Topic 1 : Zaban per control

*Ihsas ke Kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Aisi baat kehnay sy zaban ko rok lo… jis sy na tumara faaida ho or na he soun’nay walay ka faaida ho.
Allah hamein yeh taqat atta karay.
Aameen
Dil sy dua :)
1


 

*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Kia aap ko bhe aisa he lagta hy k…
Ham jab bhe pachtaye…
Bol kar he pachtaye…??
Allah hamein bol kar pachtanay sy bachaye.Aameen
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
“Jo chup raha wo bach geya”
Aap ny bhe yeh feel keya kabhe….??
Lets try it…!
Dil sy dua:)
3


*Ihsas ke subh*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Allah ny zaban ko 32 daanton k pehray mein… moun k andar chupa k rakha hy…
Is leay k intahaai qeemti hy….
Ya
Is leay k intahaai nuqsaandeh hy…??
Share karein…!!
Dil sy dua :)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Log kehtay hein k…
Zaban ko bhe paaltu jaanwar ke tara sedhaa saktay hein…
What do you think about this point…??
Dil sy dua :)
5


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Wo kon sa point hy…
jis ka ihsas dil mein jaagnay par aap zaban control rakhtay hein or khud ko khaamosh rakh saktay hein…??
Dil sy dua :)
6


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Pehlay tolo…
Phir bolo…
Is mohawray par wohi pooray outar saktay hein jo zaban ko control mein rakhna jaantay hon…!!
Kia khiyal hy aap ka…??
Dil sy dua :)
7


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Zaban bazahir chota sa gosht ka tukrra laikin is ke ehmiyat ka andaza is baat sy lagaya ja dakta hy k…
Hazrat Sufiyaan Bin Abdullah r.a riwayat kartay hein k…
Main ny Piaray Aaqa S.A.WW sy arz keya k mere leay sab sy khatarnaak cheez kia hy?
Tou Aap S.A.WW ny farmaya… Zaban
Or jab faidamand cheez ka pocha tou bhe farmaya…
Zaban.
Allah hamein zaban k sahi istamal ka shaoor atta karay.ameen
Dil sy dua :)
8


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Jis ke aadat ho tou…
Kisi sy maazrat nai karni parrti…
Is baat ko samjhein or share karein…??
Dil sy dua:)
9


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Daikhnay mein tou… insaan itnay lambay qad ka maalik…
Kion na aaj ye baat final karein k…
Ham lambay ya hamare zaban… ??
Dil sy dua :)
10


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
Sochiye…!!
Zaban ko hamaray andar sy he kaisay lagaam daal kar rakha geya hy…
Isi sy hamein ache tara andaza ho jaey ga k, zaban ke lagaam hamaray he qabzay mein dy de gae hy.
Yani k ham ny he isay apnay andar k ihsas sy he control karna hy, baahir sy isay control nahi keya ja sakta.
What do u think about this point…?
Dil sy dua :)
11


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Khamoshi aik bara hunar hy.
Hazrat Abu Dardaa r.a farmatay hein k…
Khamoshi ko aisay seekho jaisay tum bolna seekhtay ho…
Dil sy dua :)
12


“Ihsas ke subh”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
Hazrat Uqba Bin Aamir r.a ny Hazoor Nabi Akram S.A.WW sy pocha k,
Nijaat kis mein hy?
Aap S.A.WW ny farmaya,
Apne zaban qabzay mein rakho.
Lets try…!!
Dil sy dua :)
13


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Mola Ali a.a ka farman hy k…
*Khamoshi jannat ke taraf bulaati hy.*
Tou kion na ham baat karnay sy ziada soun’nay ke koshish keya karein…?
Allah hamein is par amal ke taofeeq atta karay.ameen
Dil sy dua :)
14


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
ZABAN OR DIL…
”Danaa admi wo hy, jis ke zaban os k dil k peechay hoti hy…
wo kuch kehna chahata hy tou dil sy rajou karta hy.
Jaahil ka dil os ke zaban ke nok par hota hy… yani dil sy rajou karnay ke naobat he nahi aati”
Hazrat Ali k.w ny farmaya k,
”Admi ke qaabliyat…zaban k nechay posheeda hy”
Dil sy dua :)
15


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Par Control”
Khamoshi….
Bila mushaqat ibadat hy.
Bila zaiwar zeenat hy.
Bila saltanat k haibat hy.
Bila dewaaron k qilaa hy.
Insaan k ayoub ka parda hy.
Is mein karaman kaatbain k leay raahat hy.
Dil sy dua :)
16


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
Khamooshi…
Hazrat Ans r.a sy riwayat hy,
“Hazor Nabi Akram S.A.WW ny farmaya k,
Khamoshi hikmat hy, magar is par amal karny walay kam hein”
Kion na aaj k din koshish karein k,
Ham bhe khamoshi ke aadat apna kar in kam logon mein shaamil ho jaein…:-)
Dil sy dua :)
17


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
Hazrat Abu Saeed Khudri r.a sy riwayat hy,
“Hazor Nabi Akram S.A.WW ny farmaya k,
Jab subh hoti hy tou jisam k sab aa’zaa zaban sy kehtay hein k,
hamaray baray mein zara khuda ka khaof rakhna, agar too seedhe rahay ge tou ham bhe seedhay rahein gy…
Agar too durust nahi rahay ge tou ham bhe bigarr jaein gy”
Allah hamaray tamaam aa’zaa ko apne pasand k amal karnay wala bana dy.ameen
Dil sy dua:)
18


 

“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
Is ka matlab ye nahi k, zarorat k mutabik baat na ke jaey…
Bus zaban par kamazkam itni mazboot girift rakhi jaey k, fazool or bouri baatein ya aisi baatein… Jo kisi ke dil-aazari ka baais hoti hein, ada na ke jaaein.
Try it…!
Dil sy dua :)
19


 

“Ihsas ke subh”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
Hakeem Louqmaan sy oun k maalik ny kaha k,
“Ye bakri zibah karo or is ka behtareen hissa mere pass laao.
Aap dil or zaban laey.
Phir os ny kaha k, bakri zibah karo or os ka badtareen hissa laao.
Aap phir dil or zaban lay gaey.
Maalik ny waja poochi tou aap ny kaha k,
agar ye dono dourust ho jaein tou in sy barrh kar koe hissa oumda nahi,
or agar ye dono kharab ho jaein tou in sy barrh kar koe hissa khabees nahi”
Think about it…!
Dil sy dua :)
20


 

“Ihsas ke subh”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
Hamnein zaban sirf aik de gae hy…
Jab k 2 ankhein or 2 kaan deay gaey hein.
Shaaid isi leay k,
ham bolnay k muqaablay mein, ziada sounein or daikhein.
Lets try…!!
Dil sy dua :)
21


 

“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum:-)
*Zaban Par Control*
Is ka matlab ye nahi k, zarorat k mutabik baat na ke jaey…
Bus zaban par kamazkam itni mazboot girift rakhi jaey k…
fazool or bouri baatein ya aisi baatein…
Jo kisi ke dil-aazari ka baais hoti hein, ada na ke jaaein.
Try it…!
Dil sy dua :)
22


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *