Step 2 – Arkan e Islam (Day 19)

Zakat Farz Hony Ke Sharaait

* Zakat har aaqil o baligh azad musalman par farz hy kafir pr nai.

* zakat ki adaaigi k leay sahib e nasab hona zaroori hy yani shariyat ny jo nasab muqarar keya hy outna maal hona zaroori hy ous sy kam pr zakat nai hy.

* Sahib e nasab ka maal par qabza hona bhe zaroori hy.
Kisi musalman ny apna maal zameen mein dafan kr deya or bhool gya phir barson k baad jagah yaad aaei or maal mil geya tou choun’k jis waqt maal gum tha ous zamany ki zakat ous par wajib nai kion k nasab ka malik tou tha lakin ous pr qabza nai tha is leay poury tor pr malik nai tha.

* zakat ada krny k leay sahib e nasab ka qarz sy farigh hona bhe zaroori hy jaisy agar kisi musalman k pass 1000 rupy hein magar wo 1000 rupy ka maqrooz bhe hy tou ous ka maal qarz sy farigh nai is leay ous pr zakat farz nai.
Msg 2


 

NASAB KA HAJAT E ASLIYA SY FARIGH HONA

Hajat e asliya yani aadmi ko zindgi basar krny mein jin cheezon ke zaroorat hoti hy jaisy rehny k leay makan, sardi garmi k kapry, gharailo saman yani khany peeny aor khana pakany k bartan, charpaiyan, kursiyan, maiz, chouly, pankhy, kaam krny ki machine waghira…
beshak saman lakhon ka bhe ho tou ous par zakat farz nai kion k yeh sub maal o saman hajat e asliya sy farigh nai.

 MAAL NAAMI HONA*

Yani maal barhany wala hona…
beshak hafeef barhny wala maal ho jaisy maal e tijarat aor charaai pr charaye huy janwar ya aisy bharny wala maal jaisy sona chandi k,
yeh is leay paida keay gy k in sy cheezain khareedi jaein or baichi jaein ta’k nafa hony sy yeh bharty rahein is leay sona chandi jis maal mein bhe hon yeh har haal mein maal nami yani barhny wala maal hy aor in ki zakat nikalna zaroori hy.
Msg 3


MAAL E NASAB PAR AIK SAAL GUZAR JANA

Zakat ka maal poura hoty he zakat farz nai ho jati bal’k aik saal tak wo nasab malkiyat mein rahy tou saal poura hony k baad is ki zakat nikali jaye gi.
Note
sony ka nasab 7.5 toly aor chandi ka nasab 52.50 toly hy.
sony chandi mein chaliswan hissa nikal kr bator zakat ada krna farz hy.
yeh zaroori nai k zakat mein sona chandi he di jaye bal’k bazar sy sony chandi ki qeemat laga kr paisy bhe diye ja sakty hein.


USHAR

Ushar zakat ki tarah hy jo,
* zameen sy paida hony wali hr qism ki ashya pr wajib hy khaw thora ho ya ziada.
Samak bin Alfazal ny kaha k Hazrat Umer Bin Abdul Aziz ny yeh frman likh kr bheija k zameen ki paida war thori ho ya ziada ous pr ushar hy.

* jo paida war barish ya zameen ki nami sy ho ous mein sy daswan hissa wajib hota hy aor jo paida waar tube well ya khareedy huy pani sy ho ous mein beeswa (20) hissa wajib hota hy.
Hazrat Moaz bin jabal r.a sy marvi hy k Aap SAWW ny mujhy yaman ki taraf bheija aor hukm frmaya k jis khait ki sairaabi aasmani(barish) pani sy ho ous mein daswan hissa aor jisy dool(tubewell ya nehar)sy sairab kiya geya ho ous mein beeswan hissa loun.

* Khaiti k akhrajaat nikal kr ushar nai nikala jaye ga bal’k jo kuch paida waar ho oun sub ka ushar daina wajib hy.
Government k jo tax deay jaty hein wo bhe ushar ki raqam sy ada nai kiye ja sakty.

* Zameen agar kraye par dy kr kataai krai jaye tou zameen waly aor kataai waly dono ko jitni paida war mili hy wo apny apny hissy ka ushar nikal lain.



 

EXERCISE QUESTIONS

 

MCQ’s /5

1. Zakaat kis par farz nhe hy?
a) Musalmaan
b) Kafir
c) Aurat

2. Kitnae arsae tak nasb malkeyat mae rhae tau phir is par zakat dena farz ho jata hy?
a) 1 saal
b) 2 saal
c) 3 saal

3. Sonae ka nasb kitnae tolae hy?
a) 8.5
b) 7.5
c) 6.5

4. Chandi ka nasb kitnae tolae hy?
a) 53.50
b) 52.50
c) 51.50

5. Sonae chandi mae _____ hissa nikal kar batoor e zakaat ada karna farz hy.
a) Chaliswan
b) Aikeswan
c) Chabeswan

Fill in the blanks /5

1. Zakat har akil o baligh _____ musalman par farz hy.
2. Sahib e nasb ka maal par _____ hona zaroori hy.
3. Zakaat ada karnae ky liye Sahib e nasb ka _____ sy farigh hona bhi zaroori hy.
4. Ushar _____ ke tarhan hy.
5. Yeh _____ sy paida hone wale har tarhan ke asheyaa par wajib hy.

True/False /5

1. Jo paida vaar barish ya zameen ke nami sy ho us mae sy beeswaan hissa wajib hota hy.
2. Government ky jo tax diye jatae hain woh bhi Ushar ke raqam sy ada kar saktae hain.
3. Khaete ky aakhrajat nikal kar Ushar diya jata hy.
4. Hajat e asleyah mae jo cheezaein shumaar hote hain un par zakaat farz nhe.
5. Hajat e asleyah ka matlab woh cheezaein hy jin ke zindagi basar karnae ky liye aadme ko zaroorat hote hy.

Short Answer Questions /15

1. Ushar ky mutalliq Pyaraay Aaqa S.A.WW ka farman e mubarik beyan karaein.

2. Zakaat farz honae ky 3 sharait beyan karaein.

3. Hajat e Asleyah mae kon kon sy cheezaein shamil hain ? Wazeyah karaein.

4. Ushar kya hota hy?

5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (a)
3. (b)
4. (b)
5. (a)

Fill in the Blanks?

1. Azaad
2. Kabza
3. Karz
4. Zakaat
5. Zameen

True/False

1. ✖
2. ✖
3. ✖
4. ✔
5. ✔

Short Answer Questions

1. Yeh har aik ka apna jawab ho ga (Upar walae msgs mae bhi farmaan e Nabvi S.A.WW moujood hy)

2. Is ky yeh sharait hain:
?Sahib e Nasab hona
?Azaad hona
?Maal par qabza hona
?Qarz sy farigh hona
?Nasb ka hajat e asleyah sy farigh hona
?Maal nami hona
?Maal e nasab par aik saal guzar jana

3. Makan, Sardi garmi ky kaprae, gharelo saman yani khanae peeny aor khana pakanae ky bartan, furniture waghira

4. Ushar zakat ke tarhan hy jo zameen sy paida honae wale har kisam ke ashya par wajib hy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *