Tip # 4 : Ashiq aur Rishty

“Tip 4”

Ashiq aur Rishty

Jab ham ishq kartay hein tou ham aashiq ban jatay hein or aashiq sirf aashiq hota hy… Wo phir alag sy kuch nai rehta… na koe os ka rishta naata ishq sy alag rehta hy… or na he os k moaamlaat baki logon ya aashiq ban jaany sy pehlay ke tara sy rehtay hein or na he aik aashiq ko wo sab os tara daikhnay chahiyein…
Kion k pehlay wo duniavi rishton or ta’aluqaat mein sirf maan baap, baita baiti, shohar bevi, bahen bhai ya dost…. etc tha…
Par ishq mein aa k aashiq ban jaany k baad ab wo aashiq maan ya aashiq baap, aashiq baita ya aashiq aashiq baiti, aashiq shohar ya aashiq bevi or aashiq bahen ya aashiq bhai ya aashiq dost hy…
Ab ye bhe nahi hy k as a aashiq rishton ke demands poori nai karni… bulky aashiq ny apnay mashooq jo k chahy Allah hy ya Piaray Aaqa S.A.WW ya koe bhe Allah walon mein sy hein… Oun k bataaey tareeqay or Oun ke pasand or
…Oun k meyar k best level pr khud ko hr lamha hr rishtay or moamlay ko Oun ke pairve mein behtaren tara sy na sirf amle tor pr bulky dil k behtren ihsas k sath ada krna hy.
Ishq mein any or aashiq bannay sy pehly sirf rishtay k sath maan baap,baita baiti,bahen bhai ya shohr bevi ya dost…etc thay
Or oun rishton ko sirf one 2 one he ke nazar sy daikhty thy… pr aashiq ban janay k baad agar kabe kisi rishtay ko bhe sirf one 2 one mein daikhein gy tou samjhen k ham khud ko khud he apny ishq sy alag kr rahy hein or khud he apny aashiq honay ko bhol rahay hein.
Ye cheez ishq mein nuqsan deh hoti hy…
Yaad rahay k aashiq kisi lamhay bhe khud ko kisi dosti rishtay ya ta’aluqaat mein apnay ishq sy alag ho k na daikhay.
Is hawalay sy khud ko gehri nazar sy check karein or agar chahein tou share karein k is baat ke kia samajh aei..??
Khiyal rahy isi point k ird gird he dairay mein rahein
Ishq Salamat:-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *