Step 3 : (Sawal 6 to 10 )

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 6 :

Surat Rehman Qari Abdul Basit Abdul Samad ke awaz mei he kion souni jaye, jab k Surat Rehman
ke bohat piari qiraat tou bohat sy qarion ny ke hai ?

Answer :

Beshakk k tamam qiraat karnay walon ny Quran e Pak ke bohat sozz or piar sy qiraat ke hy or har qaari ny
apni apni jaga itni piari qiraat ke hy k rooh jhoom uthti hy. Qari Abdul Basit Abdul Samad ke awaz mei is leay
kaha jata hy k inhon ny Surat Rehman ke ye qiraat khasoosi taor par isi niyyat sy ke k jab bhe koi hajat mand
kisi beemari ya maslay k hall k leay isay sounay ga tou is k dil par jaldi or behtar asar hoga. Insha Allah.
wesay bhe ham jantay hein k aik he gaana ya naat mukhtalif log parhtay hein, in mei sy kisi aik ka gaana ya naat
soun k dil par bohat asar hota hy or os k ilfaaz dil mei outartay hoay apna asar chortay jaa rahay hotay hein.
Aisay he Qari Abdul Basit Abdul Samad ke awaz mei ke gaye qiraat, jo k isi niyyat sy ke gaye hy is k ilfaaz
noor ke lehron ke shakal mei soun’nay walon k dil mei outartay ja rahay hotay hein.
Or kion k bohat arsa,
sy logon k masaeil or beemarion k hawalay sy is k bohat sy achay result samnay aa rahay hein. Isi leay
ham bhe khaas taor par beemarion ya masaeil k leay Qari Abdul Basit ke awaz mei Surat Rehman soun’nay ka
kehtay hein. Agar ham kisi masalay mei ya beemari k ilawa Quran e Pak ke qiraat soun’na chahein tou jis
qari ke qiraat ziada pasand ho, beshakk jis waqt or jab chahein wohi sounein kion k wesay kisi k leay koi
pabandi nahi.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 7 :

Surat Rehman ka 21 din ka course he kion keya jaye kia is ko kisi or tara bhe souna ja sakta hy?

Answer :

Jesay kisi dawai ka asar ham par kuch khaas din ossay kuch khaas tareeqay sy isatamal karnay sy hota hy, isi
tara subh sham 2 waqt Surat Rehman soun’na aik aisa dourania hy k agar ham is daoraan achi tara tawajou sy
soun k dua kar len tou Allah k noor ke taqat sy hamaray jismani roohani or zindgi k baqi masaeil asan honay
lagtay hein kion k is ke waja sy dil ke halat ALLah Ke pasandeeda honay lagti hy or hamara ALLAH par yakeen
barhnay k sath dua’aon mei behtari anay lagti hy jo k hamari taqdeeren badalnay ke waja banti hy.Is k ilawa
Surat Rehman sountay hoay Noor E Mubeen hamaray ird gird ya hamaray ghar mei phelnay lagta hy, wo hamaray
mahol mei maojood sharr par 21 din mei ghalib anay lagta hy chahey wo sharr kisi bhe shakal mei maojood ho,
kion k beshakk Allah k noor ny he ghalib ana hota hy or beshakk “Allah k ahata e qudrat sy kuch bhe bahir nahi.”
wesay apnay masaeil k hissab sy chotay course bhe keye ja saktay hein. Or 21 din sy kam yani 3,5,7 din k course
bhe keye ja saktay hein. Is k ilawa agar koi 21 din ka course kar chuka hy tou rozana aik time bhe Surat Rehman
souni
ja sakti hy. Agar kisi ko achanak koi sakhat pareshani ho tou aik din mei 3 bar Surat souni ja sakti hy,
agar kabhi kabhi apni routine mei shamil rakhein k Surat Rehman soun kar dua kar le jaye tou bohat acha asar
hota hy, khas taor par tension mei agar Surat Rehman souni jaye tou sakoon milta hy.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 8 :
Surat Rehman he kion soun jaye?

Answer :

Beshakk saray ka sara Quran soun’na hamray leay hidayat or bhalai hy kion k har surat or har ayat apna aik
khaas asar rakhti hy, Surat Rehman ko Quran ke zeenat kaha geya hy, is leay jab issay har tarf sy tawajou hatta
kar sachay dil sy khud ko Allah k samnay paish mehsoos kartay hoay sountay hein tou is Surat ka noor soun’nay
walay k dil ko bhe zeenat bakhshta hy, or kion k is Surat mei khass taor par Allah ny baar baar apni be-shumar
naimaton ka ziker keya hy or ihsas dilaya hy tou jab ham beemari, masaeil ke waja sy mayoosi or pareshani
mei moubtila hotay hein tou is Surat Rehman ko soun’nay ka kehtay hein. Kion k is Surat ka noor e hidayat hamaray
dillon mei outarta hy tou hamaray andar ye ihsas beidaar hota hy k Allah ny tou bina mangay he hamein be-shumar
inamaat or ihsanaat sy nawaz rakha hy. Ye ihsas hamray dil mei Allah k apnay banday sy piar k guman or yakeen
ko mazboot karta hy or yehi Allah k piar or sath ka yakeen hamein mayoosi or pareshani sy nikaal kar hamaray
masaeil k hall honay mei bohat madad deta hy. kion k Nabi Akram S.A.WW ny farmaya k Allah Tala ny farmaaya:-
“MEI apnay banday k gumaan k moutabiq hota hon jo wo MERAY baray mei rakhta hy. Lehaza wo jo chahay MERAY
baray mei guman rakhay.”

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 9 :

Hath outha kar dua kion nahi karaye jati?

Answer :

Dua ka basic tareeqa jo k markaz sy bejha geya hy os mei kahin par na tou hath outhanay ka kaha geya hy, or na
he bina hath outhaye dua karnay ke pabandi lagai gaye hy.Ye zaroor kaha geya hy k har taraf sy tawajou hatta k
sirf Allah ke tarf matwajou reh kr khud ko Allah k samnay paish mehsoos karein. Hamara maqsad hath outhana ya
hath na outhana nahi hy, balkay sirf dil ko os halat mei laana hy k jab ham ALLAH k samnay paish hon tou sachai
k sath sirf Allah ke tarf he matwajou hon.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 10 :

Surat Rehman Qari Abdul Basit ke awaz mei jo kam time yani 9 minute wali hy os ke bajaye 21
minute wali he kion souni jaye?

Answer :

Aap ko pata ho ga k kisi bhe qism ke beemari k leay dawai ke aik makhsoos doze hoti hy, osay agar ham kam
kar lein tou hamein oska result wesa nahi milay ga jis maqsad k leay ham wo istamal kar rahay hein. Aisay he 20
minute ke Surat Rehman hy oska daorania bhe dil par asar karnayk leay behtareen hy or wo qiraat bhe khaas taor
par isi maqsad k leay ke gaye hy k ossay roohani ilaaj k leay isatamal keya ja sakay.

Spirit of Work Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *