Step 1: Introduction- (Sawal 9 t 17)

“~* Workers *~”
1st Step
Sawal 9

Aap k Murshed par itni kam umari mein ye atta kaisay ho gae??

Jawaab :

Sab sy pehle baat tou ye hy k,
Itni aalla manaazil k banday, jis sy ummat k bohat sy logon ke hidayat or bhalaai k leay kaam laina ho…
Ounhein pehlay he rohani tor par bohat kuch atta kar k is duniya mein bheija jata hy…
Haan ye zaror hy k
Is dunia mein ounhein ibtada sy he aisy halaat or waqiaat k chkhar mein rakha or os sy guzara jata hy k jo oun k andar ke salahiyaton ko polish karny ka baais bantay hein…
Par is baat ke samajh tab he aati hy jab agay ja k zindgi mein onhein aalla manazil atta hoti hein or wo ummation k leay hidayat or bhalaai ka kaam krny lagty hein.
Murshed je ny be ibtada sy he aisi he zindgi guzari or sath sath rohanai atta ke gae power sy zaat par behtaren kaam kartay hoay khud ko zaat ke qaid sy azaad karati gaein or Allah ny apne raza or khushi sy itni kam umari mein aisi aalla manazil atta kar dein jis ka faaid na sirf ounhein bulky ummat k logon ko bhe ho raha hy.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawal 10

Aap k Murshed ka rohani duniya walon sy raabtay ka zariya kia hy??

Jawaab :

Rohani duniya sy raabta dua k zariye hota hy, jisay log aam taor par muraaqba bhe kehtay hein.
Murshed jee ka apna bhe or Silsilay mein kafi log hein jin ka apnay apnay level par Allah ke khaas atta or karam sy rohani duniya walon sy bazariya dua (muraqba) raabta hota hy jitna Allah chahta hy.

Spirit Of Work Salaamat.


*1st Step*

Sawal 11…

Aap k Siksilay ka naam kia hy…?

Jawaab…

*Muhammadi Hussaini*

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawaal 12…

Aap ka ye Muhammadi Hussaini silsila, rohani salaasil mein kahan ja milta hy??

Jawaab :

Muhammadi Hussaini silsila mein do tara k faiz ka rang hy…
Data jee ke Saalkiyat k faiz or rang k log bhe silsilay mein chal rahay hein
Or
Ishq mein Lala Shehbaz Qalandar k ishq o masti k faiz or rang k log bhe apna safar kar rahay hein.
Or ye isi leay hy k,
Hamara silsila peechay ja k Data Ali Hajvairi r.a or Qalandar Sarkar sy milta hy…
Kion k inhe do hastion ny aalla manaazil mein qadam rakhtay hoay apnay faiz ke power or rehnumaai sy Murshed jee ka rohani safar batadreej aagay ke jaanib rawaan dawaan karaya tha.

Spirit Of Work Salaamaat:-)


 

“~* Workers *~”
*1st Step*
Sawal 13…

Aap ka ye Silsilay kisi khaas firqay sy wabasta logon k leay hy…??

Jawaab :

Jee nai… hamara silsila kisi khaas firqay sy waabasta logon k leay bilkul nahi hy…
Yahan har tara k log aatay hein or kisi aanay ya raabta karnay walay sy kabhe nai pocha geya k aap kis firqay sy ho… kion k silsilay ka maqsad bila tafreeq ummat k logon ke bhalaai k leay kaam karna hy.

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
*1st Step*
Sawal 14…

Aap k Murahed ka ta’alouq zaati taor par kis firqay sy hy…??

Jawaab :

Murshed jee khud is waqt basicaly aashiq he hein…
Laikin Murshed Jee ka apna zaati taor par *Ehlay Sunnat Waljamaat*
Sy ta’alouq hy.

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawaal 15…

Murshed maan’nay k leay… ya silsilay sy attach ho k rushd o hidayat ke raah paanay k leay…
Aap k silsilay mein bai’at ka koe makhsoos tareeqa hy??

Jawaab :

Jee nai,
Murshed maan’nay k leay… ya rushd o hidayat ke raah paanay k leay
hamaray silsilay mein bai’at ka koe makhsoos tareeqa nahi hy…
Yahan har lamhay har anay walay or janay walay k leay darwazay hamysha khulay rehtay hein. Kisi ko bhe zabardast na tou sath attach rehnay par majboor keya jata hy or ne he kisi bhe amal par silsila ke taraf sy chorr janay ko kaha jata hy…
Jo bhe jab chahay or jitna chahay sath chalay…
Ham osay apne khaakis muhabat or dua k sath hidayat ka paighaam daitay hein…
Kion k ham Allah k nokar Piaray Aaqa S.A.WW k Ghulaam or Imaam e Aali k haq k mission k worker hein…
Is leay ham bila takhsees chahy koe kisi bhe silsilay sy bait shuda bhe ho tou bhe os k sath kaam kartay hein…
Or na he apnay dath attach ko kahein or ja k bait karnay sy mana kartay hein…
Ye Haq ke raah tou sab k leay hy na
Or sab ko jahan sy jis sy acha sabaq milay osay pakarr k haq ke raah par apnay qadam mazboot kar k aagay barrhta rahay…
Hamre dua or oiar har umnati k leay k kisi tara bhe os ke nijaat ke raaha aasan ho…ameen

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawaal 16…

Aap ke nazar mein Muhammadi Hussaini Silsila kis maqsad k leay chalaya ja raha hy??

Jawaab :

“Muhammadi Hussaini Silisila”
“Piar ka Silsila” hy.
Is ka maqsad,
Piaray Aaqa E Dou Aalam S.AWW k ummation ko rushd o hidayat or falah ke raah dikhana,
Ummat k logon k sakoon or bhalaai ka ba’eiss ban’na
or
Umaation ko jahanum sy nijaat dilaanay ke koshish krna hy.
Is ka maqsad Imaam -E-Alli Maqaam k haq par kharray rehtay hoay khud bhe baatil k khilaaf larrna or dosron ko bhe haq par kharra rakhnay ke himnat or taqat daitay hoay haq ke raah dikhana or
Piaray Imaam e Aalli Maqaam k ,
Haq ke Sarbulandi k Mission ko aagay barrhana hy.
Yahan aanay walay Allah k bandon or ummation ko Khud Sy Piar Sikhaya jata hy.
Ounhein Zaat par kaam ke raah dikha kar, zaat ke qaid sy azaad karaya jata hy or yehi Khud sy Piar hy jo zaat ke qaid sy azaadi mein unhein Allah ke aashnaai or qurbat mein aagay sy aagay leye jata hy yani
Allah or OS k bandon sy piar takk,
Or is rastay par agar aagay barrhein tou ye piar ounhein falah or kamyabi paanay walon ke saff mei laa kharra.
Karta hy.
Silsilay mei Ummat ke Rushd o Hidayat ka kaam kartay hoay,
Allah k bandon ko
Allah ka Ihsas e ashnai, OS par yakeen ka ihsas diya jata hy or
Haq ka paigham dillon mei outara jata hy, taa k wo haq par kharray rehnay ko apnay jaan o maal sy barh kr aziz rakhen
or khud ko,
Allah k ihsas k tehat,
Allah or Piaray Aaqa S.A.WW k ihkaam k tabay krnay ke koshish karen or youn unke zindgian sanwarney lagti hen.
Ye Sabb kuch billa gharz,
Sirff Allah ke raza Or
Piaray Aaqa S.A.WW,
ke khushnoodi haasil karnay k leay keya jata hy.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
*1st Step*
Sawal 17…

Silsilay sy attach honay k baad…
Aap ko khud mein kia kia tabdeeli mehsoos hoe….??
….
Is sawal ka jawaab bhe har aik k apnay hisaab sy he ho ga…

Jazba-e-Kaam Salaamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *