Topic 2 : Zaban ka Istemal

*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Ka Istamal”
Buri baat sy khamoshi behtar hy…
Or har ache baat khamoshi sy behtar hy.
Allah hamein zaban ka istamal apne pasand k mutabik karnay ke taofeeq atta karay.ameen
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Ka Istamal”
Boliye par itna zaror khiyal rakhein k…
Ham din bhar mein kitna kuch duniya k faiday k leay boltay hein… or kitna aakhrat k faiday k leay…??
Dil sy dua:)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Ka Istamal”
Aaj ham apna jaiza lain gy k…
Hamare guftagu mein kitnay nazaiba alfaz shaamil hein or kitnay apnaiyat or piar bharay alfaaz shaamil hein…???
Dil sy dua :)
3


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Ka Istamal”
Al Quran…Surat Qaaf
Aayat 17…
“Jab do likhnay walay farishtay is k har qaol o fail ko tehreer kartay hein, Jo daain or baain beithay hoay hein”
Khiyal rakhein k…
Aaj ham kia tehreer kara rahay hein…??
Dil sy dua :)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Zaban Ka Istamal”
Ham ziada tar dosron ke kahi hoe baaton ko diacuss karnay k aadi hein…
Kion na khud apna jaaiza lain or khud sy khud he apne baatein discuss karein…
Is tara apne islaah k bohat sy points milein gy…
Lets try..!!
Dil sy dua :)
5


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *