Step 1: Introduction- (Sawal 1 to 8)

Ist Step 
Introduction

Sawal 1…
Murshed ka maqaam aap ke nazar mein…??

Jazba-e-Kaam Salaamat

Jawaab…

Murshad ka Maqam,
Meri nazar mein…

1. Roohnaniyat ke khas manazil sy guzar kar,
Apnay safar mei qurb k aala maqam par faiz,
*Aali Martabat Hasti*
Ka hy.

2. Aik *Rehbar e Kaamil* ka hy,
Jo Allah k bandon ko,
Rushd o Hidayat sy sarfraz karay.

3. Aik, *Sarapa Hidayat*
Ke raah dikhanay wali *Hasti* ,
Jin ke rehnumai banday ke zindgi ko, gumrahi sy, rah e raast or sirat e Mustaqeem par ley aye.

4. Murshad, Zindgi k har pehloo mei,
*Pairvi ka Kamil Namoona*
Hotay hein.

5. Murshad , Apnay pero kaaron ko na sirf aik, khaas maqam tak, balkay roohaniyat ke tamam maqamaat sy guzaar kar,
safar tay kara lainay or ounhein manzil par ley janay par,
kamliyat rakhnay wali,
*Hasti e Kamil, Murshad* hotay hein.

6. Murshad ka maqam har jahan mei,
Aik *Lajj Paal* ka hy.
Jo Apnay darr par anay walon ke,
harr jahan mei *Lajpaali* karnay ke koshish kartay hein.

7. *Murshad*ka maqam ,
Harr tara sy,
Apni zaat sy baala tarr ho janay wali *Hasti* ka hota hy,
Jin ka lamha lamha Allah k bandon or Ummat k leay waqf hota hy.
Zindgi ko raah e khuda, rushd o hidayat ka paigham phelanay
Or ummat ke falah o bhalai k leay waqf kar k, zindgi ko aik mission bana kar guzzarney wali,
*Hasti, Murshad* hein.

8. *Murshad* Wo jo, lamha lamha,
Haq ke raah mei, Haq ke power sy, , Haq parr kharray honay walay,
Or
Haq ka allam apni jaan sy guzar ka sarr bouland rakhnay walay hon.

9. Murshad ,
Allah k Khaas or chunnay hoay banday,
Zahir o Batin mei,
Allah Walay hotay hein.

10. Murshad, Arif e Haq, k maqam par faiz hotay hein. Oun par raaz e haq ayyan hotay hein.

11. Murshad, khalis Allah walay hotay hein,
Wo khud apni marzi sy kalaam nahi farmtay,
Oun ke har baat mei , Haq hota hy,
Jo Allah ke janib sy,
Oun k qalab par outarta hy.

12. Murshad e Kamil Par ,
Haq ke janib sy, Siffat e Haq ka zahoor hota hy,
Jin ko WO,
Allah k bandon ke bhalai k leay istamal farmatay hein.

13. Murshad, har khaas o aam ko,
billa tafreeq,
Apni nigah e karam sy,
ata karnay, nawaz deney k maqam par hotay hein.

14.Murshad Allah k Walli, hotay hein, jo
Billa gharz, or be loss ho kar,
Sirf Haq ke raza or khushnoodi k leay
Allah k bandon mei,
Allah ke ashnai or ihsas bant’tay hein.

15. Murshad, Arrfa o Aala,
Zaman o Makan ke,
Qaid o Bandd sy azaad,
Wo khaas ul Khaas Hasti,
Jo bazahir aam nazar aayen.
Jinhein zahir ke aankh na dekh sakti hey,
na jin k maqam ko bina baseerat samjha ja sakay.
or
Na chand lafzon mei Jin ke
*Hasti k Maqam* ko samait saken.

16. Murshad *Wajib ul Ita’at* Hasti hotay hein.
Oun k har hukam baja lana hota hy.
Wo apni marzi sy,
Apni chahat k tehat kisi bhe,
amal ke pervi nahi karaatay.
Balkay,
Allah k bandon or ummation sy,
Sirrf,
Allah or
Piaray Aaqa e Dou Alam S.A.ww k,
ihkaam ke pairvi karana he OUN ka maqsad hy.
OUN ka har hukam,
Allah ke raah par anay walay ko,
Allah ke ashnai ka ihsas barhaney k leay hota hy,
Isi leay ,
Murshad K hukam ke,
lamha lamha pairvi,
Allah ke raah k musafir ko,
Allah ke janib safar mei qadam qadam aagay ley jaati hy.

17. Murshad,
Allah tak paohanchnay ka
*Waseela* hota hein,
kion k,
Wo Khud ,
Khalis Allah Walay hotay hein,
Or
ALLAH ke ashnai or Qurb k aala tareem maqam par faiz hotay hein,
Isi leay ,
OUN ke qurbat, OUN ke rehnumai,
Kisi bhe khalis Talib ko,
Apnay *Matloob* takk paohancha deti hey.

18. Murshad,
Ishq ke raah k musafir or
*Apnay Mashooq* k Qurb k alla tareen maqam par hotay hein.

19. Allah or Piaray Aaqa E Dou Allam
S.A.WW,
Panjtann Paak or AAL E Nabi S.A.WW ke muhabat sy khud bhe intehaaiiii sar-shaar hotay hein or apnay pairo kaaron k dillon mei bhe IN SABB sy muhabat ka beej botay hein, or os beej ke har damm aabyaari khud farmatay hein.

20. Murshad, *Sahib e Nazar* hotay hein,
Oun par sabb kuch khoula hota hy.
Batin ke ankh khuli hoti hy.
Wo osi Batin or Dil ke aankh sy haqeeqt ko paa janay walay hotay hein.

21. Murshad e Kamil ko, Haq ny khud,
Har shay, har amal, mamool or moamlay ka *Sahib e Haal* farmaya hota hy.

22. Murshad ,roohaniyat ke raah ke musafirat tay farmatay hoay,
Har tara ke azmaish ke inteha sy, har morr, har rastay, har maqam, har manzil sy intehai aala tareeqay sy guzar chukay hotay hein.

23. Murshad ,
Aisi kamil hasti hotay hein,
Jo,
Jo aisay paidaishi musalmaan
or ummati ko…
Jo Allah k ihsaas sy aari,
Allah k ihkamaat sy be-niaz,
Akhrat ke fikar sy beegana,
Ho kar
Gumrahi k andhero mei bhatak raha ho,

* Os k mourda hotay qalb o ihsas ko nayi zindgi den, os k andar
Allah ka ihsas e ashnai,
Piaray Aaqa S.A.WW sy muhabat ka ihsas baidar kar k.

*Os par oske haqeeqat khol den.
*Ossay Allah k karam sy, amal ke tawanai, himmat ,taqat , atta farma den
*Ossay aik baa amal musalman bana dein.

Jazba-e-Kaam Salaamat


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawal 2…

*Murshed* ka lafzi matlab kia hy?

Jawaab..

”Murshad”
Ka lafzi matlab,
Rushad o hidayat denay wala hy.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~*Workers*~”
1st Step
Sawal 3…

Kaha jata hy k…
Murshed be’aib hota hy…
Aap k khiyal mein is baat ko kaisay laina hota hy….
Ya is ka kia matlab hota hy?

Jawaab :

Main aisy lon ge k…
Siwaey Piaray Aaqa S.A.WW k koe beaib nahi hy kion k hamary leay Sirf Aap S.A.WW he kaamil o akmal namoona hein.
Murshad bhe aik aala hasti hotay hein kion k Oun ko lamha lamha Qurbat e Haq Muyasar hoti hy, jis ke waja sy Oun ke har soch or amal ke buniyad Haq par hoti hy.
Wo apni zaat sy baala tar ho kar sirf Allah or Piaray AAQA S.A.WW k ehkaam k moutabiq zindgi guzarney ke behtaren koshish karty rehtay hein.
Murshad K har amal par hamara yakeen qaaim hota hy k wo amal, Onki apni marzi sy nahi hota.
Is leay On k har amal k khalis honay par hamara yakeen hota hy, or chahay bazahir kisi amal mei kami beshi bhe nazar aye, magar ham ny yaqeen rakhna hota hy k os amal mein bhe hamaray leay he behtari or bhalai posheda hy.
Is leay is tara sy Murshad beaib na hotay hoay be hamare nazar mein beaib he hota or rehta hy hamysha…
Or jab tak jis k nazar mein beaib rahay ga tab tak Wo os ka Murshed rahay ga.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawaal 4…

Kia kisi aurat ko Murshed mana ja sakta hy…
Solid reson bataaein??

Jawaab :

Jee han, kisi aurat ko Murshed mana jaa sakta hy.

Oske reason ye hy k,

“Murshad” Wo *Aala Hasti* hotay hein,
Jo khud Talib e Haq ,
Talib e Mola hotay hein,
Or Rushd o Hidayat ka pighaam phelatay hein.
WO Allah ke raah k musafir hotay hein.
Or
Allah ny apni tarf janay walay raastay sab k leay,
billa tekhsees e jinns khoulay rakhay hoay hein.
Yani,
Allah k rastay ka safar mard or ourat dono kar saktay hein.
Allah ny kahin farq nahi rakha.
Murshad Mouqarab e Haq hotay hein,
Or Allah ny is k leay bhe jinss ke koi qaid nahi rakhi.
Is leay is mei koi shak nai k,
*Aurat* k leay Allah ke janib janay, roohaniat ka safar tay karnay,
apnay safar mei aala manazil tay karnay or maqamaat paanay k rastay khoulay hein.
or isi leay jab wo,
Talib e Haq or Talib e Mola Aurat,
Allah k rastay par chaltay,
aala manazil tay kartay hoay,
*Murshad* k maqam par faiz hon ,
Or Rush o Hidayat ka phaigham phelayen,
tou Ouhnen *Murshad* maana ja sakta hy.
Waisay bhe Piaray Aaqa S.A.WW k dour sy aourtein har kaam mein sath sath rahein…
Azwaaj e Mutahiraat… ziada tar Sahaba karaam r.a.a k ghar ke khwateen… Piaray Aaqa S.A.WW ke Aaal e Paak mein sy Pak Bibiyan…
Bohat sy Aoliyaa e Karaam ke waalda ya Biwi ya Baitiyaan…
Rushd o hidayat dainay sy munsalik rahein…
Jis mein khaas khaas jo naam mujhy abhe yaad hein…
Hazrat Ayisha Sideeqa r.a… Hazrat Ummay Salma r.a… Hazrat Bibi Zainab Bint e Ali a.a…. Hazrat Rabia Basri… or aisay he beshumaar naam or bhe hein…
Note…
Laikin yahan kisi par zabardasti nai hy k
Murshed he zaror maanein…
Hamara maqsad Murshed ko manwanay sy ziada… logon ke hidayat or bhalaai hy…
Ustad tou samjha ja sakta hy na…
Kion k ham duniya ke taleem bhe tou kisi aurat sy haasil kartay hrin na…
Tou aisay he agar kisi ko hamare koe baat ache lagay tou ustad samajh kar ke osay pakarr lain.
….
Or waisay bhe jab maan ke goud ko bachay ke pehle darsgaah kaha ja sakta hy tou is ka matlab k aik aurat ko mana nai hy k wo rushd o hidayat ka kaam karay.
Kion k bachay ke pehle darsgaah aik aurat ke goud he hoti hy.
Special Note…
Kisi worker ny bhe is point par kahein stricket nai hona…
Apna pehla maqsad sirf or sirf logon ko hidayat ka paighaam daina rakhna hy.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st step
Sawal 5…

Aap ny jisay apna Murshed mana… os k leay aap k dil ny kis point par powerfull gawaahi de the…???

Jawaaab : 

Is sawal ka jawaab har aik k apnay dil k hisaab sy ho ga na…
Is leay yahan nai deya geya…

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
Sawaal 6…

Aap ke Murshed Saiyad hein??

Jawaab :

Murshed je by birth Saiyad nahi hein…
Jab Murahed jee ny ummat k logon ke hidayat or bhalaai k leay apne zindagi waqaf kar de or Allah ny apnay khaas karam or Aap ke anthak mehnat ke taqat or himmat atta ke tou is sy logon ko hidayat ke raah milnay lage or Allah ka ihsas e aashnaai logon k dillon mein barrhnay laga tou Aap ko aizaazi taor par saiyadon mein shaamil kar k Aap ko Shah ka laqab atta keya.

Spirit Of Work Salaamaat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawal 7

Aap k Murshed ny ibtadaai rohani tarbiyat kahan sy haasil ke??

Jawaab :

Aala Manzil ka safer kernay wali hastiaan… bouht sy Allah k piaron sy bhe or bohat sy mazaraat say bhe apne ibtadaai tarbiyat k leay faiz hasil kerti hein…
Or waisay bhe jis k paas kuch lamhay bhe beith k ilm or faiz hasil kea gea ho ya kuch seekha geya ho… tou Wo bhe Ustaad hoay…
Murshed ny bhe aisay he mukhtlif jagon sy ibtadaai faiz or tarbiyat haasil ke jin mein Shahabal Shah Sahab, Hafiz Abdul Qauom sahab, Zahor Ahemd Shah sahab, Muhammad Khan sahab, Sir Salman sahab sy faiz haasil keya….
Alaa Manzil sy phlay bouht sy mazaraat sy b faiz hasil keaa… jin mein Laal Shehbaz Qalandar k mazaar sy atta hoa faiz naqaablay biyaan ehmiyat ka haamil hy.

Spirit Of Work Salamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawal 8

Aap k Murshed ke aalla manaazil k leay rohani tarbiyat kis ny ke??

Jawaab :

Murshed jee k ibtadaai tarbiyat k baad jab aalla manaazil ka safar start hoa tou Hazrat Data Ganj Bakash Ali Hajveiri r.a ny Ustad k taor par baqaada tarbiyat ke…
Or os k sath sath he kuch arsay mein he sath Hazrat Laal Shehbaz Qalandar ny bhe Ustaad k taor par rehnunaai start kar de the…
Is tara sy aallaa manaazil ka safar chalta raha or ziada aagay ja k
Shair e Khuda Mola e Kaainaat Mola Ali a.a ny Murshed k taor par sath sath rehnumaai farmaai…
Jo k ab tak jaari he…

Spirit Of Work Salaamat.

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *