Shukar – DAY 5

DAY 5

Allah ki atat ka naam shukar hai bulky is trha kaha jaye kay zahir o batin kay tamam azaa sy atat ka naam shukar hai. Kisi ny Allah ki nafarmani sy bachny ki koshish ki to wo b shukar hai. Jis ko shukar ki tofeeq mill jaye ye Allah ka apny is bandy per bht bara karam hai.
Allah hm sub ko apny shukar ki tofeeq ata kry.ameen.

Al Quran Surah e Al saba mein Allah farmata hai:
“Beshak kam hain mery bandon me jo mery shukar guzar hain.”
Allah hmein apny shukar guzar bandon mein shamil farma ly.ameen.

Hazrat Abu huraira RA sy rawait hai kay pyaray AQA e do jahan SAWW ny farmya:
“Jis kay sath Allah bhalai ka irada krta hai to umar mein ziadatati aur shukr ki tofeeq sy usy nawazta hai.”
Allah hmein b apnay pasandeda bandon mein shamil farma ly.ameen
Sabar aur shukar Islam kay azeem tareen aamaal mein sy hain.kay jin mein ye wasf nae wo eman sy aari hai.

Hazrat Ans RA sy rawaiyat hai kay
Eman kay do hisy hain.
1. Sabar
2. Shukar
Jis dill mein jitna ye ehsas hoga us ka eman utna hi mazboot hoga.

PIYARAY AAQA S.A.WW ka ferman hy…
“Beshak ALLAH is say mohabbat kerta hy kay uski naimat ka asar banday per dikhai day”….

Naimaton kay shukr ka aik andaz ye bhe hy kay insan ki zaat say iska izhar ho.
Naimaton ko hasb e haisiyat istamal may laya jaye laikin fazool kharchi sy bacha jaye…

ALLAH ham sab ko shukar ka saheeh ehsas atta karay.ameen

ALLAH fermata hy
” kay agar tum shukar karo gay to zayada dun ga”..

Shukar say beshak ALLAH khush hota hy or is say naimaton may izafa hota hy….
Apna jaiza lwn kay wo konsa ehsas ya soch hy jo aap ko na shukri say foran

ALLAH ki naimaton per shukar kay ehsas may ly jati hy….
Al Quran سوره انسا ayat 147 may ALLAH ka ferman hy…
“Agar tum shukar karo or eman lao to ALLAH tumhay azab day ker kaya kary ga”…

ALLAH hamay eman walon may shamil kiye rakhay or akhrat may jahanam ki aag sy bachaye…ameen
End


EXERCISE

Q 1 :-
Fill in the blanks:

(i) Eman kay do(2) hissay hain …….. aor ……..

(ii) ………… kay shukar ka ak andaz ye b hai kay insan ki zaat say un ka iz’har ho.

Q2:- MCQS

(i) Zahir o batin kay tamam ai’zaa say …….. ka naam shukar hai.
a. Ata’at
b. Nafarmani
c. Karam

(ii) Surah Al saba may Allah farmata hy.
“Beshak kam hain mery bandon mein jo mery …… hain.

a. Shukarguzar
b. Ehsan mand
c. Ehsan faramosh

Q3 :- short question

Sawal:

Naimaton kay shukar ka ak andaz kaya ho sakta hy.?
Hadees e pak ki roshni may waz’iha krein.


ANSWER SHEET

Blanks :
1: Sabar aor shukar
2: Naimaton

Mcqs :
1: (a)
2: (a)

Question 3:

Ye sabka apna
jawab hoga.
(Hadees data mein hain.)

………


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *