Topic # 4 : ALLAH KI SIF’AAT PAR YAQEEN (Day:4)

 ALLAH KI SIF’AAT PAR YAQEEN

Yaqeen dil ky andar phut’ta…panpta…or intehoun mo pounchta hy. Jesy ky ALLAH ki sift “Madadgaar” ky hawaly sy loun to phly bhi ALLAH ki is sift per myra yaqeen tha…main pukarti thi ky tu hi myra madadgaar hy… tu hi myri madad kry ga to phir jub is pukarny ki waja sy madad aati tu yaqeen our mazboot hota chala jata ky….wo myri madad kr raha hy our krta rahy ga.
Safar k mukhtlif marahil sy guzarty huy bhi Shah Jii ny yaqeen ka daman mazbooti sy thamy rakha. Aap ny safar ky hawaly sy paish aany wali aazmaishoon main ALLAH k yaqeen ko thamy rakha our hamaisha isi yaqeen ky sahary aagy sy aagy qurbat ka safar jaari rakha.
is hawaly sy Aap ny farmaya:
Safar ky kisi bhi makaam per agar mujy kaha gya ky ub aagy rasta nahi mily ga… tu tb main ny tarap ky ALLAH ko pukara ky… tu to apni janib aany waloon k liye aagy jany ka rasta khula chorta hy. aik qadam aany waly ko 10 qadam aagy bhar ky milta hy… to ye kesy hu sakta hy ky my tyri talab my aana chahun… our mjy aagy aany k rasty na milyn. bhala tyri talab main aany waly ko raah kesy na mily gi…! our aap ka byinteha yaqeen hi aap k liye aagy sy aagy ki raah khoulta chala gya.

Aap ny farmaya:
myry roohani safar k dooran jub aik baar phir aysa hi maqaam aaya tu tb bhi my ALLAH sy madad mangi. or jb us waqt mjy aagy safar krny ki ijazat aata ki gae. to myry andar yaqeen ka level our mazboot hua k tou mujy sunta hy our myri talab ki suchaie ko janta hy… isi liye her bar jb tarap ky yaqeen sy manga our aata hua to ALLAH per yaqeen ka level mazeed bhar gya. Isi tarah sy jb hum kisi bhi marhaly main ALLAH ky yaqeen per khary hoty hyn. our hamara wo masla hal ho jata hy to agli baar yaqeen ka level zaroor bhar jata hy.
Yaqeen ki inteha koi nahi. uski inteha zindgi ky ikhtataam tak chalti hy. jub hum ALLAH per yaeen rakh kr chalty hyn tu milta zaroor hy.Lakin ye zaroori nahi k zahiri toor per usi surat my mily jis ki hum ny khawish ki ho. wo cheaz wesy hi na mily magar milti zaroor hy kiou ky Allah hamy byaasrah nahi chourta. wo us cheaz ky badly main hamary liye behtreen cheaz ka intekhab krta hy jis ky liye hum khawish rakhty hyn. jesy ky wo apni raza per razi ker dyta hy. khud hamary dil main sakoon bn k utar jata hy our ye rohanoiyat main intehaie aala mukam hy.

شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


Exercise

Q1:- Fill in the blanks:
(i): Yaqeen dil k andr phut’ta , Panapta aur —– ko pounchta hai.

(ii): Yaqeen ki koi —– nai

Q2 :- MCQ’s
(i): Allah hmay —— nai chorta.
(a) Bysahara
(b) Tanha
(c) dono

(ii): Allah aik qadam aany walay ko —– qadam agy bhar k milta hai.
(a) 11
(b) 10
(c) 70

Q3: short Question
Sawal:
Allah ki Sif’aat par yaqeen hmra eman hai, kisi 1 Sift k hawalay sy ap apna personal expeirnce share karien k ap k yaqeen ka level kaisy bharta gia…..


Answer key

Blanks
1: Intehiyoun
2: Inteha

Mcqs
1: a
2: b

Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *