Step 2 – Arkan e Islam (Day 8)

Makrouhaat e Namaz

Makrouhaat e namaz sy muraad wo amour hein jin sy namaz fassid tou nai hoti albatah makrouh ho jati hy… Is leay in sy bachnay ki koshish krni chahiye…
Makrouhaat 2 trah k hein…
● Aik Tanzeehi…

● Or dosray Tehreemi…
Jin ki tafseel mandarja zail hein…

Makrouhaat e Tanzeehi…

Namaz mein darj zail cheezain makrouh e tanzeehi hein…

● Rakou o sajoud mein bila uzar 3 tasbeeh sy kam parhna… Haan agar waqt tang ho ya… Imaam ny sajda sy sir utha leya tou imaam ki mutabe’at mein… Yaa rail wagera k chal janay ka khaof ho tou koi harj nahi.

● Saaf kapron k hotay kaam kaaj k maelay kuchaily kapron mein namaz parhna…

● Garmi or susti or kapron ko bojh samajhnay ki wajha sy nangy sir namaz parhna…

● Namaz mein topi gir jaey tou aik baar amal e qaleel sy outha kr rakh laina afzal hy. Baar baar ho tou na outhaya jaey…

● Munh mein koi cheez leay nmaz parhna jo mana’ey Qirat ho…

● Namaz mein paishani sy matti, ghaas, ya paseena wagera ponjhna. Haan agar naak sy pani bahay tou us ka pounch laina behtar hy. Or masjid mein girnay ka andaisha ho tou zaror pounchay …

● Namaz mein oungliyon per tasbeehon ka shumaar krna bhi makrouh hy…

● Namaz nafal ho ya sunnat o farz hath ya sir k isharay sy namaz mein kisi k salaam ka jawab daina…

● Namaz mein Bila uzar chaar zanoo(Chokri) baithna…

● Daman ya aasteen sy hawa pohanchana yani pankha jhalna, Asbaal yani had sy ziada kapray daraaz rakhna…

● Jamaai k waqt munh khula rakhna…

● Qasdan angraai laina…

●  Khansna, khankharna ya thukna bhi makrouh hy.

● Muqtadi ko saff k peechay akailay khara hona or munfarid ka saff mein khara hona…

● Bila uzar aik he rak’at mein aik he aayat ya surat ko baar baar parhna…

● Sajda mein jatay waqt bila uzar guthnoun sy pehlay hath rakhna or outhtay waqt hathon sy pehlay guthnay bithana or outhtay waqt aagay peechay aapon outhana…

● Rakou mein sir ko pusht sy ouncha ya neecha krna…

● Bila uzar namaz mein deewar k sath ya aasa laathi wagera per taik lagana…

● Rakou mein guthno per or sajda mein zameen per hath na rakhna…

● Namaz mein aastein bichaa kr ous per sajda krna…

● Sajda mein paaon or hathoun ki oungliyoun ko qibla rukh sy phairna, Daaein baaein jhoomna…

● Taraweeh yani aaram k leay kabhi aik paaon per zor daina or kabhi dosray paaon per zor daina sunnat hy…

● Namaz mein aankhain band rakhna. Haan khashou o khazou ki neyat sy aankhain band rakhna jaaiz hy…

● Makhi or machar ko bila zarorat urana. Haan macharya joun takleef daitay hon tou amal e qaleel sy un ko marna bhi jaa.jaa’iz hy …

● Talwaar, Kamaan ya bandouq wagera hama’il keay hoay namaz parhna bhi makrouh hy. Agar in ki wajha sy tawajha hatay…

● Isi trah hath mein koi cheez leay namaz parhna bhi makrouh hy. Haan agar us ki hafazat bagair outhaey na ho sakay tou jaa’iz hy…

● Mard ka sajda mein pait ko raano sy chipkana makrouh hy…

● Namaz mein khushboo wagera sounghna bhi makrouh hy…

● Imaam ka tanha mehraab k andar khara hona bhi makrouh hy. Haan agar mehraab sy bahir khara ho or sajda mehraab k andar ho tou makrouh nahi…

● Imaam ka tanha ounchi jagha khara hona…

● Imaam ka neechay khara hona or muqtadiyoun ka buland jagha per khara hona bhi makrouh or khilaaf e sunnat hy…

● Masjid mein apnay leay namaz parhnay ki jagha makhsoos kr laina bhi makrouh hy…

● Imaam ka is qadar jaldi namaz k arkaan mein khara hona k muqtadi masnona azkaar adda na kr sakein…

● Imaam ko juma or asar or eid ki namazon mein un suraton ka parhna bhi makrouh hy. Jin mein sajda e tilawat hy…

 …Makrouhaat E Tehreemi…

Namaz mein ye harkaat makrouh e tehreemi hein jin sy ijtanaab azzhad zarori hy…

● Namaz mein abas yani be’faida kapron ya darhi or jisam k sath khailna…

● Sajda mein jatay waqt kapron ka aagay peechay sy samaitna ya outhana agarchaa matti sy bachanay k leay ho…

● Sadal krna yani sir or kandhay per is trah chadarvor romaal dalna k dono kinaray latak’tay rahein. Haan agar kapray ka aik kinara dosray kandhay per daal leya tou ye jaa’iz hy …

● Kankari wagera ko sajda wali jagha sy bila uzar hatana.

● Koi aik aastein aadhi kalai sy ziada ouper charhaaey , ya daman samait kr namaz parhna.

● Paishaab, paa khana ki hajat or pait mein ghalbah reyaah k waqt namaz parhna. Haan agar waqt tang ho tou aisi halat mein namaz parh sakta hy warna nahi…

● Jurra bandhay namaz parhna…

● Namaz mein oungliyaan chat,khana…

● Aik hath ki oungliyaan dosray hath mein dalna jisay Tashbeek kehtay hein. Ye namaz k intazaar mein bhi makrouh e tehreemi hy….

● Namaz mein kulhay ya kamar per hath rakhna. Ye namaz k elawa bhi makrouh hy..

● Munh phair kr idhar oudhar daikhna…

● Aasman ki traf nazar outhana…

● Dono sajdon k darmiyaan ya tash’hud mein kutay ki trah baithna yani guthno ko seenay sy mila kr…

● Dono hathon ko zameen per rakh kr sureen k baithna…

● Mard ka sajda mein kalaiyoun ko bichana…

● Kisi shakhs k munh k samnay namaz parhna…

● Isi trah dosray shakhs ka bhi namazi ki traf munh kr k bithna makrouh hy…

● Chadar wagera is trah lapaitna k hath bahir na hon…

● Aaitjaar yani pagri is trah bandhna k darmiyaan sy sir nanga rahay…

● Kaparay sy munh or naak chupana yani dhata bandh kr namaz parhna…

● Bila zarorat khankaar nikalna…

● Namaz mein apnay aap jamaai laina. Khud aaey tou harj nahi lakin is ko rokna mustahib hy…

● Jaandaar ki tasweeron walay kapron mein namaz parhna…

● Namazi k sir k ouper ya daaein baaein ya samnay tasweeron ka hona… haan jaib ya thailay wagera mein tasweear pari ho tou makrouh nai hoti…

● Rakou o sajoud or qaoma o jalsa mein qayaam na krna…

● Qayaam k elawa or kisi jagha mein Quran parhna ya rakou mein qirat krna…

● Imaam sy pehlay muqtadi ka rakou o sajoud mein jana. Ya is sy irs outhana…

● Dosra kapray hotay hoay bhi sirf pajama ya tehband bandh kr namaz parhna…

● Tanha Imaam ka aik hath ounchay chaboutray per or muqtadiyon ka bila uzar neechay khara hona…

● Imaam ka Kisi aanay walay ki khatir namaz ka lamba krna. Haan agar namaz mein shamoliyat ki neyat sy aik 2 tasbeeh ki miqdaar lamba Keya tou harj nahi..

● Jaldi mein saff k.peechay he Allah O akbar keh kr shamil hona or phir saff mein baad mein shamil hona…

● Ghazab shudah zameen or paraaey khait mein jis mein fasal mojoud ho yaa hal jootay hoay khait mein namaz parhna…

●  Kisi kabar k samnay namaz parhna makrouh e tehreemi hy…

● Kafron k ibadat gaahon mein namaz parhna…

● Ulta kapra pehan kr or kurtay ya achkan wagera k band or botton wagera khulay chor kr namaz parhna bhi makrouh hy.



Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Namaz mae ungleyon par tasbeh ka shumaar karna _____ hy.
a) Makrooh
b) Afzal
c) Sunnat

2. Namaz mae yeh cheezaein paeshani sy poonjhna makrooh hy.
a) Matti
b) Paseena
c) Donon

3. Namaz mae qamar par haath rakhna _____ hy.
a) Makrooh
b) Farz
c) Sunnat

4. Namaz mae kon sa amal makrooh e tehreemi hy?
a) Tashbeek
b) Qabr ky samnae namaz parhna
c) Donon

5. Makrooh e Tehreemi woh harkaat hain jin sy ijtenaab karna _____ hy.
a) Zaroori
b) Ghaer zaroori
c) Nafal

Fill in the blanks /5

1. _____ bandhae namaz parhna jaiz nhe.
2. Namaz mae topee gir jae tau aik bar _____ sy utha kar rakh lena afzal hy.
3. Moonh mae koi aise cheez leye namaz parha jo ______ ho jaiz nhe.
4. Namaz mae billa gharz _____ baithna makrooh hy.
5. _____ aur jalsa aur kiyaam na karna jaiz nhe.

True/False /5

1. Daman ya asteen sy hawa pohanchana jaiz nhe.
2. Khansna, khankharna ya thookna bhi makrooh hy.
3. Bila uzar aik he rakat mae aik he ayat ya surat ko bar bar parhna makrooh hy.
4. Jumma, asar aur eidaein ke namazon mae, imam ko aise surataein jis mae sajda e tilawat moujood ho, parhnae ke ijazat hy.
5. Tashud mae kuttae ke tarhan baithna jaiz nhe.

Short Answer Questions /15

1. Makroohat e namaz sy kya murad hy?
2. Makroohat e namaz ke kitne iksaam hain?
3. Koi sy do makroohat e tanzeemi btaein.
4. Koi sy do makroohat e tehreemi btaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 Answer Sheet

MCQ’s

1. (a)
2. (c)
3. (a)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Joorha
2. Amal e Qaleel
3. Mana’ey Qirat
4. Char zanoo(chokri)
5. Rakooh o Sajood

True/False

1. ✔
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Woh amoor jin sy namaz fassid tau nhe hote albata makrouh ho jate hy.

2. Is ke 2 iqsaam hain:
Tanzeehi aur Tehreemi

3. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

4. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *