Tip # 5 : Dil Aik ka karna hota hai

“Tip 5”

Dil Aik ka karna hota hai 

Ishq mein jab be koe aashiq ata hy tou osay sb sy pehly yehi samajh aati k…
Yahan sar sy be pehly dil apny he hathon sy osi aik ka kar daina hota hy.
Ab jab k dil ke sari saltanat os aik ke ho gae tou samjho k dil osi aik k zairay asar ageya na…
Is leay ab dil kion k os aik he Mashooq k zaire asar hy tou ab baki dunia k halaat k asraat k sath dil k UP ya DOWN honay ke gunjaaish tou nai rehti na…
Or agar aashiq ka dil bahir k halaat k asraat ly raha hy tou ye bad indecation hy… samjhein aashiq k ishq k lea red light on ho gae k *KHATRAAA*
Is leay ab aashiq khud apny ishq k level ko check kr sakta hy k agar…
Aashiq ka dil osi aik k sath UP ya DOWN chal raha hy tou os ka ishq UP UP ja raha hy:-)
or agar dil os aik k illawa kisi or halaat k zairay asar aa k UP ye DOWN hota hy tou os ka ishq DOWN DOWN ja raha hy;-(
So check karein apny ishq k level or chahein tou share karein:-)

*Special Note*
Ishq k jitnay tips hotay hein ounhein samajhnay ke zaror koshish keya karein… kion k ishq saray ka sara dil par he depend karta hy… or dil k tamaam ihsasaat ko ham ny bohat miner sy zara zara sy ihsasaat k farq k sath alag alag sy samajhna hota hy… ta k in sab par alag alag sy nazar rakh k khud ko check bhe karein or os k angle set kartay jaaein…
Warna agar inhein itni bareeki sy na samjha jaaey tou ishq mein aagay jaana bohat mushkil jo jata hy…
Ishq ko agar idhar sy daikhein tou seedha sa kaam hy bus dil ko bachatay jaaein or agar oudhar sy daikhein tou ye resham ka ouljha hoa gola hy jisay dhaaga toorray bina suljha k lapaitna hy… tou ab khudh sochein k kitni safaai or bareekbeeni sy… is sab par qareeb sy gehri nazar jamaaey apne poori tawaju sirf isi par rakhtay hoay ye kaam karein tou he kuch result niklay ga na…
So be careful…
Ishq Salamat:-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *