Step 2 – Arkan e Islam (Day 2)

“Arkaan e Islaam”

Jab 5 aqaaed par eeman laaya jata hy tou musalmaano k garoh mein shaamil ho jatay hein…
Laikin poray musalman os waqt hotay hein jab oun ehkaam ke atta’at kartay hein, jo Piaray Aaqa S.A.WW ny Allah ke taraf sy ham tak pahonchaey hein…
Kion k eeman lanay k sath he atta’at laazim ho jaati hy or atta’at he ka naam Islaam hy…
Piaray Aaqa S.AWW ny hamein zindagi guzarnay ka tareeqa sikhaya hy…
Hadood k andar rehtay hoay kuch cheezon par amal karnay ka hukam deya hy or kuch sy mana farmaya hy…
Is mein sab sy pehlay wo ibadaat hein jo farz ke gae hein…
Inhein *Arkaan E Islaam* ya *Arkaan E Deen*
yani “Deen k Satoon” kaha jata hy…
Jis tara aik emaarat chand satoono par qaaim hoti hy… Isi tara Islaami zindagi ke emaarat bhe in satoono par qaaim hy jinhein Arkaan e Islaam kehtay hein.
⭐Arkaan e Islaam 5 hein…
1. Taoheed
2. Namaz
3. Roza
4. Zakaat
5. Hajj


Arkaan E Islaam

“TAOHEED”

Arkaan e islam 5 hein oun mein sub sy pehl rukan *Taoheed* hy… yani yeh k na sirf Allah ko aik man’na bal’k dil sy yeh iqrar k Oss ka koe shareek nahi…
or apny khiyalat o jazbaat, dosti dushmani, mohabat nafrat, or pasand o na pasand, sub kuch Allah ke marzi k tabeh kar daina. Yahan tak k na sirf sari koshish bal’k jeena or marna sirf or sirf Allah k leay ho jaye.
Agar daikha jaye tou Arkan e Islaam ke tarteeb mein ibtada taoheed sy hoti hy or taoheed hamari zindagi k har lamha ko apny ehata mein leay hoty hein or yeh hamari soch, ehsas, or amal k sath dil ke har dharkan mein yaqeen ban kar rachi basi honi chahiye kion k is k baad he hamary leay hamari zindagi ke routein mein baqi arkan e islam ke ehmiyat or oun ke behtreen tarah sy adaaigi ka ehsas paida hota hy.
Jaisy taoheed hamari zindagi k har lamhay par muheet hy…
Is k baad namaz poury din mein 5 martaba, rozy saal mein aik bar, haaj pouri zindagi mein sahub e ista’ta’at par aik baar or zakat mein saal aik baar…. tou arkaan e islam ke is tarteeb sy he hamein achi tarah samjh aati hy k toheed ke keya ehmiyat hy.
Hamein Allah aik hy or Oss ka koe shareek nahi k paigham ko yaqeen or emaan bana kr dilon mein Piary Aaqa S.A.WW ny aisay outara.Aap S.A.WW ny he na sirf yeh bulkay tamaam arkan e islam ke bohat behtreen tarah sy adaaigi oun ke juziyat k sath hum par wazeh ke or hamein wo sab khud amli tor par kar k bhe dikhaya.


 


Todsys Memorization

  • Panchwan kalma bama tarjuma yaad kar k kisi ko souna k tashee bhe karani hy…

Panchwan Kalma Astaghfar:
Tarjama…
Mae Allah sy maufi mangta hoon jo mera Parwardigaar hy, har gunah sy jo maine kiya jan bojh kar ya bhool kar dar parda ya khullam khula aur mae touba karta hoon Us ky hazoor mae us gunah sy jo mujhe maloom hy aur us gunah sy jo mujhe maloon nhe beshak TOU ghaebon ka jananae wala hy aur aebon ko chupanae wala hy aur gunahon ka bakshnaw wala hy aur gunahon sy bachnae ke taqat aur naek kam karnae ke quwat Allah he ke taraf sy hy jo Aale Shan aur azmat wala hy.



Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Poorae Musalman kab hotae hain ?
a) Sirf aqaeid par eman
b) Aqaeid aur Aaqa(S.A.WW) ky ihkaam ke ita’at
c) Aqaid aur duniya ke chahat rakhna

2. Arkaan e Islaam kisae kaha gaya hy?
a) Faraiz ibadat ko
b) Nafli ibadat ko
c) Eman Mufassil aur Eman Mujamil ko

3. Arkaan e Islam ke ibtida kis sy hote hy?
a) Roza
b) Haj
c) Tauheed

4. In mae sy kon sy rukan Arkan e Islaam ka hissa nhe?
a) Roza, Haj, Zakaat, Tauheed
b) Roza, Tauheed, Umrah, Zakat
c) Tauheed, Namaz, Roza, Haj

5. Hum par Tauheed ke ihmeyat kis sy wazeyah hote hy?
a) Arkaan e Islaam ke tarteeb sy
b) Arkaan e Islam ky ma’ani sy
c) Namaz ke pabandi sy

Fill in the blanks /5

1. Jab 5 Aqaid par eman laya jata hy tau _____ garoh mae shamil ho jatae hain.
2. Arkaan e Islam ke ta’adad hy _____ hy.
3. _____ humare zindagi ky har lamhae ko apnae aehatae mae liya hota hy.
4. Hajj poore zindagi mae _____ par aik baar farz hy.
5. _____ aur zakaat saal mae aik baar farz hy.

True/False /5

1. Arkaan e Islam ko deen ka satoon kaha jata hy.
2. Tauheed ky ma’ani ehad karnae ky hain.
3. Pyaraay Aaqa S.A.WW ny humaein zindagi guzarnae ka behtreen tareeqa sikhaya hy.

4. Humara jeena aur marna apnar waldaein ky liye hona chahiye.

5. Nafli rozae Arkaan e Islam ka hissa hain.

Short Answer Questions /15

1. Teesra aur Choutha kalma yaad kar ky kisi ko suna kar apne tassali kar laein aur baghair daikhae tarjama likhaein.

2. Arkaan e Islaam kitnae hain? Tarteeb sy naam likhaein.

3. Tauheed ky ma’ani kya hain ?

4. Arkaan e Islam ke ihmeyat apne samajh ky hisaab sy apnae ilfaaz mae wazeyah karaein.

5. Aaj ky in malumaat ky barae mae kis ko kis point par aur kaisae targheeb de ?


Answer Sheet

MCQ’s

1. (b)
2. (a)
3. (c)
4. (b)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Musalman
2. 5
3. Tauheed
4. Sahib e Istata’at
5. Zaka’at aur Roza

True/False

1. ✔
2.✖
3.✔
4.✖
5.✖

Short Answer Questions

1. Reply
Teesra Kalma Tamjeed:
Pak hy Allah aur tamam tareef Allah he ky liye hy aur Allah ky siwa koi mabood nhe aur Allah bohat bara hy aur gunahon sy bachnae ke taqat aur naek kaam karnae ke quwat Allah he ke taraf sy hy jo aale Shaan aur azmat wala hy.

Choutha Kalma Tauheed:
Allah ky siwa koi mabood nhe, Wog akaila hy Us ka koi shareek nhe, Use ke badshahi hy aur Use ky liye tamam ta’arefaein hain, Woh zinda karta hy aur Wohe marta hy aur Woh humesha humesha ky liye zinda hy jo marae ga nhe, azmat aur bazurgi wala hy, behtari Use ky haath mae hy aur Woh har cheez par qadir hy.

2. Arkaan e Islam 5 hain:
i) Tauheed
ii) Namaz
iii) Roza
iv) Zakat
v) Haj

3. Allah ko aik manana aur dil sy iqraar keh Us ka koi shareek nhe.

4. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *