Shukar – DAY 6

DAY 6

Shukar ki tofeeq kesy ho gi..?
Hazrat Abu Huraira( r.a) sy riwayat hy kay AAP s.a.ww ny fermaya:
“Jab tum may koi khuda ki naimat ki qadar(shukar)ada kerna chahay to apnay sy kamzor ko dekhay or apnay sy uper walay ko na dekhay”…
Apny sy kamzor per nigahain rahain gi to shukar ki tofeeq ho gi jab kay apnay sy uper nigah rahy gi to na shukri ka ehsas paida hoga…

Shukar zawal e naiamt sy hifazat hai.Hazrat Umar RA sy rawaiyat hai kay “naimat pr khuda ki tareef us kay zaval sy aman hai.”

Koi naiamt hasil ho to usy apna kamal na samjhein bulky khuda ki janib sy US ka fazal sy samjhy.aur is ki nisbat sy samjhein kay ye Khuda kay fazal sy hua Ye shukar khuda ka kay US ny nawaza aur US kay fazal o karam sy mila warna mein to is laiq nae.Ye hi shukar naimat ko zawal sy bacha leta hai.

Allah hmein apni naimaton ka sahi mahno mein shukar ada krny ka ehsas aata kr dy.ameen.

Khuda ka shukar guzar banda jo bandon ka shukar ada krta hai.US ki nawazshoun ka shukar aur un ki qadar krta hai wo khuda ka b shukar kry ga.
Goiaa bandon ka shukar ada krna Allah ka shukar guzar banda hony ki ak alamat aur miyar hai.

Hazrat Usama bin zaid RA sy rawaiyat hai pyaray AQA do jahan SAWW ny farmaya:
“Khuda ka shukar guzar banda wo hai jo logon kaa shukar ada krnay wala ho”…
Souchiye ! Hm Allah kay bandon ka kis qadar shukar krty hain.Allah hmein us ki tofeeq dy kr apna shukar guzar banda bna ly.ameen

Hazrat Ibn e Abbas RA sy marwi hai kay pyaray AQA e do jahan SAWW ny farmaya :
“Jis mein ye teen batein hun gi Allah Pak usy apni hifazat mein rakhy ga.Apni rehmat sy is ki paristari farmaye ga aur isy apni muhabat sy nawaz dy ga.
1. Nawaza jaye to shukar ada kry.
2. Qudrat pa ly (intaqam per) to mauf kr dy.
3. Ghussa aa jaye to pi jaye.
Allah hmein apnay shukar guzar bandon mein shamil kr ky apni muhabat sy nawaz dy.ameen

Shukar ko Qil’aa kaha gaya hy kay is may dakhil hony sy shaitan kay hamlay sy bach jaty hen….
Jab hamari nazar ALLAH ki di hui naimaton per ho gi to ham mayoosi sy bachay rahen gy kiun kay mayoosi kufar hy…

Mayoosi may ham uss wqt he jaaty hen jab ALLAH ki naimaton ka shukar adaa nahi kerty hen is liye jo kuch ALLAH ny atta kiya hy uss ko daikhty rehna or shukar adaa kerty rehna chahiye…
ALLAH hamay shukar kerny qala bana dy …ameen
End


 

EXERCISE

Q.1

Fil in the blanks :

(i) Shukar ………… sy hifazat hai.

(ii) Shukar ko ……… kaha gia hai,kay is mein dakhil hony sy ……. kay hamly sy bach jaty hain.

Q2:- MCQS

(i) Apnay sy kamzoor per nighaien rahein to ………. ki tofeeq hogi.
a. Sabar
b. Shukar
c. Sakoon

(ii) Jub hmari nazar Allah ki di hui naimaton per hogi to hm ……. sy bachy rahein gy.
a. Preshani
b. Takleef
c. Mayousi

Q3 :- short question

Sawal:
Piaray AQA SAWW ny farmaya” Jis mein ye 3 batein hun gi Allah paak usy apni hifazat may rakhy ga.”
Wo teen (3) batein kon kon si hen?


ANSWER KEY

Blanks :

1: zaval e naimat
2: qilaa, shaitan

Mcqs :

1: (b)
2: (c)

Question :

1. Nawaza jaye to shukar ada kry.
2. Qudrat pa ly (intaqam per) to mauf kr dy.
3. Ghussa aa jaye to pi jaye.

………


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *