Tip # 3 : Aashiq chahay kisi maqaam ya manzil par bhe pahoncha jaey par osay hamysha apnay ishq mein kami he nazar aati hy

“Tip 3”
Aashiq chahay kisi maqaam ya manzil par bhe pahoncha jaey par osay hamysha apnay ishq mein kami he nazar aati hy…

Wo kisi bhe or aashiq ko daikh k rashk karta hy k…Waah kitna behtareen ishq ka jazba hy or jab bhe kisi or aashiq ke baatein parrhta ya sounta hy tou os aashiq k muqaablay mein osay apna ishq or ishq barrhanay k leay ke jaanay wali apne effort os k muqaablay mein bohat kam lagti hy…
Aisay ihsas os aashiq k hotay hein jo apna safar chala raha hota hy…
Par is ke jaga agar ham apnay ishq ko or apne effort ko kafi samajh rahay hein or na he ham kisi sy apnay ihsasaat share kartay hein or na he ounhein or behtreen turn dainay or ziada pure karnay k leay kisi or sy tips laitay hein or na he kisi or aashiq sy power lainay k leay dua karatay hein tou is ka matlab ye hota hy k…
Ham khud ko he barra acha aashiq samajh rahay hein…

Hamein apne soch, khiyalaat or dil ke halat chahy k wo jis tara ke be hy wo kisi sy share kr k osay behtaren turn dainy ke zarorat he mehsos nai ho rahe…
Na he kisi or aashiq pr rashk araha hy k os sy ishq barrhany k ley power lain…
Is sb mein sirf ye na samjha jaey k…
Aisy aashiq sirf mutmain hy tou ghalat hy bulky aisy aashiq… aik aashiq k level sy kisi waqt be aik dam down ho sakty hein Q k ye intahaai khatarnak janib ka ishara hy k…
Hm apny ihsas share nai kar sakty kisi sy…
Hm kisi ke minnatein kr kr k tips ya dua k lea kisi k pechay nai bhag sakty…
Bus theek hy jo chal raha hy sahi chal raha hy…
Hmara *main, anna* mein phansay honay ko zahir krta hy…
Hm apne baat ya ihsas pr kisi k aitaraz bardasht nai kar sakty…
Or aisy he or bohat kuch or jo ishq k leay zaher hota hy
Khud ko check karein or agar ishq barrhna chahtay hein tou khud ko nikalein yahan sy…
Ishq Salamat:-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *