaye jo Allah k nazdeek pasandeeda hy or dil he dil mein Allah ke naimton ka shukar ada karta rahy, is sy tabiyat az khud shukar ada krny ke taraf maail hoti hy.

Hazrat Imam Qusheeri r.a farmaty hein,
kisi soufi sy hikayat ki gae hy k ounhon ny aik safr mein aik nahayat bourhy aadmi ko daikha,
ounhon ny ous ka haal poucha,
ous ny bataya k main ibtada e umer mein apni chacha zaad behn par aashiq tha or ousy bhe mujh sy ishq tha ittifaaq aisa hoa k mera is sy nikkah ho geya,
shab e zafaaf mein hum dono ny kaha,
“Allah ny hum dono par meharbani farma kar hamein bazariya nikkah ikatha kr deya hy lehaza aaj raat hum Allah ka shukar ada krain gy”
chunachy hum raat bhar nafal parhty rahy or aik dousry ke taraf twajoo na kar saky, dousri raat bhe hum ny aisa he keya chunachy satar ya asi saal sy hum har raat isi tarah karty chaly aa rahy hein….

Phir burhiya ke taraf matwajoo ho kar kaha,
kia aisa nai hy??
burhiya ny kaha,
“Baat aisi he hy jis ko sheikh ny biyan keya”

Shukar guzari wo shajar e sada bahar hy jis ka phal behad lazeez o sheereein hy, is ke shakhein dono jahano mein phaili hoe hein, is k ghany rahat afza saaye mein baithny waly par har aan or har lamha Allah ke naimton ke barish hoti hy…

Beshak Allah hamein maangy or bin maangy har tarah sy nwazta hy lakin hamary andr ous ke naimton k shukr ka ehsas aisa nai hota or na he hum ny kabhe aisy shukr ada keya jaisay k krnay ka haq hy.

End


 

EXERCISE

Q1:-

Fill in the blanks:

(i): Deen k mamlaat mein apnay se _____ walon ko dekhna chaiye.
(ii): Naimat per Allah ki tareef Us k ______ se amaan hai.

Q2 :- MCQ’s

(i): Dunia k maamlaat mein apnay se _____ walon ko dekhna chaiye..
(a). Barabar
(b). Ooper
(c). Kamtar

(ii): Duniawi mamlat mein khud se neechay aur deeni mamlaat mein khud se ooper walon ko dekhnay walay ko kya kaha jata hai?
(a) . Saabir
(b) . Saabir o Shaakir
(c) . Naik

Q3: short Question

Sawal:
Apni aaj ki routine se shukar ka koi ek mamla share kren
aur
Shukar k baaray mein koi ek qaul bhi btayen…


 

ANSWER KEY

Blanks :

1: Ooper
2: zawal

Mcqs :

1: (c)
2: (b)

Question 3:

Ye sabka apna
jawab hoga.
(Ahadees aur waqiyat
material mein diye gaye
hain)

……..


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *