Step 3 : (Sawal 11 to 15)

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 11 :

Surat Rehman sountay hoay or dua k daoraan aankhein band rakhnay ka kion kaha jata hy?

Answer :

Agar dekha jaye tou ham ziada tarr har aik sy is mushkil ka tazkira kartay hein k namaz or ibadaat mei tawajou
qaim nahi rehti, aisay he agar ham dua k daoraan or Surat ankhein khol kar sounien gay tou hamein apni andar ke
soch k sath bahir ke cheezein bhe matwajou karein ge, jab ankhein band kar k dua ke jati hy ya Surat souni jati
hy tou ham mukamal taor par apnay tamam ihsasaat ko aik he tarf laganay ke koshish kartay hein ta k dua mei
ham Allah sy jo baat keh rahay hein wo mukamal toar par Allah ke tarf matwajou reh kar karein ya Surat sountay
hoay Allah k kalam ko poori tawajou or piar k mukamal ihsas sy soun sakein k ham ALLAH k samnay paish hein or
ALLAH hamein dekh raha hy or ham Allah ka kalaam soun rahay hein. Apko tajarba hoga k ankhein band kar k bhe
hamari andar ke sochein or kheyalaat idhar oudhar bhatak jatay hein or kuch din ke baar baar practise sy he
ham apni tawajou sirf aik jaga markooz rakh saktay hein. Or isay aisay samjhein k is tara sy dua mei ya 20
minute ke Surat sountay hoay jab ham ankhein band kar k or har taraf sy tawajou hatta k aisa mehsoos kartay
hein k ALLAH k samnay hein or ALLAH hamein dekh or soun raha hy tou ahista ahista hamari namaz or baqi
ibadaat ke adaigi mei bhe yak sooi or behtari honay lagti hy.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 12 :

Ham kisi k sath dua kion kaaraien? kia ALLAH hamari nahi sounay ga? Jab kam Allah ny karna hy
tou AP k sath dua kion karaein? Hamaray or ALLAH K darmian koi teesra ya ghair kion aye?

Answer :

Ham bandon ko ALLAH ny apni pehchan karanay or hidayat ke raah dikhanay k leay hamesha kisi na kisi banday
ko he zarriye banaya. Is leay kisi aisay banday ko jo ALLAH k samnay paish honay ka saleeqa sikha raha hy
or dillon mei Allah ka yakeen pukhta kar raha hy osay apnay or ALLAH k darmian teesra kion samjha jaye.
Dunia k hawalay sy agar koi hamari madad karay ya hamaray maseil k hall k leay hamein koi asaan rasta dikha
kar hamaray leay sakoon ka bais banay tou ham ossay apna mohsin samjhtay hein tou agar aisay he koi hamein
apnay masaeil k hall k leay ALLAH k samnay jhukna sikha raha hy tou ossay apnay or ALLAH K darmian ghair
nahi samjhna chahiye.
Allah par yakeen he is zindgi hamaray leay sakoon ka bais hota hy, agar ham apni zindgi ke azmaishon par
be-sakooni ka shikaar hein tou is ka matlab hy k ham Allah par wesa yakeen or emaan nahi rakhtay jo hamaray
itmenaan ka bais hy. Dil ko aisay yakeen or emaan ke halat mei ALLAH ke madad sy sirf wohi shkahs laa sakta hy
jo khud bohat pukhta yakeen wala or dil mei emaan ke daolat rakhnay wala hoga , isi leay kisi yakeen walay sy
rabta rakha jata hy or dua karai jati hy taa k ahista ahista doosray ka dil bhe ALLAH par emaan sy munnawar
hota jaye. Jis sy dua k leay raabta karaya jata hy oske apni zindgi mei bhe aisay he kisi yakeen walay k sath
rabta rakh k dua karwanay ke waja sy sakoon o thehraao or Allah par yakeen mei behtari aa chuki hy.
Isi leay dua karanay wala , dua k waqt yakeen dilata hy k ALLAH tumhein dekh raha hy or soun raha hy, ALLAH ko
pukaar k yakeen k sath apna masla khud paish karo Insha Allah bohat asani ho jaye ge. Sath mil kar dua karanay
ko is leay bhe kaha jata hy k ALLAH ko apnay bandon ka apas mei rabta rakh k dard bantna or piar muhabat ka
ihsas rakhna bohat pasand hy, jesa k zakaat dena or hajj k tamam arkaan mei ya ba-jamaat namaz mei ya
beemar-purrsi or sadqaat o kheraat , sabb inhi points ko wazeh kartay hein k aik doosray ka kheyal rakhna or
dard ka ihsas kartay hoay aik doosray ka dard bantna ALLAH ko pasand hy.
Allah ny Hazrat Mousa sy farmaya:-
“Ay Moosa! MUJ sy dua os zaban sy maang jis sy tu ny gunah na keya ho. Hazrat Moosa ny arz keya , Ya ALLAH!,
mei wo zaban kahan sy laaoun? ALLAH ny farmaya k , Moosa apnay leay doosron sy dua karao, kion k tum nay
unke zaban sy gunah nahi keya.””
Is leay agar kisi mushkil k waqt koi hamaray leay hamaray sath mil kar hamari os mushkil ke asani k leay
dua kar raha hota hy tou hamari azmaish ALLAH k karam sy jaldi asan ho jati hy.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*
Question 13 :

Kisi k sath dua karna ya karaana bidd’at tou nahi?

Answer :

Jee nahi, kion k 2 ya 2 sy ziada bandon ka mil k aik doosray k leay dua karna tou Allah ka pasandeeda hy.
Agar dekha jaye tou islam mei kai jaga mil kar dua ke jati hy, jesay ba-jamaat namaz k baad imam sahib
dua karaatay hein ya aisay he hajj ya bohat sy or maoqon par koi na koi dua karaatay hein. Wesay bhe ham log
kisi naik shakhs ko, haj ya umrah ke adaigi par janay walay ko ya aitkaaf mei bethnay walay ko bhe dua ka
kehtay hein. Is leay na he dua kisi k sath karna or na karaana bidd’at hy.

Spirit of Work Salamat.


“~*Workers*~”

“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 14 :

Surat Rehman tape recorder mei soun’na gunah hy?

Answer :

Jee nahi, kion k wo kaam gunah hota hy jis k karnay sy Allah ny mana keya ho or Quran ko soun’nay k baray mei
Quran e Pak mei bhe bataya geya hy or Hazoor S.A.WW khud bhe Sahaba Karam sy Quran Pak souna kartay thay.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 15 :

Agar kisi or peer sahib k bait-shuda log Surat Rehman ka course or dua karna chahein tou iske ijazat
hy? Or agar wo apnay peer sahib k bataye hoay wazaif k sath Surat Rehman ka course karna chahein tou unhein
koi mushkil ya takleef tou nahi hogi?

Answer :

Koi bhe chahey kisi bhe maslak ya firqay sy talouq rakhta ho ossay Surat Rehman ka course or dua karnay ke
ijazat hy, kion k ALLLAH sab ka aik he hy or ye ALLAH ka kalam he soun’na hy. IS k ilawa dua mei bhe aisi koi
qabil e aitraaz baat nahi hy, jo kisi bhe firqay ya maslak k leay qabil e qabool na ho.
Is course or dua k daoraan hamari tarf sy koi pabandi nahi hy. Jis ko bhe apnay peer sahib ke taraf sy jin
wazaaif ke ijazat hy wo beshakk jari rakhein. Hamara tou yehi kheyal hy k ALLAH k kalaam soun’na or dua k leay
Allah k samnay paish hona kisi shakhs k leay takleef ka baeis nahi ho sakta, magar phir bhe aisay log jin
k dil mei dar ho wo ihtiatan apnay peer sahib sy ijazat ley kar he course karein.

Spirit of Work Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *