Step 2 : Zaat per Kaam (Sawal 1 to 7)

                    “~* Workers *~”
                           2nd Step 
                  “*Zaat Par Kaam*”

Is step mein aap k zaat par kaam ke revision karaai jaey ge…
Jis k leay different topics par discuss kea jaey ga or os hawalay sy khud par working ke jaey ge…
Ta k hamaray apnay andar jab as a worker zaat par kaam kar k different points ke samajh ho ge tou he ham kisi sath attach banday ko Allah ke aashnaai ke raah dikhaein gy ya osay mayousi sy nikal k os ka yaqeen baidar kar sakein gy ya phir os k sath baaton baaton mein os k andar ke khaamiyaan note kar k oun par osay guide kar k nikalnay ke raah dikha sakein gy…
Is tara sy ye 2nd Step aap k zaat par kaam k hawaly sy aik tara ke revision bhe kahi jaey ge

Spirit Of Work Salaamat


“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 1…

Aap ke nazar mein moomin mein ke sifaat….???
Any 5…

Jawaab :

1. Momin man’nay wala, har tara sy ALLAH ke raza k
Samnay sarr e tasleem khamm karnay wala hota hy.

2. Momin har tara k halaat mei, batil k hilaaaf, jaan ke bazi laga kr,
Haq par kharra rehnay wala hota hy.

3. Momin ka dil mom hota hy, osk dil mei Allah ka ihsas e ashnai or Quwat e Emani hoti hy jo osko apni zindgi Allah or
Piaray Aaqa S.A.WW K ihkaam k tabay karnay ke power deti hy.

4. Momin na-darr or be-khof hota hy.

5. Momin dunia ko qaid khana or yahan zindgi k har lamha ko apnay leay azmaish/test samjh kar guzaarta hy.

Spirit Of Work Salaamat.

“Special Note 4 trainer”

Emaan lana or baat hy
Or
Moomin ban’na or baat
Emaan k leay emaan mufasil mujamil or kalma Aban sy parrhan or dil ay iqraar karna hota hy…
Jab k
Momim…. emaan laanay k baad ehkamaat e Elaahiya or Sunnat E Rasool S.A.WW par amal karnay sy bana jata hy.
Emaan laya jata hy
Or
Momin bana jata hy jis mein kafi barra ehaata hota hu siffat ka…
Ab yahan har aik andar k hisaab sy siffat batein gy na tou…
Is tara aap oun ke islaah bhe kar saktay k agar koa area in ke nazar sy oujhal hy tou aap wo bataein…


Sawaal 2…

Aap ke nazar mein …
Allah ke qurbat ke *ibtada* kia hy or *intaha* kia hy??
In short batana hy…

Spirit Of Work Salaamat.

Jawaab :

Allah ke qurbat ke *ibtada*
Apni Zaat par kaam or har lamha apna tazkia e nafs ke koshish kartay hoay, Allah k ihsas e ashnai paa k OS k rastay par aagay barhna hy,
iske ihteha,
*Tasleem o Raza* hy.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 3…

Asay boaht chotay chotay 10 points bhijoun ge jin mein sy har aik k aap ny 2 aisay nuqsan bataanay hein, jo Allah ke qurbat ke raah mein aagay jaanay k leay nusandeh hon.

1. Qasdan, sehwan, jhooti ya sachi *qasam* khana…

2. Hansi mazaaq mein ya ihtiyaatan jhoot bolna…

3. Kisi sy keya ahid-o-paimaan poorw na karna ya waaday ke khilaaf warzi karna…

4. Kisi bhe insan ya cheez par laanat karna…

5. Kisi k takleef dainay par os k leay bad-dua karna…

6. Kisi k khilaaf pukhta ya waazeh saboot k bina, yaqeen or wasooq k sath osay kaafir, mushrik ya munaafiq honay ka ilzaam lagana…

7. Gunaah mein mubtala karnay wali, haraam cheezon ko daikhna or apnay aazaa ko os jaanib raaghib karna…

8. Kisi bhe barray ya chotay k leay zabaan k nistar chalana…

9. Peeth peechay kisi ka zikar aisay karna k agar wo sounay tou bura lagay…

10. Faraaiz ke adaaigi yani farz namaz or daily Tilaawatay Quran ke pabandi na karna…

Spirit Of Work Salaamat.

Jawaab :

1. Qasdan, sehwan, jhooti ya sach Qasam khana…
Reply.

1. Ye pasandeeda amal ni hy, or Allah k kisi bhe napasandeeda amal ko ikhtiar karna ,
Allah ke qurbat mei janay k leay nuqsaan deh hota hy.

2. Jhooti Qasamen kha kar apna kisi moamlay mei apna yakeen dilanay sy, dill mei sachi baat kehnay ka hosla honay ke bajaye isi tareeqay sy apna yakeen bananey ke tarf rujhaan ho jata hy, or youn insaan isi daldal mei phansta jata hy or Allah sy door ho jata hy

3. Qasamen khanay sy dil mei emaan ke quwat kam ho jati hy, kion is tara sy qasmen kha kar apna bachao kisi moamlay mei kar lainay sy, Allah par yakeen or tawakul nahi rehta, k WO khud bachaye ga. Yeh yakeen ke kami qurbat k rastay mei rukawat hoti hy.

2. Hansi mazaaq mein ya ihtiyaatan jhoot bolna…

1. Hansi mazaak mei jhoot bol kar, nafs ke taskeen kartay hein
Or is jhoot sy boht se bouraion ka janam hota hy, jaisay mubalgha aarai, namood o numaish, zaat or ana ka izhaar, etc etc or ye sabb Allah sy doori ka sabab hein.

2. Jhoot gunaah e kabeera hy, or ham jhoot bol kar Allah k hukam ke nafarmani kartay hein, or jhoot bol ALLAH k hukam par, apnay kisi mufaad ko tarjeeh detay hein ,
Ye Allah ke qurbat mei rukawat hy.

3. Jhoot hamaray dil par ghaflat ka parrda girra deta hy,
jo Allah ke ashnai k safar mei aagay barhney mei rukawat ban jata hy..

3. Kisi sy keya ahid-o-paimaan poorw na karna ya waaday ke khilaaf warzi karna…

1. Kisi sy keye gaye ehad ke hilaaf warzi, Allah k kisi banday ke dil azaari ya kis nuqsan ka sabab ho sakti hy, or ye amal Allah ko pasand nai. Is leay ye Allah ke qurbat k rastay mei nuqsan deh hy.

2. Allah ny ehad ko poora karnay ka hukam diya hy, or kisi bhe hukam ko poora kar k ham Allah ke janib jatay hein, hukam ke hilaf warzi hamein, qurbat mei agay ke bajaye , peechay ley jati hy.

3. Wada hilaafi, Allah k bandon k sath moamlaat mei bigaar paida krti hy, jab k Allah ke qurbat k rastay par aagay janay k leay ham ny Allah k bandon k sath moamlat ko Allah k leay behtareen nibhana hota hy, aisa na krna Allah ke qurbat ke rah par nuqsan deh hota hy.

4. Kisi bhe insan ya cheez par laanat karna…

1. Ye aik ghair ikhlaqi fail hey jo kisi bhe tara pasandeeda nahi hy, ghair ikhlaqi fail Allah ke narazgi ka sabab hota hy.

2. Kisi par lanat karna osko haqeer ya kamm tarr samjhnay ke waja sy bhe hota hy, Allah k bandon ko haqeer samjhna , Allah ke nazar mei pasandeeda nahi hy is leay ye qurbat k rastay par nuqsan deh hy

3. Laanat, shetan per hoti hy,
Kisi banday ya cheez par lanat karna,
kisi tara bhe theek nai,
Piaray Aaqa S.A.WW ko bhe ye pasand nai.
Is leay lanat karna Allah k rastay par niqsan deh hy

Point 5. Kisi k takleef dainay par os k leay bad-dua karna…

1. Kisi k takleef denay k jawab mei, bad dua kr k ham darr guzar or moafi ka moaqa kho detay hein jab dar guzar ya moafi Allah ke tarf step agay barhaney mei madad gaar hoti hein.

2. Aisa kar k ham dil ke wussat barhaney ka moaqa zaya kr detay hein, jab k Allah k rastay k safar mei dil ke tangi nuqsan ka sabab hoti hy.

3. Os waqt ham os takleef k dard ko sabar sy bardashat nai kartay. Jab k, kisi bhe takleef , azmaish mei sabar kana Allah ko pasand hy. Is ke bajaye
Allah ka napasandeeda amal kartay hein yani ba dua dey kar, Allah ke rah par aagay barhnay ka moaqa zaya krtay hein, jo qurbat ke raah par nuqsan deh hota hy.

Point 6. Kisi k khilaaf pukhta ya waazeh saboot k bina, yaqeen or wasooq k sath osay kaafir, mushrik ya munaafiq honay ka ilzaam lagana…
Reply.

1. Kisi bhe tasdeeq k bina ilzaam lagana darust amal nahi, kion k hamein , kisi k dil ke andar ke halat ko, osk eman , aqeeday ko nahi jaan saktay is leay bina tasdeeq kisi par bhe aisa ilzam lagana hamaray ,Allah k safar k leay nuqsan deh hota hy.

2. Kisi wazeh saboot ke bajaye sirf apni khatmi raye or wasooq k bina par ilzaam lagana dar asal Allah k is pehloo k baray mei diye hoay hukam ko ignore karna hota hy or ye safar mei nuqsan deh hota hy.

3. Saboot k bina ilzaam lagatay kartay hoay ham kisi par nazar rakhtay hoay, osk baray mei bad gumani ka shikaar ho rahay hotay hein, dil gandda ho raha hota hy. ye dono cheezen Allah k rastay mei agay janay mei rukawat dalti hein .

Point 7. Gunaah mein mubtala karnay wali, haraam cheezon ko daikhna or apnay aazaa ko os jaanib raaghib karna…

1. Aisa katay hoay, Allah k Sami honay k , khud ko Oske nazar mei honay ka ihsas kho jata hy,
or is ihsas ka kho jana Oske sifat par yakeen mei kami hy, jo k Allah k rastay par nuqsan deh hota hy.

2. Aisa karna sirff nafs ke taskeen karna hy, jab k Allah ke rah ka musafir nafs ke ghulmaai nahi krta hy, nafs ke ghulaam , aagay barhney kei rukawat dalti hy.

3. Aisa karna, Allah ke janib sy bataye gaye halal or haram k farq ko mita ker, OSKE hadood sy tajawuz karna or shetan ke pairvi karna hota hy, or Allah ke hadood ko tor k shetan ke pairvi, Allah sy doori ka sabab hoti hy.

Point 8. Kisi bhe barray ya chotay k leay zabaan k nistar chalana…

1. Aisa karna kisi ke dil azaari ke waja banta hy, or Allah k bandon sy piar karna, Allah ke raah par aagay ley jata hy. ounke dil azaari is rastay par nuqsan deh hoti hy.

2. Aisa karna takabur ke alaamat bhe hy, kion aisay kartay hoay, apni zaat ke taskeen kar rahay hotay hein, doosray ko neecha dikha rahay hotay hein jab takabur sirf Allah k leay hy. Iska hamaray andar anay, Allah k rastay par agay barhney sy rokta hy.

3. Allah ny hamein zaban de or osk istamal ka ikhtiar bhe, lekin os ikhtiar ko apni marzi sy nai karna hota, balkay Allah ke rah k musafir . Apni marzian nai kartay wo tou har shay par ihtiar ko Allah ke marzti k tabay reh k kartay hein. Is leay zaban ka apni marzi sy istamal karna is rastay par nuqsan deta hy.

Point 9. Peeth peechay kisi ka zikar aisay karna k agar wo sounay tou bura lagay…
Reply.

1. Aisa karna haram hy.
Or kisi haram amal ka karna, hamaray leay Allah ke raza ka sabab nai hota isi leay ye Allah ke rah mei agay barhney sy rokta hy.

2. Iska maqsad kisi os shakhs ko nuqsan pohanchana , oske tehqeer karna, osko pareshan kar k, sirf nafs ke waqti taskeen hasil karna hota hy.
Ye sabhi kuch Allah ko na pasand hy. Or Osk rastay par aagay ke bajaye peechay ley jata hy yani nuqsan deta hy

3. Os waqt Allah ke *Sami* ke sift ka ihsas kho jata hy or ham is yakeen ko kho kar, Allah sy door ho jatay hein. Or ALLAH sy ye doori , safar k leay nuqsaan deh hoti hy.

Point 10. Faraaiz ke adaaigi yani farz namaz or daily Tilaawatay Quran ke pabandi na karna…

1. Faraiz ke adagi mazboot buniayad ka kaam karti hy, agar buniyad mazboot nahi hoge, tou imarat k down honay ka khatra hota hy.
Allah ke raah k musafir k leay, is buniad ka mazboot na hona , nusaan ka sabab hota hy.

2. Faraiz mei kotahi, Allah k hukam sy rooh gardani hy, or rooh gardani kar k ham, Apnay Allah, ke raza panay ka aik moaqa zaya kar detay hein. Jab k Allah ke rah par janay wala har lamha Oske raza ko dhoondhtay hein Or youn aisa moqa zaya karna is rah par nuqsan deh hota hy.

3. Faraiz ke adaigi,
Power ka source hota hy. Hamaray dil mei eman ke quwat ko barhaney ka source hoti hy jo hamein Allah ke
Rah par aagay ley jata hy,
Is leay ye source sy power na laina,
Quwat e emani ke kami , is safar mei nuqsan deh hoti hy.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 4…
*Taqwa*

Point 1
Taqwa ko apnay alfaaz mein waazeh karein… yani taqwa ke tareef bataaein??

Point 2
Taqwa ke raah ikhtiyar karnay walay ko kia kaha jata hy??

Point 3
Muttaqe ya parhaizgar logon k baray mein Quran pak ke koe aayat ya hadees mubarika jis ny aap k dil par apna gehra asar chorra ho??

Point 4
Kisi bhe khaas hasti ka koe aisa waaqiya jis ko aap hamaysha apnay best level k leay saamnay rakhtay hon??

Point 5
Quran pak, Surat Al baqra, Aayat 2 sy 4 tak mein Muttaqe ke 5 nishaniyaan biyaan farmaai gae hein…
Aap oun 5 ko is aayat mein sy point out kar k oun mein sy har aik par alag alag aik do fiqron k comments dain.

“Yehi Wo Kitaab e Haq Hy K Is Mein Shak Waali Koe Baat Hy He Nahi.Ye In Muttaqion Ke Rehnuma Hy Jo Ghaib Par Eemaan Rakhtay Hein, Namaaz Ko Qaaim Rakhtay Hein Or Jo Kuch Ham Ny in K Naseeb Mein Keya Hy Is Mein Sy Kharch Kartay hein.Or Wo Is Par Eemaan Rakhtay Hein Jo Aey Rasool-e-Bar Haq!! Aap Ke Jaanib Outara Geya Hy Or Jo Aap S.A.WW Sy Pehlay Outara Geya Or Inhein Aakhrat Par Yaqeen Hy”

Spirit Of Work Salaamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Taqwa ko apnay alfaaz mein waazeh karein… yani taqwa ke tareef bataaein??

Rep.
Taqwa ka matlab parhaiz gaari hy,
Yani aisay ihsas, soch or amal sy khud ko bachaney ya parhaiz karnay ke koshish karna, jo Allah k han na pasandeeda hein.
Allah or Piaray AAQA S.A.WW k ihkaam k munafi hein.

Point 2 :
Taqwa ke raah ikhtiyar kwrnay walay ko kia kaha jata hy??
Rep.

Taqwa ke raah ikhtiar karnay walay ko, Moutaqi ya parhhaiz gaar kehtay hein.

Point 3 :
Muttaqe ya parhaizgar logon k baray mein Quran pak ke koe aayat ya hadees mubarika jis ny aap k dil par apna gehra asar chorra ho??

REP.
Aik hadees mei aata hy k,
Piaray Aaqa S.A.WW ny apnay “Dil” ke janib ishara kartay hoay farmaya,
K
“Taqwa yahan hy”
Is hadees ko parh k andar ihsas paida hoa,
K hamaray dil mei agar Allah ka ihsas or khof hoga tou he ham aisay ihsasaat or kaamon sy khud ko roknay ke koshish karen gay jo k Allah or Piaray Aaqa S.A.WW ko pasand nahi hein. Or yehi taqwa hy jis ka markaz dil hy.
is hadees sy mere andar apnay dil ko bachaney, iske halat set rakhanay , Allah k ihsas mei reh kar aisay kamon sy bachnay ke talab barhi jo Allah or Piaray AAQA S.A.WW ko pasand nahi hein.

Point 4 :
Kisi bhe khaas hasti ka koe aisa waaqiya jis ko aap hamaysha apnay beat level k leay saamnay rakhtay hon??
….
Msg 4 trainer
Yahan sab aoan aona koe na koe waaqiya bataein gy…
Par aap ny khaas kgiyal ye rakhna hy k…
Waaqiya aisa ho jis mein os hasti ka taqwa yani prhaizgari zaahir ho rahe ho…
Kisi bhe khaas aik point par…
Jab taqwa kia hy ke samajh ho ge or mutaqe ka pata ho ga tou tab he waaqiya samajh sakein gy k sahi hy ya nai…
Warna silsilay mein kisi or achay worker sy mashwara bhe ly saktay hein checking k waqt…

Point 5 :
Quran pak, Surat Al baqra, Aayat 2 sy 4 tak mein Muttaqe ke 5 nishaniyaan biyaan farmaai gae hein.
Aap oun 5 ko is aayat mein sy point out kar k oun mein sy har aik par alag alag aik do fiqron k comments dain.
“Yehi Wo Kitaab e Haq Hy K Is Mein Shak Waali Koe Baat Hy He Nahi.Ye In Muttaqion Ke Rehnuma Hy Jo Ghaib Par Eemaan Rakhtay Hein, Namaaz Ko Qaaim Rakhtay Hein Or Jo Kuch Ham Ny in K Naseeb Mein Keya Hy Is Mein Sy Kharch Kartay hein.Or Wo Is Par Eemaan Rakhtay Hein Jo Aey Rasool-e-Bar Haq!! Aap Ke Jaanib Outara Geya Hy Or Jo Aap S.A.WW Sy Pehlay Outara Geya Or Inhein Aakhrat Par Yaqeen Hy”
REPLY….

Is ayat mei ,
Muttaqi ke ye 5 nishaniyan biyan hoi hein.

1.Jo Ghaib Par Eemaan Rakhtay Hein.
Yani Mutaqe ghaib par eman rakhnay wala hota hy, jis ka hona Allah ke janib sy or jis ka ilm sirf Allah ko hy.

2.Namaaz Ko Qaaim Rakhtay Hein.
Yani,
Muttaqe Allah k hukam k moutabiq namaz ko qaim rakhnay wala hota hy.

3.Jo Kuch Ham Ny in K Naseeb Mein Keya Hy Is Mein Sy Kharch Kartay hein.
Yani jo maal ounko Allah ny ata keya os mei sy zakaat or sadqa kheraat detay hein.

4.Wo Is Par Eemaan Rakhtay Hein Jo Aey Rasool-e-Bar Haq!! Aap Ke Jaanib Outara Geya Hy Or Jo Aap S.A.WW Sy Pehlay Outara Geya.
Yani Muttaqe,
Piaray AAQA S.A.WW par outri hoi kitab Quran e Paak par or
AAP S.A.WW sy pehlay jin Nabio par jo asmani kitaben or saheefay outray oun par yakeen rakhtay hein.

5.Inhein Aakhrat Par Yaqeen Hy”
Yani Muttaqi ka
akhrat k din yani yom e jaza par emaan hota hy.

Spirit of Work Salaamat.


“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 5…
*Bad-Ikhlaaqi*

Point 1 :
Ikhlaaq k baray mein Quraani aayaat, Hadees mubarika ya buzurgon k aqwaal… jinhon ny aap k dil par gehra asar chorra ho??
Any 3…

Point 2 :
Aap kin aadaat ke bina par kisi ko Bad-Ikhlaaq samajhtay hein???
Any 10…

Point 3 :
Piaray Aaqa S.A.WW, Sahaba karaam r.a.a, Buzurgon ya kisi ka bhe koe aisa waaqiya share karein, jis mein kisi ke jaanib sy bad-ikhlaaqi k baawajud khush-ikhlaaqi sy paish aana, aap ko best level k leay kaam aata ho??

Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :

Ikhlaaq k baray mein Quraani aayaat, Hadees mubarika ya buzurgon k aqwaal… jinhon ny aap k dil par gehra asar chorra ho??
Any 3…

Ikhlaaq ka baray mei ,
In ahadees ny mere dil par asar chora.

1. Momin apnay achay ikhlaaq ke waja sy roza rakhnay walay or raat bhar ibadat karnay walay k darja ko hasil kr laita hy.
(Abu Daud)

2.” Qiyamat k din momin k
meezan e amal mei sabb sy ziada wazni or bhaari cheez jo rakhi jaye ge wo os k achay ikhlaaq hon gay.”
(Tirmizi)

3.Tum mei sy sabb sy achay log wo hein jin k ikhlaaq achay hein.”

In sab ahadees sy mere dil mei Ikhlaaq ke ehmiyat wazeh hoi, or mere andar ikhlaaq ko behtareen karnay ka jazba barha. Kion k achay ikhlaq Allah or Piaray AAQA S.A.WW k han pasandeeda hein , or is mei he hamari dunia o akhrat ke falah or isi mei Allah or
Piaray Aaqa S.A.WW ke raza hy.
Spirit or Work Salaamat.

Point 2 :

Aap kin aadaat ke bina par kisi ko Bad-Ikhlaaq samajhtay hein???
Any 10…
1.Fuhash go hona
2.Gussay par control na hona
3.Nigah mei haya na hona
4.Mehfil k adaab na nibhana
5.Bad lehaaz or be adab hona
6.Moamlaat nibhaney mei wussat e qalb na hona,
7. Apni raye, apni marzi, apni zaat ko he tarjeeh dena, dooray ko ye haq na dena
8. Kisi ke aib poshi na krn sakna
9. Dunyawi status ko izat k mayar bana kar ameer ghareeb mei farq rawa rakhna
10. Logon k sath bartao kartay hoay Piar, muhabat ka rawaiya na rakh sakna, kisi bhe tara ke ziadati ka moamla karna.

Spirit or Work Salaamat.

Point 3

Piaray Aaqa S.A.WW, Sahaba karaam r.a.a, Buzurgon ya kisi ka bhe koe aisa waaqiya share karein, jis mein kisi ke jaanib sy bad-ikhlaaqi k baawajud khush-ikhlaaqi sy paish aana, aap ko best level k leay kaam aata ho??
….
Is ka jawab har aik apnay hisaab sy dy ga
Par check kartay khiyal rahay k waaqiya nein khush ikhlaaqi sy paish aana waazeh ho….
Jazba-e-Kaam Salamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 6…
*Gouftagoo*
Gouftagoo hamare shkhsiyat ke aainadar hoti hy or is mein zaban ahim kirdar adda karti hy.

Zaban Allah ke kaaregari k ajaaibaat mein sy aik hy.zaahir mein gosht ka aik toukrra hy par is k ehmiyat itni ziada hy k is k bary mein Piaray Aaqa S.A.WW ny bhe farmaya k,
Eemaan ke sehat or darustagi ka inhasaar dil par hy or dil ke darustagi ka madaar zaban par hy or zaban k sharr or aafat sy bachna zaroriyaatay deen mein sy hy”

Point 1 :
Ham 4 different qisam ke gouftagoo kartay hein, aap oun charon ko point out kar k bataaein..??

Point 2 :
Kaisa andaaz e gouftagoo aap ko pasand aata hy??

Point 3 :
Zaban par control k leay aap ny kia tips use keay hein??
Any 3…

Point 4 :
Wo log jin ka andaz e gouftagoo aap ko hamysha pasand aatta hy??
Any 3…
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 : 
Ham 4 different qisam ke gouftagoo kartay hein, aap oun charon ko point out kar k bataaein..??
Reply
Guftagu ke 4 iqsaam ye hein…
1. Faaidamand…
2. Nuqsandeh…
3. Faida or nuqsan dono hon…
4. Na faida ho na nuqsaan ho.

Point 2 :

Kaisa andaaz e gouftagoo aap ko pasand aata hy??
Repky

*Shaista, muhazab, or narm
andaaz e gufatagoo jis mei kisi qism ke banawat na ho or na he munafqat or na kisi qism ke zaati aghraaz hon.

*Aisa andaaz e gutagoo jis mei piar bhe ho or adab bhe, jis mei kisi ke dil aazaari ya tehqeer ka pehloo na nikalta ho.

* Ba-maani andaaz e guftagoo, jis mei islaah or ihsas ka pehloo shamil ho.

*Aisa andaaz e guftagoo jis mei kisi ko nuqsaan pohanchaney ke niyat na shamil ho, balkay kisi na kisi tara faida ho doosray ka.

Point 3 :
Zaban par control k leay aap ny kia tips use keay hein??
Reply
Tips…

1. Allah ke *Sami* Honay ka ihsas hamysha sath rakhna

2. Zaban ka be-ja istamal ,
Allah ke pasand k hilaaf honay ka ihsas hona, k aisa karna OSKO acha nai lagg raha hoga.

3. Zaban par control rakhna he, mere ikhlaaq ko sanwaray ga, ye ihsas bhe madad krta hy

4. Zaban par control he mere Allah k bandon k sath moamlaat ko behtareen rakhnay mei madad dey ga, jo k Allah ko pasand hy

5. Zaban par contol he , mera personality impression aisa create karay ga, k koi meri bat sounay or mei os tak Allah ka paighaam paohancha sakon, ye ihsas bhe zaban ka istamal ihtiat sy karnay mei help krta hy

6. Hamysha ,ba maani baat kehnay ke koshish bhe zaban par control deti hy

7. Doosray ka lehaz or adab, baat kartay hoay zaban pr control deta hy.

Point 4
Wo log jin ka andaz e gouftagoo aap ko hamysha pasand aatta hy??
Any 3…
1.
2.
3.
(Ye sab apne marzi ka bataein gy)
Jazba-e-Kaam Salamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 7…
*Gheebat*

Point 1 :
Gheebat or Buhtan ka alag alag sy farq waazeh karein??

Point 2 :
Gheebat ka kuffara kia hy??

Point 3 :
Zaat par kaam kartay hoay aap ny gheebat sy rouk janay k leay kia ihsas, soch ya amal apnaya… or os ka ab tak ka result kitnay % mila??
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Gheebat or Buhtan ka alag alag sy farq waazeh karein??

Reply
Gheebat… Kisi k peeth peechay os ke bourai aisay karna jo agar osk samnay karen tou osko boura lagay, ye gheebat kehlata hy. Chahey k wo bouraian os mei moujood hon.

Buhtaan… 

kisi k wo aib or gunah os k peeth peechy biyan krna jo us men moujood na hon, butan kehlaata hy.

Point 2 :
Gheebat ka kuffara kia hy??
Reply
Apnay teh e dil sy Allah k hazoor bhe nadamat sy paish hon. Or
jis kisi zinda shakhs ke gheebat ke ho tou osi k pass ja kar moafi mangein os sy.
Or agar kisi faot hoay banday ke gheebat ke ho tou,
Dil sy nadamat mehsoos kartay hoay,
Is k leay maghfirat ke dua karen.

Point 3 :
Zaat par kaam kartay hoay aap ny gheebat sy rouk janay k leay kia ihsas, soch ya amal apnaya… or os ka ab tak ka result kitnay % mila??
….
Sab apnay hisaab sy jawab dain gy na
Jazba-e-Kaam Salamat.

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *