Step 2 – Arkan e Islam (Day 7)

Topic Namaz

Mufsidaat E Namaz

Aisay amour jin ka namaz mein krna mana hy, krnay sy namz tout jati hy unhein mufsidaat e salaat kaha jata hy.
In mufsidaat ka dosra naam Nawaqis E Namaz bhi hy.
Namaz tout janay ki surat mein namaz dobara parhni parti hy.
Namaz ko fassidor tornay wali cheezain do trah ki hein.
Awal… Aqwaal yani Kalaam e guftagu wagaera.
Or dusri… Afaal yani khilaaf e namaz koi kaam or harkat wagera krna. Ye dono cheezain namaz ko tornay wali hein.
☆… Aqwaal… yani namaz mein kisi sy baat krna mufsid namaz hy.
Ye baat…

● Jaan bujh k ho ya bhool sy ho,

● Thori ho ya ziada,

● Baidari mein ho ya namaz ki halat mein neend aa janay ki wajha sy,

● Kisi ko namaz mein qadan ya bhool kr salaam krna ya kisi k salaam ka qasdan ya sehvan jawab daina.

● Namaz mein kisi ki cheenk ka jawab daina yani (Yar Hamukallah) kehna,

● Buri khabar sun kr (Inna Lillah e Waa Inna Illehe Rajaion) ya koi or lafz kehna,

● Achi khabar sun kr (Allhamdulillah) ya koi or lafz kehna.

● Allah ka naam sun kr (Jalla Jalala) or Nabi Akram S.A.WW ka naam sun kr jawab ki neyat sy Darood Shareef parhna.

● Ta’ajub wali baat sun kr (SubhanAllah) ya (La’illaha Illalaah) kehna.

● Apnay Imaam k siwa dosray ko namaz mein luqma daina.

● Dard ya taqleef mein Aah ya Ouf kehna.

● Agar beemari ki halat mein bila ikhtiyaar Aag,Ou wagera nikal jaey tou moaaf hy.

● Namaz k andar dua mein aisi cheez mangna jo aam taor per aadmiyoun sy mangtay hein.

● Namaz puri honay sy pehlay qasdan Salaam pherna. Agar bhool kr salaam phair deya tou koi harj nai. Aakhir mein Sajda e sahev kr ly.

● Quran Paak sy daikh kr parhna.

● Quran Paak ghalat parhna.
In sab baton sy namaz tout jaey ge.

● Bila uzar khankharnay or mutharnay sy bhi namaz tout jaey ge. Haan agar imaam ny awaaz saaf krnay ya muqtadi ny imaam ko ghalti per aagah krnay ya dosray ko apna namaz mein hona batanay k leay khankara tou namaz ho jaey h
Ge.

● Quran Paak ghalat parhnay sy us waqt namaz fasid hoge jab k Qirat e Quran mein aisi ghalti Hoe jis sy maani bigar jaein.
Aarabi ghaltiyaan yani Zair Zabar Paish wagera. Agar aisi hon jin sy Quran E Pak k maani na bigartay hon tou ye mufassid namaz nahi.

☆… Mufsidaat e namaz ki dosri qisam Afaal ki hy. Yani namaz tornay walay fail or wo ye hein…

● Awal amal e kaseer namaz ko tor daita hy. Amal e kaseer us amal ko kehtay hein jo na namaz k afaal sy hon or na namaz ki islaah o darustagi k leay keya jaey. Or is kaam k krnay walay ko dor sy daikhnay wala namaz mein na samjhay. Or agar dor sy daikhnay wala shak o shubah mein ho k namaz mein hy ya nahi tou ye Amal e Qaleel hy. Us sy namaz naji tout’ti.

● Namaz k andar Qasdan ya bhool kr khanay peenay sy namaz tout jati hy.

● Daanton mein khanay ki koi cheez reh gae thi us ko nigal gaya. Agar wo chanay sy kam hy tou namaz fassid na ho ge. Haan makrooh ho jaey ge. Or agar chanay k barabar hy tou tout jaey ge.

● Danton sy khoon nikla tou agar nigalnay sy khoon ka mazah mehsus ho tou namaz tout jaey ge. Warna nahi.

● Namaz sy pehlay koi meethi cheez khaai thi. Ab munh mein sirf us ki mithaas wagera ka asar baqi reh gaya hy tou us k nigalnay sy namaz na toutay ge.

●Namaz mein bila zarorat qibla ki traf aik baar 2 saffoun ki miqdaar chalnay, ●bila uzar Qibla ki traf st seena phair dainay,

● Imaam sy aagay barh janay,

● Namaz k andar 3lafz likhnay,

● Dard or musibat sy ronay,

● Jammat mein aaqil o baaligh aorat k mahazi yani daaein baaein ya peechay kharay honay sy namaz tout jaey ge.

● Baaligh ka namaz mein qehqaha laga kr yani awaaz sy hansnay sy namaz or wazu dono tout jaey ge.

● Namaz mein bila khayal mas’ala e sharaee k ghair namazi ka kaha man’nay sy bhi namaz jati rahay ge.

● Agar namazi k kehnay per mas’ala e sharaee or Atta’at e Rasool S.A.WW ka khayaal kr k apni jagha sy hata tou namaz na totay ge.

● Jamat mein imaam ka aisay shakhs ko khalifa bananay sy jo imaamat ka ehl na ho …

● Imaam ka baghair khalifah banaey masjid sy bahir chalay jana,

● Or namazi ka be’wazu honay k baad uai jagha aik rukan ki adaaigi ki miqdaar kharay rehnay sy namaz tout jaey ge. Yani is per ab binah jaez nai.

● Namaz ki halat mein saanp ya bichu ko marnay sy namaz nahi tout’ti… jab k na 3 qadam apni jagha sy chalay or na 3 baar marna paray warna namz faasid ho jaey ge. Lakin in ko marnay ki bahar haak ejazat hy…
Kion k…
Tirmizi mein…
Hazrat Abu Huraira sy rawayat hy k…
Nabi Akram S.A.WW ny farmaya hy k… 2 kalay rang ke cheezon saanp or bichu ko namaz mein maro.
Sanp or bichu ko namaz ki halat mein marnay ke us waqt ejazat hy jab k wo samnay sy guzrein or un k aiza dainay or kaat khanay ka khaof ho or agar in k takleef pohanchanay ka andaisha na ho tou makrooh hy.

● Namaz mein aik rukan mein 3baar khujanay or har baar hath outhanay sy namaz tout jaey ge. Or aik baar hath outhana or khujana bila uzar makrooh hy…
● Namaz k andar kurta ya pajama pehn’na ya tehband bandha tou namaz fassid ho jaey ge.

● Aksar namazi sajday mein jatay waqt dono hathon sy pajama ya tehband wagera ouper charha laitay hein. Ye sakht makrooh hy. Bal’k aik qaol k murabiq ye Amal e kaseer hy.. jo mufsid e namaz hy.



Exercise Questions

MCQ’s /5

1. In mufsidaat ka doosra naam kya hy?
a) Nawaqis e Namaz
b) Arkaan e Namaz
c) Faraiz e Namaz

2. Namaz toot janae ke surat mae kya karna chahiye?
a) Namaz dobara parhna
b) Sajda e Sehav
c) Kafara

3. Namaz mae Quran e Paak sy daikh kar parhna kya hy?
a) Mufsidaat e Namaz
b) Faraiz e Namaz
c) Arkaan e Namaz

4. Namaz mae aik rukan mae kitne baar khujanae aur har baar hath uthanae sy namaz toot jae ge ?
a) 7 baar
b) 5 baar
c) 3 baar

5. Mufsidaat e Namaz ke kitne iqsaam hain?
a) 4
b) 2
c) 8

Fill in the blanks /5

1. Aisae amoor jin ky karnae sy namaz toot jate hy usae _____ kaha jata hy.
2. Mufsidat e namaz ke doosre qisam _____ ke hy.
3. Awal _____ namaz ko tor deta hy.
4. _____ ky nighalnae sy namaz toot jate hy.
5. Aksar namazi sajdae mae jatae waqt pajama upar charha laete hain, yeh sakht _____ hy.

True/False /5

1. Namaz poore honae sy pehlae qasdan salaam phaernae sy namaz nhe tootate.
2. Namaz mae Quran e Paak sy daikh kar parhna jaiz hy.
3. Apnae Imam ky siwa kisi dosrae ko lukma dena jaiz nhe hy.
4. Dard or museebat mae namaz mae ronae sy namaz toot jate hy.
5. Namaz ky doran dua mae aise cheez mangna jo aam tor par admeyon sy mangtae hain jaiz nhe.

Short Answer Questions /15

1. Namaz ko fasad karnae aur tornae wale cheezaein kitne hain ? Wazeyah karaein.
2. Aqwaal mae sy koi sy 2 points btaein.
3. Amal e qaseer kisae kehtae hain ?
4. Sanp aur bicho ko namaz mae marnae ky havalae sy Pyaraay Aaqa S.A.WW ka farmaan likhaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

 Answer Sheet

MCQ’s

1. (a)
2. (a)
3. (a)
4. (c)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Mufsidaat e Namaz
2. Afaal
3. Amal e Qaseer
4. Khoon
5. Makrooh

True/False

1. ✖
2. ✖
3. ✔
4. ✔
5. ✔

Short Answer Questions

1. Namaz ko fasid karnae aur tornae wale cheezaein do tarhan ke hain:
Aqwaal aur Afaal

2. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

3. Woh amal jis ky karnae sy namaz toot jate hy.

4. Hazrat abu Huraira r.a sy rawayat hy keh Nabi Akram S.A.WW ny farmaya hy k…2 kalay rang ke cheezon sanp or bichu ko namaz mein maro.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *