Topic 4 : Gufatgoo

“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum
*Gouftagou*
Aisi baat….
Jis ke na tou zarorat ho or na he os baat k karnay sy…
karnay ya soun’nay walay ka koe faaida ho… tou aisay mein ham Islam k husan sy mehroom ho jatay hein.
Hazoor Nabi Akram S.A.WW ny farmaya,
“Insan k Islam ke khoobion mein sy, bekaar baaton ka chorr daina hy”
Allah hamein Islam ke khoobian atta farmaey.ameen
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum
*Guftagou*
Agar ham ye yaqeen rakhein k Allah hamein har lamha soun raha hy or hamaray daain Baain do farishtay likhnay walay har waqt or har baat likh rahay hein… tou yaqeenun hamare guftagou behtar sy behtareen hoti jaey ge,
kamazkam aaj ka din he aisa kar lain…
Is ka behtareen result aap khud mehsoos karein gy…!!
Dil sy dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum
*Guftagou*
Hamaray social system ka hissa bhe hy or ab ye hamare aadat bhe ban gae hy k,
ham ny jahan baithna hy bus baat baraa-e-baat kartay rehna hy.
Ye sochay samjhay bina k,
aik din ham sy in sab baaton ka hisaab leya jaey ga.
“Hazoor Nabi Akram S.A.WW ny farmaya k,
Jo Allah or qiamat k din par yaqeen rakhta hy, wo koe ache baat ho tou karay warna chupp rahay”
Think about it..!!
Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam-o-alikoum
*Guftagou*
Agar ham ziada boltay hein tou ghaltion ka imkaan bhe ziada hota hy or ham sy…
Kisi ke dil-aazaari, gheebat, chughli ya jhoot jaisay bohat sy gounaah sar-zad hotay rehtay hein…
So be careful…!!
Dil sy dua :)
4


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *