Step 2 – Arkan e Islam (Day 5)

“NAMAZ”

Faraaiz e Namaz

Namaz k 7 faraaiz hein jinhein arkaan e namaz bhe kaha jata hy.
Jo k ye hein

● 1. Takbeer e tehreema
Namaz ka pehla farz takbeer tehreema hy yani Allah Hu Akbar keh kar namaz shuru karna.

● 2. Qiyaam
Nanam ka dosra farz qiyaam hy yani farz namaz, witar, dono eidon ke namaz or sunnat e fajar kharray ho k parrhna.

● 3. Qiraat
Namaz mein surat ya ayaat ka parrhna qiraat kehlata hy.

● 4. Rakou
Namaz ka caotha farz rakou hy or rakou ka mani jhukna hy.

● 5. Sajda
Namaz ka panchwan farz har rakat mein do sajday karna hy. Shariyat mein ibadat ke niyat sy intahaai aajzi or inkasari sy apne paishaani zameen par rakhnay ko sajda kehtay hein.

● 6. Qa’ada e akher
Namaz ka chatta farz aakhri qa’ada hy yani namaz ke sari rakatein pori kar lainay k baad itni dair beithna k Atta’hiyaat… Ab’duhu Wa Rasolohu tak parrh le jaey, farz hy.

● 7. Kharooj besoun’ay’he
Namaz ka satwan farz kharooj besoun’ay’he hy k salam k sath namaz ko mukaml karna.

  • Namaz k in 7 faraiz ya arkaan mein sy agar farz bhe danista ya nadanista choot jaey tou namaz nahi ho ge or dobara namaz adda karna farz hota hy.

 

Sharaait E Namaz

Namaz k durust or sahi honay k leay shariyat e islaamiya ny kuch pabandian aaid ke hein jinhein sharaait e namaz keha jata hy.
Ye sharaait 2 tara ke hein.
Aik namaz k waajib ho ay ke
Or
Dosri namaz k sahi honay ke
Jahan tak naamz k wajib honay ke sharaait ka ta’alouq hy tou wo 4 hein
1. Islam
2. Sehat e aqal
3. Baaligh
4. Waqt paya jana

Matlab k har aaqil or baaligh musalman par muqarara waqt mein namaz adda karna farz hy.
Is k illawa

Namaz k sahi honay ke sharaait 6 hein.

1. Namazi k jisam ka paak hona
2. Namazi ka libaas pak hona
3. Musal’la ya jaey namaz ka pak hona
4. Namazi k badan ka posheeda hona yani kaprray sy dhaanp k rakhna jis ka satar farz hy.
5. Qibla ke taraf mounh hona
6. Namaz ke khass Allah k leay niyat karna.

In sab sharaait ka namaz sy pehlay poora karna laazim hy


 

Tareeqa e Niyat e Namaz

Namaz ke niyat k alfaz zaban sy is tara adda karnay chahiyein…
Maslan k…
Niyat ke main ny aaj k 2 rakat farz namaz fajar ke ya 4 rakat farz zuhar ke…. khaas Allah k waastay… moun mera taraf Khana Kaba Shareef k (Agar jamaat sy namaz parrhta ho tou aisay kahay) peechay is Imaam k Allah Hu Akbar…
Or Takbeer e tehreema kehtay waqt dil mein bhe ye niyat honi chahiye.
Witar ke niyat is tara karay k…
Niyat ke main ny 3 takat namaz witar waajib… khaas Allah k waastay… moun taraf Khana Kaba Shareef K… Allah Hu Akbar
Note…
Aisay ab jis waqt e namaz k bhe adda karnay lagay hon…
Os ke rakaat ke tadaad ke niyat or sath he ye k wo farz, sunnat hein ya nafal ke bhe niyat karna hoti hy… baki sab ke niyat k alfaaz or tareeqa aik jaisa hota hy.



 

Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Namaz ky _____ faraiz hain.
a) 5
b) 6
c) 7

2. Namaz ka chatta farz _____ kehlata hy.
a) Kharooj besoun’ay’he
b) Qa’ada e akher
c) Qiyaam

3. Sharait e namaz do tarhan ke hain.
a) Namaz ky wajib aur saheeh honae ky
b) Namaz ka poora aur farz honae ke
c) Namaz ka wajib aur azaan sunanae ke

4. Namaz ky wajib honae ke konse sharait nhe hain?
a) Islaam aur sehat e aqal hona
b) Boorha aur chust hona
c) Baligh aur waqt paya jana

5. Namaz ky saheeh honae ky _____ sharait hain
a) 4
b) 6
c) 5

Fill in the blanks /5

1. Namaz mae jisam, _____ aur jae namaz ka paak hona zaroori hy.
2. Namaz ka pehla farz _____ hy.
3. Rakooh ka ma’ani _____ hy.
4. Kharooj besoun’ay’he ka matlab _____ hy.
5. Namazi ky badan ka _____ hona farz hy.

True/False /5

1. Namaz ky wajib honae ke koi sharait nhen
2. Namaz mae khaas Allah ky liye neeyat hona zaroori hy.
3. Takbeer e Tehreema kehtae waqt dil mae namaz ke neeyat hona zaroori nhe.
4. Namaz ka panchwa farz har rakat mae 3 sajdae karna hy.
5. Namaz ka doosra farz qiyaam hy yani kharae ho ky namaz parhnaa.

Short Answer Questions /15

1. Tarteeb sy namaz ky faraiz likhaein.
2. Namaz ke niyat ka tareeqa beyan karaein.
3. Namaz ky kis qisam ky do sharait hain? Wazeyah karaein.
4. Qada e Aakhir ky barae mae wazeyah karaein.
5. Aaj ky maloomat ky barae mae kis kis ko aur kin points par targheeb de ? Share karaein.


 

Answer Sheet

MCQ’s

1. (c)
2. (b)
3. (a)
4. (b)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Libaas
2. Takbeer e Tehreema
3. Jhukna
4. Omirada or Fail
5. Posheeda

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. i) Takbeer e Tehreema
ii)Qiyaaam
iii)Qiraat
iv)Rakou
v)Sajda
vi)Qa’ada e Aakhir
vii)Kharooj besoun’ay’he

2. Neeyat kartae waqt yeh ilfaz zubaan sy ada karnae chahiye:
Neyat ke maine aaj k 4 rakat farz namaz e asae ke khas Allah ky wastay muon mera taraf Khana Kaba Shareef ky…Allah o Akbar aur Takbeer e tehreema kehtae hue dil mae neyat honi chahiye.

3. Aik namaz ky wajib honae ky aur dosrae namaz ky sahee honae ky.

4. Namaz ke sare rakataein pori kar lainay ky baad itni daer baithna k attahaiyat…ab’duhu Wa Rasolohu tak parh le jae.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *